Shareeq-e-hiyaat

306 16 7
                                    

Kehte hy shareeq-e-hiyaat sacha aur naik ho toh dono jahan abad hojate hy aur khas kar agar woh apse beja mohabbat karne wala ho toh kya kehne, aise he ek misaal mere walidain ki thi. Dono ek dosre se bey laus mohabbat karte teh aur duniya ki shayad un giney chuney jordo mey se ek teh yeh jinki mohabbat roz ba roz urooj pe jati dehkayi deti!

"Arey begum mere kapdey kaha gaye??
Mujhe yaha pe mera ek suit bhi nahin mil raha!!",

Ahmed ney akhir tang hokar sofe pe bait kar shiqayaath ki;

"Yeh lijiye ap itna shor kar rahe teh, yeh rahe apke kaprde; esey mene specially apke liye order per silwaya hy,

Kaisi lagi?",

Parveen muskura kar boli;

"Sherwani!",

Ahmed chounk gaya aur utt kar apne begum ko hairat se bola;

"Parveen khair toh hy,
Aaj humari Anniversary hy, shadi nahi!",

Woh Parveen pe hairaan tah;

"Ap bhi na Ahmed,
Dehke na sub hi toh kehte hy ke humari jordi kitni pyari lagti hy; isliye maine apne liye saree aur apke liye sherwani banwayi. Ap khud soche hum pir saat mein kitne khobsuraat lagenge",

Parveen khushi se boli;

"Es mey toh koi shaq nahi ke ap aur main saath mey kitne ache lagte hy",

Ahmed ne begum ka hath apne hath mey letey hue kaha aur Parveen sharmayi;

"Lekin yeh sherwani kuch ziyada nahi hojayega,

Agar humein kisi ki nazar lag gayi toh?",

Ahmed ne agah kiya;

"Allah na karey ke nazar lagjaye, ap bus wahi apna suit pehan le. Mere liye apse bard kar aur kuch nahi es duniya mey!",

Parveen ne sherwani ko fauran almari mey rakte hue boli;

"Lekin phir es sherwani ka kya hoga?",

Ahmed ne ta'jub sey pocha;

"Esey ap prince ki shadi pe pehniye ga",

Parveen muskuratey hue boli aur Ahmed bhi muskuraya;

"Ap ke suits mere kapdro ke side pe rakey hain, ab ap jaldi se tayar hojaye.
Kyun ke mujhe jakar prince ko bhi tayar karna hy!",

Parveen ithla karke mourdi jane ke liye tub Ahmed ne uski qalayi thamli;

"Lagta hy tum bura mangayi,
Hmm",

Ahmed ne dheemi se lehjey mey pocha;

"Nahi,
Aisi koi baat nahi Ahmed",

Parveen pur fiqr hokar boli nazarey churathey hue, Ahmed uske samne akey karda hogaya aur dheemi sey lehje mey pocha;

"Toh phir chehre pe yeh fiqar kyun aur nazrey churane ki waja jan sakta hon mein?" 

"Humein yeh party nahi rakni chahiye thi,

ap theek kehte hy,

agar kisi ki buri nazar lag gayi toh phir kya hoga?

Ek kaam karte hy es party ko cancel karle",

Parveen nazrey jukaye jawaban boli aur phir Ahmed ke taraf dehka jo usey pyar sey dehk raha tah aur uske honto pe mukurahat thi;

"Ap muskura rahe ho,

mein sanjeeda hon",

Parveen ne shikayat ki, Ahmed ne uska hath tham liya aur usey sofa pe baitne ka ishara kiya aur khud uske samney ghotno pe bait gaya;

Hum NafsWhere stories live. Discover now