2.4 Harshali - Bhaak Yaar

1.2K 70 20
                                    

So you all can guess that this is a Harshali OS. And also it is clearly noticed that someone is very much frustrated, irritated to the core.

Lets begin with the Story.

This plot involves around the current DDP scenario of the show and the reactions of our leads to this much Rona Dhona. After a lengthy period of one month Harshad got to share the screen with Pranali. Both are shooting together but they are also sad that now again they have to shoot separately. And again they have to enact the same being in dukh , dard , peeda.

H :(irritatingly)  Pinu , aa na yaar!

P : Tumhe kya hua hai itna chid chid kyun kar rahe ho. Abhi ki aatma khush gayi hai kya chidkuram wali.

H : Abhi ka to naam mat lo. Uska naam sunke hi anxiety ho rahi hai .

P : Ha ha ha .........

H : Tumhe hasi aa rahi hai. Sach bataun itna irritation ho raha hai na. Jab dekho rulate rehte hai mujhe. Ab to dar hai kahi real life me bhi rondlu na ban jaaun main.

P : Harshu , Harshu baby hume glycerine diya jaata hai na aansu bahane ke liye. Real aansu thodi hai fake aansu hai.

H : Wahi to problem hai fake aansu me bhi dard dikhana padta hai. And us fake aansu ko laane ke liye jo glycerine use karna hota hai itching ho rahi hai aankhon me usse. Plus har roz emotional scene karte karte aisa lagne laga hai ki mujhe reality me bhi har jagah dard hi dard dikh raha hai. Uper se one month se tumse door hu. Shoot timing bhi aisi hai ki hum dono ka alag alag schedule hai time spent karne milta hi nahi hai. Jab saath shoot karna tha kasauli wala sequence pata hi nahi chala time kaise paar ho gaya. Ab phir se alag alag shoot.

P : Ab samajh aaya mujhe tumhari chid chid ki asli wajah kya hai. Tum bhi na bachhe ho ek dam.

H : Oye bachha kisko bol rahi ho. Age me bada hu tumse.

P : Haa par behave to ek dam 4 yrs old ki tarah kar rahe ho. Jisse uski choco chheen gaya ho aur isiliye irritate ho raha hai. Set aas paas hi to hai jab dil kare aa jaata karo milne ke liya and ab se main bhi time nikal ke aa jaaya karungi waha.

H : Haa aur scene ke beech me main daud ke tumhe hug kar lunga and sabke saamne kiss karne lagunga okk 🙄🙄🙄🙄🙄.

P : Ye kya keh rahe ho. Tumhe pata hai na hum aisa kuch bhi nahi kar sakte humari dating ki baat failne me jyada time nahi lagegi. Rumours to waise bhi faila hua hai iske baad to pic proof bhi aa jaayega.

H : Wahi to main samjha raha hu. I am missing being with you. Abhi kuch din ke liye saath shoot tha to time spend Kara ab phir se wahi boring schedule hoga. Na hi masti kar paaunga na hi tumse mil paaunga.

P : Ale baby. Aa jaao huggy karu main tumhe.

H : Pinu please yaar aise hi irritate hu main ab ye wale aww le expression se aur irritate mat karo.

P : Are baap re ab lag raha tum sach me irritated ho. Maine socha ki thodu sa tinchuk wala irritation hoga wo mood swing jo mujhse door jaane pe hota hai thoda majaak karungi to theek ho jaayega. But tumhara mood dekh ke ab lag raha hai ki bahut jyada bada wala siyappa hua hai. Kya hua. Batao mujhe.

H : Dialogues dekhe hai Abhi ke. Ek dam wahiyat. Kya phoonk ke likh rahe hai ye log pata hi nahi chal raha hai. Itna hurt Kiya Abhi ne Akshu ko lekin use guilt sirf is baat ka ho raha hai ki usko Sirat maa wali baat nahi karni chahiye thi. Abhi ko guilt ridden karna hi hai to atleast usse apni puri galati to manwa do. Apni dearest wife ko miscarriage ke time pe divorce de diya , uske baad usko ghar se jaane Diya. Jab pata chala ki wo kaha hai Bade Papa ko pata hai phir bhi uske baare me jaan ne ki koshish tak nahi ki , usne call Kiya phir bhi uske call ko ignore kar diya lekin guilt usko ek hi baat ka. Kaisa guilt hai ye.

Abhira/Harshali OS Series (Continued)Where stories live. Discover now