3.3 Tumhe Kaise Jaane doon

1.7K 111 38
                                    

This is continuation of Humesha Main Hi Kyun
Last chapter was full of DDP.
I know Abhimanyu was wrong in that track and he got punishment also from Akshu.
Lekin wo Hero hi kya jo heroine ko manane na aaye. Aur ab jab apna charming hero manane aayega to heroine usse kitne der naraaz rahegi let's see.

After Akshu left from their all the heads turned towards Aarohi.

Ar : What aap log meri taraf aise kyun dekh rahe hai? Maine aisa kya kar diya jo mujhe nahi karna chahiye tha. Aakhir meri wajah se hi to Neil ka sach saamne aaya. Atleast ab use koi orphan to nahi bulayega na. Because anaath hone ka gum kya hota hai ye main bahut achhe se jaanti hu. Duniya kitne taane deti hai. (Ye maara U-Turn)

P.S. Don't run after me for this. Cos next continuation ke liye Aarohi ki whitewashing jaruri hai. Ab isko main aur jyada include nahi rakh sakti she is intolerable for me.

All the gorillas became silent. Because they know what Aarohi did was wrong but what she was saying was not wrong. Even though Manjari saw Neil always getting taunted for being an orphan but still she never opened her mouth. And everyone including Abhimanyu was getting this round and clear.

Ab : Tum kabhi nahi sudhar sakti Aarohi. Khud ke har galat kaam ko justify karna koi tumse seekhe. Aur isse jyada tumse maine kuch expect bhi nahi kiya tha. Jab bhi tumpe koi dosh aata hai tum sabko manipulate karne lagti ho apne favour me karne ke liye. Aur waise bhi expectations apno se karna chahiye jaise meri Akshu ne mujhse kiye honge jab wo shaadi karke mere ghar aayi lekin main uske expectations ko fulfill nahi kar paaya. Aaj mujhe kisi se koi shikayat nahi hai sirf aur sirf khud se hai.

After this Abhimanyu left from there. And even all the Birla's also left one by one.
Abhimanyu went to his favourite place i.e., Mahadev temple.

Ab : Mahadev galti ho gayi. Aur wo bhi chali gayi ek baar bhi peeche mud ke nahi dekha. Aise thodi hota hai. Itna asaan hai kya rishta tod ke jaana. Aap ne bhi to Parvati ji ko yaad dilane ke liye manushya awtar liya tha na. Phir main apni patni ko apna pyaar kaise yaad na dilaun. Agar wo jiddi hai to main bhi uska husband hu usse 100 times jyada jiddi. Ab wo meri zid dekhegi. Use aise to khud se door nahi jaane Dene wala main.

After that he went to his friend who was in cyber cell. He told that he needed him to track one number for its location and then gave him Akshu's number. His friend gave him the number and Abhimanyu was elated.

Ab : Aa raha hoon main Akshu. Akshu ka Abhi aa raha hai apni dulhaniya ko manane. Narazgi jayaz hai tumhari. Lekin wo bhi jyada din nahi honi chahiye na.

Abhimanyu came to Birla House and saw Manjari waiting for him on the dining table.

Man : Abhi khana kha le beta. Kal se tune theek se khaya nahi hai.

Ab : Aapko lagta hai Maa meri Akshu akele hai usne dhang se khaya hai ki nahi ye bhi nahi pata aur main yaha baith ke araam se khana kha lu. Aap itna casual kaise ho sakti hai. Are beti maana tha na aapne Akshu ko. Lekin main bhi kis route jaa raha hu. Aapne apni ideal biwi banne ke chakkar me jab aaj tak khud ke janm diye bete ki kadar hi na ki to aap ek dusre ghar se aayi ladki ki kya kadar karti. Agar Akshu humesha aapke hisaab se chalti to wo aapki beti rehti. Pata hai Aarohi kabhi sahi nahi hoti hai but aaj uski ek baat mujhe bahut sahi lagi aapne Avni Rathod ke kiye ka badla liya Neil se. Use kabhi uske pita ka naam nahi milne diya. Use is ghar me leke aayi lekin kabhi use is ghar ka beta nahi banne diya. Puja karta tha main aapki lekin aaj pata chala ki aap devi nahi hai insaan hai aur insaan me apne faults hote hai. Khair aapko dosh deke kya fayda hai aur ab to main Sir ko bhi kuch nahi bol sakta hu kyu ki aaj maine bhi unke jaise behave kiya hai. Main jaa raha hu apni wife ke paas aur please mujhe aansoo baha rokne ki koshish mat karna. Kyu ki is baar aap bhi galat hai.

Abhira/Harshali OS Series (Continued)Où les histoires vivent. Découvrez maintenant