Hawayen

208 14 6
                                    

Kehte hy kabhi kabar zindagi mein ane wali tabdilyon ka eshara sabse pehle hawayen deti hy aur shayad muje bhi yeh hawayen esi ka eshara dey rahi thi.

Bus se uthar tey he ek barfeeli hawa ke jhonke sey mey pouri tarah kanp uta, bus ke chath se conductor ne mera samaan neche pehankte hue kaha;

"Kyun bhai naye ho kya es elaqey mein jo es mamoli hawa ke jhonke se kanp utey?"

Yeh kehte he woh conductor mujh per hans parda aur mein sharmind hogaya lekin esmey meri kya ghalti ; jub koi shaks apne ghar, apne elaqey se panch saal ke liye durr hua ho toh aisa he hoga. 

Kyun ki mujhe ab bhi yaad hy ke jub mene kaha tah ke mein agey ki pardayi ke liye bairoon ney mulk jana chahta hon toh mamo ney sharth raki ke mein apni pouri pardayi mukamal karke ghar laut aon aur meine khushi khushi hami bhar di lekin pir ehsaas hua itna asaan nahi apno se durr rehna woh bhi itne lambe arse ke liye. 

Haqeeqat toh yeh hy ke ghar walo ki ehmiyat ab achi tarah se samjh chuka tah aur ab enke baghair ek aur pal bhi nahi reh sakta tah, Nani, Ami aur Mamu jan se milne ko mey aur intezar nahi kar sakta tah. Esliye jaise mey Karachi pohancha next flight Quetta aur phir jo bus tayar thi Ziarat ke liye mey rawana hogaya aur yeh raha mein ghar walo ko surprise karne agaya. 

*****

"Raat ke ek baj rahe hy aur abhi tak koi sawari mil he nahi rahi, lagta hy bachoo aj raat ko toh tujhe yeh Ziarat ki hawayein apni tand se surprise karne wali hy,

Aey Allah please help!"

Ayberk ne asmaan ke taraf moun karke dil he dil mey kaha, woh buri tarah se kanp raha tah kyun ke kuch deyr baad barf bari aur tez hawayein shoro hogayi thi. Usey lag raha tah shayad yeh uski zindagi ki akhri raat hogi kyun ki jub usne apne ird gird dehka toh P.C.O aur aas paas ki dukhane bhi kabki band hochuki thi. Ayberk apne hath ragard raha tah ur apne chehre pe rak raha tah. Sardi ki shidath hadse ziyad bard gayi thi aur usey apna chehra soun mehsoos ho'raha tah;

"Allah pak,

ek chance dey eske bad no surprises,

Seriously, just one chance!"

Ayberk dil he dil mey dua mang raha tah key tubhi samne sey ek gardi aa'kar ruk gayi aur usmey se ek naujawan bahir nikla jisne balouchi style ke shalwar kameez pehan raki thi  black leather jacket ke sath. Yeh shaks Ayberk ke taraf bardha;

"Kyun bhai es mausam se buhat pyar hy jo yaha karde ho yah phir kisi ka intezar hy apko, waise agar hy toh apki ethla ke liye arz hy ke apke liye es barfiley mausam mey koi nahi aney wala kyun ki eske bad mausam aur bhi kharab hojaye ga aur agar apko bus ka intezar hy toh I'm sorry there is no bus service after 12:00 am brother!,

But if you want a lift then I can give it to you till your destination"

Es balouch larke ney Ayberk ko maouka diye baghair pouri baat kehdi aur Ayberk ne fouran ser ko musbath mey hilaya aur es naujawan ke sath chal diya.

*****

"Acha toh yeh hy sara majera,

ghar walo ko surprise karne ke chakar mey khud he Ziarat ki barfiley hawaon se surprise hogaye,

waise apko jana kahan hy?"

Balouch larke ne drive karte pocha;

"Dr.Malik key ghar"

Ayberk ney jawab mey kaha;

"Theek hy ap befiqar rahiye, hum 10 minute pohanch jayenge"

Us balouch larke ne Ayberk ko Dr.Malik ke ghar ke samne drop kardiya aur chala gaya. Ayberk ne gate ko kholne ki koshish ki lekin woh buhat sakth band tah esliye Ayberk ne pehle apna saman pehanka aur pir khud koud parda aur koud tey he usne apna ghotna zakhmi kardiya. Usey dard toh buhat ho'rahi thi lekin ghar aney ki khushi mey woh usper tawajo nahi de'raha tah. 

Hum NafsWhere stories live. Discover now