7.7 B3 (Broken 💔 But Beautiful)

1K 90 6
                                    

Recap : Akshara lashes out at everyone who had wronged her.

Continuation:

Ab : Akshu I am sorry. Main humesha tumhe blame karta raha ki tumne mujhe ehmiyat nahi di apni jindagi me. In sab me main ye bhul gaya ki aaj tak sab jo karte aaye hai main bhi to wahi kar raha hu. Pyaar hone ke naate mujhe to tumhara saath dena chahiye tha. Lekin main bhi tumpe extra burden ban gaya.

Ak : Saath to tumne diya Abhimanyu. Bahut saath diya. Aaj agar yaha khadi hokar sabko apne dil me itne saalon se daba ke rakhi huyi baatein keh paa rahi hu to usme tumhare support se mili himmat ka hi haath hai. Lekin ye saath bhi meri kismat me sharton ke saath aaya.

Ma : Akshu beta itna sab kuch tha tere man me kabhi bataya nahi beta.

Ak : Ghar ki Beti main bhi thi Bade Papa. Aap log guardian to ban gaye mere lekin wo parents na hone ki jo ek kami hai na use puri nahi kar paaye. Aarohi keh keh ke apni har ek wish batati thi. Use kya chahiye. Use kis baat se problem hai. Use kis insaan ki shakal nahi dekhni. Main uski har ek wish puri karti rahi lekin mujhe kisi ne nahi toka. Sabne yahi expect Kiya ki Aarohi chhoti hai to Akshu ko uski wish puri karni chahiye. Akshu beta tumhara khilauna Aarohi ko bahut pasand hai tum wo use de do. Aur main de deti thi. Are chhoti to main bhi thi. Bachpan me khilaune chheen ne ki habbit bade hokar pyaar chheen ne pe aa gayi. Abhimanyu jab cheekh cheekh kar sabke saamne apne pyaar ka izhaar kar raha tha. Tab sabne chhuppi le li. Wo bechara sabke saamne mujhse puchta raha ki mere dil me kya hai. Main chup rahi. Kyu ki mujhe Aarohi ka chehra dikh raha tha. Achhi tarah jaanti thi ki ek baar phir ek naya ilzaam intezaar kar raha hai. Aur hua bhi yahi. Wo bolti rahi sab sunte rahe. Kisi ne mujhse pucha tak nahi ki aakhir sach kya hai. Aarohi ne jo bhi bataya wohi sach maan liya. Aur Abhimanyu sabki nazar me galat ban gaya. Main is darr se ki ye dono families jab bhi saath aaye hai sirf jhagde hi huye hai shaant rahi lekin usi Abhimanyu se jab Aarohi rishta pakka kar ke aayi to wo sabne ek do baat bol ke maan li. Khair purani baatein utha ke koi fayda nahi hai. Ab bas. Ab mujhe kuch kehna hi nahi hai. Shikayaten unse ki jaati hai jinse koi ummeed ho. Aur ab meri saari ummeedein mere andar hi rahengi. Koi nahi hai mera apna. Jo mujhe samajh sake. Jo mere saath chal sake. Aaj sahi mayne me anaath ho gayi main. Lekin ab is baat ka ghum nahi hai. Pehle bheed me reh kar bhi khud ko akela paati thi ab sach me akele chalne ka waqt aa gaya hai. Lekin akele hone ka ek fayda hoga. Kam se kam kisi ki expectations to nahi hongi na mujhse. Main apni jindagi apne sharton pe jee paaungi.

Ab (Shocked with her change in demeanor) : Akshu....Akk....Akshu suno na. (Wiping his tears as well as hers) Baba sab kuch solve ho sakta hai. Akele rehna ya akela chhod ke jaana option nahi hai na. (His fear of abandonment kicking in) Mujhe ek baar phir akela karke jaane ki baat mat karo na. Is baar jhel nahi paaunga. Haa tumhe khud se door karne wala main hoon. Lekin hum baatein karenge na. Main sab kuch sununga jo tum kahogi. Dekho na aaj pehli baar sach ko apni Maa ke nazariye se nahi apne nazariye se dekhne ki koshish ki hai. Itni badi saja mat do. Ek aakhiri chance de do humare is rishte ko. Main promise......

