1.1Sukoon (AbhiRa OS)

5.6K 141 51
                                    

So the scenario for this OS is today's episode with a blend of my imagination.
Do hit the vote option if you like it.

Neil : Aap sage ho to saare haq aapke hi hai. Aur mujhe humesha second hand citizen ki tarah hi treat kiya jaayega.

Abhi : Saga aur Sautela. Yahi shabd hai na ab teri dictionary me. Aur haq chahiye na tujhe ab har cheez me thik hai diye haq tujhe. Aaj se hospital se main apne saare haq pull of karta hu. Main as a MD bhi resign karta hu. Lekin aaj ke baad agar hospital me koi bhi problem huyi to uski responsibility bhi meri nahi hogi. (To Anand) Tauji aap de do Mahima Mam ko MD ki post. Ye saara chakra unhone isiliye racha hai na. Taaki ye post unhe mil sake kyu ki unhe ye lagta hai ki wo jyada deserving hai to unke paas rahe ye post. Mujhe koi problem nahi hai. Aaj ke baad main Birla hospital me sirf as a Surgeon kaam karunga. Agar usse bhi kisi ko problem hai to main koi aur hospital join kar lunga kyu ki meri degrees meri hi rahegi. Mujhe kahi bhi achhi si job mil jaayegi. Par iske baad meri koi bhi responsibility nahi hogi mujhe bhi sukoon chahiye ab. Bahut utha liya maine responsibilities. Kitni baar apni limit se jyada sehan kiya hai kitni baar up to brim pahuch kar bhi toota nahi hu kyu ki maine do do log ki jimmedari li thi. Maa ki and Mr. Neil ki. Maa ko apna beta chahiye tha jiski wajah se unhone mujhe majboor kiya use wapas laane ke liye and Mr. Neil ki ab patni aa chuki hai to wo kuch din me achanak se responsible ho chuke hai. Achha hai ab main bhi free ho jaaunga in sab cheezon se. To Neil) Ho gaya na. Ab maine aage hone ke saare haq pull off kar liye. Ab na hi tujhe na hi teri biwi ko koi problem honi chahiye. But ek baat yaad rakhna aaj ke baad kisi bhi problem me aa jaaye mere paas aane ki koshish bhi mat karna. Are pata nahi tha ki tu isi ghar ka beta hai. Adopt kiya tha tujhe lekin Mahadev jaante hai aaj tak kabhi tujhe adopted ki tarah nahi apne bhai ki tarah treat kiya tha maine. Tu kitni baar ye word bolta tha tab bhi tujhe shaant karwata tha. Lekin ab madam Aarohi Birla ke manipulation me aake tu wo sab kuch bhul chuka hai. To main ab tere guardian ki responsibility se bhi khud ko ajaad karta hu.

And then Abhi left from their doing his two finger gesture of saying alvida.

Akshu : Aaj jo kuch bhi hua. Wo nahi hona chahiye tha. Neil oh sorry Mr. Neil Birla expect to nahi kiya tha ki aap itni jaldi rang badal lenge. Bhai maana tha maine aapko. Lekin aapne to devar bhi banne ki koshish nahi ki. Aaj yaha jitne bhi aansoo bahe hai mere pati ki aankhon se. Uske baad mera bhi koi rishta nahi hai is ghar se aur khaas kar Mr. Neil Birla aur unki so called delusional wife se. Main ab apne pati ki aur insult nahi dekh sakti. Bahut ho gaya. Har baar har cheez ka blame mujh par aur mere pati par hi kyun aaye. Mr. Neil ke adoption ka sach maine ya mere pati ne nahi chhupaya tha. To ye saga hone ka taana sirf mere pati kyun sune. Abhi Saga hai ye uski galti nahi hai aur na hi Neil sautela hai ye uski galti hai.

Till then Abhi comes there with two suitcases fully packed.

Abhi : Akshu chalo.

Akshu was also shocked at this. She never thought that Abhi her Abhi who always was compelled to stay in the house due to his responsibilities can be broken to such a level that he will decide to leave this house.

Akshu : Abhi ye kya hai. Tumne ye faisla kab le liya. Tum ye ghar chhod ke jaana chahte ho.

Abhi : Haa Akshu main ye ghar chhod ke jaana chahta hu ab. Sukoon chahiye Akshu. Thak chuka hu main ab. Aur nahi seh sakta. Maa ne ek sach chhupaya tab unhe is baat ka thoda bhi guilt nahi hua ki wo ye sach chhupa rahi hai to iska anjaam kya hoga. Ab jab sach saamne aaya hai to Saga/Sautela beech me aata rahega. Aur main ye nahi seh paa raha hu. Baar baar us cheez ke liye kosa jaana jisme meri galti nahi hai ab mujhse nahi ho paayega. Ab main bhi apni wife ke saath apni duniya me khush rehna chahta hu. Ek saal baad hum mile hai par jab se tumne humare is rishte ko second chance diya hai tab se lekar ab tak har roz kuch na kuch tamasha ho hi raha hai. Ab ye ghar aur hospital in logo ko Mubarak ho. Mujhe na yaha se kuch chahiye na hi waha se kuch chahiye. As a Surgeon bhi ab waha nahi jaana chahta. Kyu ki mujhe ab Birla hospital se koi bhi wasta nahi rakhna hai. Chalo ab yaha se . Aur ye decision aaj nahi to kal lena hi tha . Jo kal hona tha aaj hua kyu ki uper jab jaa raha tha to mujhe ye mila. ( He showed her the check of 2.5 lakh which she gave to Manjari fully covered with mud) Ye kya hai bataogi jara. Tumne mujhse kaha tha ki goody goody news hai wo yahi thi na.

