Saadgi

170 6 7
                                    

"Panch saal mein kafi kuch badal gaya hy, 
hai na!",

Malik Sahab ne chaye ka sip lete hue kaha aur phir baat ko jari rakte hue bola;

"Especially Ayberk ke kamrey ki balcony, kyun ki kuch dino se mein ghaur kar'raha hon ke bar'khurdar apne kamrey se nikalte he nahi hy. 

Subah hospital jatey waqt bhi woh balcony mey aur sham ko wapas toh bhi woh bhi balcony, akhir yeh sarah majerah kya hy? Behan ji",

"Pata nahi bhai jan,

Mujhe toh darr lagta hy kahin usey sardi ya zukaam lag'gayi toh?

lekin Ayberk kisi ki sunta kahan hy woh toh bus sarah waqt apney kamrey  mey band hy, kabhi khirdki sey yahan wahan jhankta hy ya phir balocny sey idhar udhar dehkta hy aur agar kuch pocho toh kehta hy yahan sey bahir ka nazara buhat khobsuraath dehkta hy",

Behan se sarah haal jan'ney key baad Malik Sahab chaye ka cup table pe raktey hue utey;

"Toh yeh wajah hy sahabzadey ki!",

Yeh kehte he woh Ayberk ke kamrey ke taraf chal diye.

*****

Knock,

Knock,

"Kaun",

Darwazey ki kat kata'ney ki awaz sunkar Ayberk ney pocha.

"Yeh buzourg apke mamo hy kuch aisa he kehte hy log humey",

Malik Sahab ney Ayberk ko cherdtey hue kaha;

"Mamo jan,

ap bahir kyun kardey hy andar aja'yen", 

 Ayberk sharmsaar hogaya.

  "Acha barkhurdar toh kya ho'raha hai?",

 Malik sahab ne kamrey ka jaiyza letey hue pocha;

 "Kuch nahi mamu, Kuch bhi toh nahi...", 

Ayberk ne ser ko kuh'jate hue kaha;

 "Arey han!, 

Yaad aya job ke liye apni documents ekatey kar raha tah", 

Ayberk ne yaad karte hue kaha;

 "Job ke liye documents bad mein ekatey kardena, aj sham ko humey ek khaas dawath pe jana hy aur umeed karta hon apse barkhurdar ke ap waqt pe tayar honge", 

Malik sahab ne balcony ke taraf qadam barda'tey hue kaha; 

"Waise yeh dawath kaun dey raha hy? 

Aur humey kitne bajey pohanch'na hai?", 

Ayberk ney fauran Malik sahab ke samney kardey ho'kar pocha; 

"Kyun bhai?

 Balcony mey jana mana hy kya? Hmm, 

Aur apko 8 bajey tak tayar ho jana chahiye samjhe Barkhurdar, 

Aur dawath kis'ke ghar pe hy yeh wahin pe chal dehkiye ga!" 

Malik sahab ne baat ko keh kar kamrey sey chaldiye;

"Oh, God, Yeh dawath bhi aj hee honi thi kya",

Ayberk ney tandhi saans letey hue kaha.

*****

"Rabail,

Rabail...",

Hanifa begum ney poray ghar ko ser pe uttah raka tah, woh ghussey se lal peeli hochuki thi jub unhe pata chala ke unki beti apni kamrey mey nahin thi aur sham key dawath key liye abhi tak tayar bhi nahi thi;

Hum NafsWhere stories live. Discover now