Ak (showing her hands to stop) : Please Abhimanyu ek aur waada nahi. Ek aur waade ke tootne ka dard jhel nahi paaungi. Main jaanti hu tumhare is anxiety ki wajah main hu. Meri tarah tumhe bhi har baar apni khushiyon ko peeche chhod ke dusron ke liye khade hona pada hai. Manjari aunty ne humesha tumhe chhod ke Sir ko choose kiya phir bhi kyu ki sir unhe emotionally abuse karte the aur tum jaante the ki she needs your support tum unke liye majbooti se khade rahe. Main pehli insaan hu jisse tumne ummeedein jodi ki main tumhara saath dungi har kadam par. Aur jab main tumhe chhod ke chali gayi to tumhara wo Darr wapas aa gaya aur tumhe anxiety pills leni padi. Par sach ye hi hai Abhimanyu yeh rishta tik nahi sakta. Har baar kuch na kuch , koi na koi humare beech aata rahega. Koshish ki thi na. Tumne divorce paper haath me thama diye the lekin phir bhi second chance diya na is rishte ko. Bahut koshish ki hai Abhimanyu apni taraf se is baar. Is baar Aarohi ko bhi humare beech me aane nahi diya. Lekin ek baar phir wo aa hi gayi na. Main nahi laayi to tum leke aa gaye. Tumhe pata hai Aarohi ne kya kaha tha jab main is rishte ko second chance dene ke baare me soch rahi thi " Ek galti Akshara, ek galti aur wo ek baar phir tumhe chhod dega". Tumhe pata hai ye baat khatak gayi thi mere dil me. Lekin phir maine socha pyaar me jeene ka mauka kaha mila hume. Shaadi hote hi kuch na kuch laga reh gaya jiski wajah se hum waqt nahi de paaye ek dusre ko. Kabhi meri anniversary plan karne ki galti , kabhi Neil ka adoption truth , kabhi divorce issue aur phir jab sab kuch peeche chhod ke humne finally apne rishte pe dhyaan diya to tumhara hand issue aur uske saath Kunal ki entry in sab ke beech me hum saath reh hi nahi paaye. Jitne din humara rishta raha usme bas issues hi solve karte reh gaye hum. As if hum koi newly married couple nahi ghar ke bade bujurg ko jinke bagair ghar ka ek issue solve nahi hota. Isiliye maine sab kuch sochna chhod kar ek genuine try kiya. Taaki humara rishta bach sake. Par dekho na tumne Aarohi ki baat ko sach sabit kar diya. Maana death bahut badi baat hai. Meri ek galti ne , ek galat faisle ne humse humara bahut kuch chheen liya. Par kya sach me main jimmewar thi? Kya sach me meri galti thi? Jab main aur Neil hospital se aa rahe the kaun tha humare saath gaadi me? Kisne suni meri aur Neil ki baatein. Kya maine Neil se kaha tha ki hume chalna chahiye bachhon ko bachane? Kya maine Neil ko force Kara tha ? Kya Neil ne jaane se pehle ye kaha tha ki maine usse kaha tha ye sab kuch karne ke liye? Nahi na. Bas sabne assume kar liya. Aur maan liya agar Akshara Neil ke saath thi to bas wahi jimmewar hai Neil ki death ke liye kyu ki wo kaise jinda bach ke aa gayi aur Neil nahi aa paaya. Sach me mujhe bhi mar jaana chahiye tha Neil ke saath. Par kya karu yaha bhi meri kismat ne mera saath nahi diya. Itni asaani se maut bhi to nahi aati na mujhe. Aarohi ki baat sach nikli Abhi. Mera Darr sach nikla. Ek galti aur tumne saath chhod diya. Kyu ki tumhari Maa ne blame kiya tha na tumhe to saath dena hi tha. Tum kaise peeche reh jaate blame karne me. Tumne bhi apni itne din ki bhadas nikal di. Ab jaane dete hai Abhimanyu. Bekar ki koshish nahi karte hai. Dekho jab mujhe nikala tha tab koi to hope hogi na tumhare paas ki tum uske sahare jee loge. Please koshish karo uske sahare hi jeene ka. Ab ek aur baar ummeed nahi karte hai. Is rishte se kuch bhala nahi hone wala hai. Jab bhi saath aaye hai galat hi hua hai. Ye baat tumne bhi to maan li hai na ki hum chahe ek dusre ko kitne bhi chances de le. Uska kuch fayda nahi hone wala hai. Is faisle pe hi rehte hai. Chahe kitni bhi koshish kar le humari kismat nahi badal sakti. Humara ye rishta disaster hai. Aur disaster tabahi hi laata hai sukoon aur shaanti nahi. Band karte hai is tabahi ko. Jeene dete hai ab sukoon se sabko.

Abhira/Harshali OS Series (Continued)Tempat cerita menjadi hidup. Temukan sekarang