3.2 Humesha Main Hi Kyun

1.4K 125 26
                                    

Akshara's Breakdown :

Flashback :

After Akshu left from Goenka House. She went to the ghaat which was very dear to her Naira Mumma. She wanted to feel close to her maa today.
On reaching their she broke down very badly.

Ak (Crying) : Aaahhhhhhhh................
Kyun Kanha ji Kyun. Har baar main hi kyun. Chhoti si thi aapne Mumma cheen li. Phir papa aur jis maa ne paala use bhi apne paas bula liya aapne. In sab se deal kar liya kisi tarah to kya laga aapko bahut strong hoon main. Are meri halat to aapko bhi pata hai na. Guiltless hone ke baad bhi guilty hone ki wajah se aaj tak panick attacks aate hai mujhe. Aur agar pyaar ka saath tha hi nahi kismat me to mujhe pyaar ka ehsaas karwaya hi kyun. Itne din sab se minnatein karne ke baad jab finally shaadi huyi to do din bhi khush nahi rehne diya mujhe. Aap bhi soch rahe honge ki jab galati dusron ki hai to main aapko kyun dosh de rahi hu. Lekin in sab bemaane rishton me mujhe uljhane wale to aap hi hai na. Achha hota Naira Mumma ke saath mujhe bhi bula liya hota apne paas. Kam se kam aaj jaha khadi hoon waha to nahi rehti. Sabne ek ek karke paraya kiya hai mujhe.
Mumma main kya karu. Aap koi rasta dikhao na. (She closed her eyes and every blame that she got from everyone dear to her came in front of her eyes as if her Mumma was telling her that all those relations are good for nothing so give up on all of them. She opened her eyes with new found determination) Par ab bas ab bahut hua. Ab main kisi ko bhi khud ko galat samjhne nahi dungi. Ab aur kisi ko faisla nahi lene dungi apni jindagi ka. Aaj se jo bhi hoga mere saath mere according hoga.

And then she called the lawyer which has the will of Kartik and told him to make a paper for her and also described him what all she wanted in the paper.

Flashback ends :

Current time :

After the call Akshu dialled the lawyer and told him to come to Goenka House. Then she herself left to Goenka House.
After some time she reached there and was welcomed with the questioning gaze of everyone.

Ak : As expected log khud chahe kuch bhi kar le wo answerable nahi hai lekin Akshu kuch bhi kare to adalat baithi hai. Chalo shuru karte hai session. Ek min lawyer bhi aa rahe hai. Ab court baith hi gayi hai to lawyer ki to jarurat padegi hi. To unke liye wait kar le ya phir shuru kare.

Ab : Lawyer ki kya jarurat hai.

Ak : Jarurat to hai. Lekin wo baad ke liye. Abhi filhaal sabki nazron me jo questions hai unke answers de loon ek akhiri baar. Chaliye to phir shuru karte hai. Puchiye kise kya puchna hai.

Ma : Kal raat bhar kaha thi tum Akshu. Abhimanyu aur Kairav pagalon ki tarah tumhe dhundhte rahe raat bhar. Kahi jaane se pehle ek baar bata to deti. Phone bhi switch off kar diya. Itna irresponsible tum kaise ho sakti ho.

Ak : Ohh main irresponsible hu. Is ghar me aane ke baad mere pati ne ek baar mujhe dekha tak nahi. Jaane se pehle mujhe apne saath jaane ke liye bhi nahi bola. Mere Bade Papa jo khud ko mera guardian kehte hai ne mujhe us ghar me jaane ko kehne se pehle ye bhi nahi socha ki jis ghar ke logo ne mujhe ek baar bhi apne saath chalne ko nahi kaha wo mujhe waha jaane ke baad kaisa treat karenge. Jinhone khud apni responsibility se palla jhaad liya wo log mujhe irresponsible keh rahe hai. Par phir haa aap log uske baare me kyun sochenge aapke hisaab se to main gunahgar hoon na. Ye jo kuch bhi hua hai meri wajah se hua hai to chalo pehle usi galatfehmi ko door karte hai. (She played the recording of last night of her and Aarohi convo) To is recording se kya prove hota hai ki main culprit Akshara nahi Aarohi hai. Lekin Aarohi kabhi galat to hoti nahi hai isiliye Akshara galat hai to hai. Bas baat khatam. Har baar kitna bhi bada gunaah kar le Aarohi lekin saza to Akshara ko hi milegi na wo badi aur samajhdaar jo hai.

Abhira/Harshali OS Series (Continued)Where stories live. Discover now