Part 1

448 39 25
                                    

Sana is having breakfast with her family on Sunday morning. Her father and her mother are looking at each other. Her brother is looking at his parents confused with their behaviour.

Vivek- Kuchh hua hai kya? Aap ko kya hua hai?

Sana- Kya hua?

Smriti(Shm)- Kya hona hai, Kujh bhi to nhi hua. Chup chap khana khao.

Prakash(Shd)- Hmm. Jaldi jldi kha lo. Aaj mehmaan a rahe hai?

Sana+ Vivek- Kon aa raha hai?

Shd- Pata chal jayega.

Vivek- Yaarrr, apki behan to nhi aa rahi. Agar a rahi hai to batado. Main pehele hi kahin chala jaunga. Na to mujhe uski gusse se laal shakal dekhni hai aur na hi uske taane sunne hai. You know mere shaunk aap se alag hain.(raising his eyebrow)

Sana- Bua aa rahi hai? Aur hum yahan pe breakfast kar rahe hain? Chal bhai jaldi kr mujhe bhagna hai. Itni dur, ki Google maps pe hamari location na mile. Uthh ja bahar se kha lenge. 

Shd- Shhhhhhh. Nhi a rahi hai meri behen. bethho chup chap, khana khao. Aur itni bhi buri nhi hai meri behen. 

Sana- Par buri hai. bahot buri. Khatarnak, lethal hai apki behen. Wo bilkul Harry Potter ke Dementor jaisi hai. Sari khushian kha jati hai. 

Shd- Hn hn meri behen chudail, aur main rakshas. Haina?

Shm- Agar aap bol rahe ho to sahi hi keh rahe honge. 

They all burst into laughter. 

Shd- Achha ji to main rakshas hun?

Shm- Meri maa ne shaadi ke time kaha tha ki pati parmeshwar hota hai. Wo jo bhi kahe, kare, uski han me hamesha han hi hoti hai.

Shd- Ji ji vaise to meri har baat maani jati hai.(rolling his eyes)

Sana- Dad, ye bechara lachar pati ki tarah baad mein, ab batayo kon a raha hai?

Shd- Guess?

Vivek- Pehle kr liya hai. Abhi to apni imagination se bhi dar lagne laga hai.

Sana- Batao na. Agar nhi batana to bhikoi ni. I'll go out with my friends.(shrugging her shoulders.)

Shd- You're not going anywhere today, princess. Someone special is coming. If everything goes well, then, they will be part of this family.

Vivek- What, mere liye rishta aya hai. Finally, mere maa- baap ko samajh aa hi gya ki beta jawan ho raha hai. Ab meri bhi biwi hogi, jo aap logon ki tarah mujhe taane maregi. Mujhe bhi koi daantne wali hogi. Subah uthhane wali hogi. Main uske khane mein se kamiyan dhund ke nikalunga aur mujhe maaregi. Waah, apne to achha din ane wale hain, babu bhaiya.(looking at Sana)

Shm- Wo sab to main bhi kar sakti hun. Aur karti nhi hun.Maar abhi bhi sakti hun. Waise teri harkate hain bhi. I find your description of married life very disturbing.

Sana- He's joking maa.

Vivek- Nhi behen. Yeh hamare dil ki vyatha hai. 

Sana- Then it's a lot disturbing.

Shd- Shut up people. OK, Vivek tujhe dekhne koi nhi a raha. Agar ayenge to zoo se ayenge. Aur pinjare mein lock lagake leke jayenge because you're dangerous. Dangerous for my brain cells.

(taking a deep breath) OK, They are coming for Sana. You remember, my friend Vijay Pathhak?

Shm- Yes, we met them at some party. 

Shd- Yeah, usika beta hai. He wants to get his son married to Sana.

Sana- When are they coming?

Shd- In the evening.

Sana- And you're telling me now?

OMG, That's why you sent me to the saloon yesterday. I thought it was for my birthday.

Shd- NO, that was because my little girl needs pampering once in a while. I just got to know about them in the morning.

Sana- Ohk. So, now what?

Shd- Do you want to meet him?

Sana- Yes. I trust you.

Shd- I love you.

Sana- I lo...

Vivek- I trust you too, daddy.

Shd- Really?? Grow up buddy. Stop being so childish.

Vivek- What ? mujhe to pata hi tha ki main adopted hun.

Shd- I feel the same sometimes. Mujhe to laga hi tha ki hamara baby interchange ho gaya hai. But our DNA match. So, we both are stuck with each other.

Sana- Ho gya? aaj ki beizati puri ho gyi ho to main bolun?

Vivek- Ji devi ji aap boliye, 

She opened her mouth to speak

Boliye, 

She again opened her mouth

Bolte hi rahiye

meri to vaise bhi koi nhi sunta.

Boliye na, bolti kyun nhi, Aarti ka thal le ke ayun?

Sana- Chup krja bhai. Shanti rakh.

Shd- Tu chhod isko. Iske dramas sara din chalte hi rahenge. You get ready by 3:00 pm. We'll welcome them together. OK?

That's it for today, guys. Thank you for reading. Vote and comment if you an update earlier.

BYE!





Short TalesWhere stories live. Discover now