74.

2K 194 101
                                    

HM stood in her kitchen..

Tasting the left over chicken soup from KS's bowl.

HM: eewwww.. Ye toh wakai bohat ganda hai..

Lekin hum q ye sab khayen piyen... Hum thori na bimar hain..

Kya karen. Khud ke lie alag se cook karne ka man nahi.. Aur himmat bhi nahi.. Abhi sara din inko jhelna hai..

Kuch online order kar lete hain..

Lekin inke samne nahi khayenge.. Warna aafat macha dengi..

-------------------------------------------------------

Some time later over the phone

HM: ji Pushpa ji... Wo bilkul thik hain.. Bas thora sa bukhaar hai kal tak bilkul fit ho jayengi aur aapki aankho ke samne hongi..

PS: ji MS.. Aap keh rahi hain toh aisa hi hoga.. Lekin fir bhi hume ghabrahat ho rahi hai. Aur ... Unki tabiyat thik nahi thi wo ghar q nahi ayin.. Waha aapke ghar q chali gayin..

HM: aapko lagta hai wo khud se ghar aane wali hain... Wo toh hum unhe zabardasti apne saath lekar ayen..

PS: acha thik MS.. Lekin aaj sham duty khatam hote hai hum waha aakar unhe le jayenge..

HM- ..........

PS: MS hum aasakte hain na aapke ghar??

HM: ahhemm.. Ji Pushpa ji.. Aap Maan hain humari.. Humare ghar aane ke lie aapko puchne ki zarurat nahi.. Aapka jab man chahe aap aasakti hain.. Hume khusi hogi..

Lekin...

PS: Lekin kya MS.

HM: Lekin KS ko yaha se le jane ki permission filhaal hum aapko nahi de sakte.. Please PJi.. Unhe kuch din yaha rehne dijye..

PS: Hume fikar ho rahi hai unki isliye.....

HM: Hum abhi aapki baat karwate hai unse video call pe.. Aapko tasalli ho jayegi..

PS: Ji MS please baat krwa dijye na.. Unka toh phone bhi nahi lag raha hai kal shaam se..

HM: Ji.. 5 min dijye hume..

-------------------------------------------------------

In the bedroom

KS: Aap kaha thin itne der se.. Aapko miss kar rahe hain.. Ye nahi ke insaan bimar hai toh kuch der uske pass baithe.. Us se baat karen.. Uska man behlayen..

HM: Acha? Baton se aapka man behal jyga? Wo bhi humari baton se?
She raises a single brow..

KS: nei matlab aap aur kuch bhi kar sakti hain..
Says with a fake shy plastered on her face..

HM: hmmm... thik hai .. Karte hain na.. Aaiye..
She says smiling at KS

KS gets excited and sits up on the bed with an ear to ear grin.

KS: haan aaiye na.. Aaiye aaiye.. Jaldi aaiye..

HM in her head: Pagal hai.. Inko aur kuch sujhta nahi hai?... Halkatt..!!

HM: out loud. Ji abhi aate hain .. Hum aapke pass.. Bilkul pass ..

She says as she moves closer to the bed and gets in the blanket with KS, and continues talking

HM: aurrr...

KS: aur (dreamy voice)

HM: aur fir hum dono....

KS: Haa.. Hum dono

dreamy voice getting rasp

HM: dono milke....

KarEena the Beginning of a SagaWhere stories live. Discover now