Akshu : Ye to mera signing amount ka check hai jo mujhe aaj mila. 5 lakh ka mila tha maine 2.5 lakh Badi Mumma ko diya and 2.5 lakh Manjari maa ke liye laayi thi.

Abhi : Tumne maa ko itni badi izzat di apni pehli kamai unke naam ki par jab unhone Neil aur mera jhagda suna to wo daudti huyi yaha aayi unhe ek baar bhi khayal nahi aaya ki use sambhaal ke rakh diya jaaye. Apni biwi ki pehli kamai ka is tarah se insult hote dekhna mujhse bardast nahi hua. Bahut bura laga Akshu. Aur phir maine decide kar liya ki ab hum dono apni nayi duniya basayenge. Yaha se door. Jaha hum dono ek dusre ki respect aur support karenge. Kam se kam sukoon se jee to paayenge. Chalo yaha se.

Akshu : Sahi kaha tumne Abhi. Ye baat humesha uthti rahegi. Hum ab kisi pe koi ilzaam nahi lagana chahte. Aur tumne jab ye faisla liya hai to mujhe is baat ki khushi hai. Chalo chalte hai.

Manjari who heard all this started shedding her crocodile tears.

Man : Baat to wahi hai na. Abhi jaaye ya Neil aakhir ghar ka ek beta to ghar se jaayega hi na. Yahi to nahi chahti thi na main.

Abhi : Ye baat aapko sach chhupane se pehle sochna chahiye tha ki jab ye bahar aayega tab iska anjaam kya hoga. Pehle se agar pata hota ki Neil Sir ka beta hai to use saare haq mile hote is ghar ke bete hone ka to kisi ko bhi mauka nahi milta uske is dukhti nabz pe haath rakh kar baar baar bhadkane ka. Lekin ab jo ho chuka hai wo ho chuka hai. Aap ko aapke guilt se mukti chahiye thi aapne ro ro kar mujhe majboor karke Neil ko bulwa liya. Lekin ek baat to pakki hai. Ek hi ghar me saga aur sautela beta nahi reh sakte hai. Agar rahenge to jab bhi koi bhi baat hogi chahe personal ho ya professional is baat ka taana mujhe sunna hi padega. Aur mujhse ab ye bardast nahi hoga. Aashirwaad dijiye aur apne bete ko sukoon se jeene dijiye yahi request karta hu. Apne aansoo se mujhe wapas se pighalwane ki koshish mat kijiye. Akshu chalo aashirwad lo aur chalo yaha se. Aaj tumhara photo shoot bhi hai na. Uspe bhi concentrate karna hai. Let's go.

Akshu took everyone's blessing.
She was leaving when Manjari took hold of her hands and started pleading with her.

Man : Akshu beta tum to samjhao na Abhi ko. Is tarah se ghar chhod ke nahi jaate hai na.

Akshu : Kya samjhaun maa. Aaj aap hi boliye Abhi ne jo bhi kaha kya uski ek bhi baat galat hai. Nahi na. Agar koi kuch galat bhi karega to bhi Abhi ko ye bolke shaant karwaya jaayega ki wo saga hai isiliye usi ka decision sahi hai. Aaj yaha maujood har kisi ko pata hai ki galti kiski hai. Lekin phir bhi taana kisko mila mere pati ko. Neil ko achhe se pata hai ki galat usne Kiya hai par abhi wo apni patni ki baaton me hai na use apni galti nahi nazar aayegi thik waise hi jaise meri SAUTELI behan ko apni galti samajh nahi aayi. Main har baar is wajah se chup ho gayi to mujhe pata hai ki kitni ghutan hoti hai har baar galat par bhi chhup ho jaana. Lekin main nahi chahti ki usi ghutan me mera Abhi bhi jeeye. Isiliye main apne pati ke decision ke saath hu.

And after that she took Abhi's hand in her hold and they both left from their to their happy abode where they will be free from all this chidiyaghar drama.

To be continued.............

Sukoon will be continued to next part also as I am unable to show Neil's guilt in this chapter. Ab bande ne aaj itna badh chadh ke bola hai to usko bhi guilt to hona chahiye na.

Abhira/Harshali OS Series (Continued)Where stories live. Discover now