Jinpar poora yakeen kiya,
Unhone kisi aur ka sunkar,
humein unke yakeen ke laayak hi nahi samjha.
Ab pata nahi, iss bebaas dil ko
kis baat ka bura lag raha hai?
Ki shayad unpar yakeen kiya joh uske laayak hi nahi the;
Ya shayad unpar kuch zyada hi yakeen kar baethe!
Ki aaj ye sehna pad raha hai!