Mohabbat

44 4 0
                                    

Kehte hy agar kisi cheez ke barey mey jan'na ho toh uski tareekh khol kar dehk lo lekin agar "Mohabbat" ki tareekh dehki jaye toh esney kya se kya nahin kiya, Bardey, bardey badshahon ke takht-u-taj ko ulat kar rak diye, riyaasathon mey phoot dal di. Ameer ko muflis kardiya aur kisi ghareeb charwahey ko kahin ka sultan bana diya ga , baap ko bete ka dushman bana diya aur agar dehka jaye toh yeh bhi kehna ghalat nahin hoga ke Hazrat Adam(A.S) ney Hazrat Bi bi Hawa (A.S) key mohabbat mey khuda ki nafarmani ki aur saza mey duniya mey bheje gaye...

Yeh "Mohabbat" kisi bhi ibn-e-Adam ki achi khaasi zindagi ko udhaird pudhaird kar rak sakti hy, phir mey Ayberk kya cheez tah...! 

*****

Ayberk ko hill house sey aye hue teen din ho'chuke teh lekin en teen dino mein uska dil ek ajeeb sey kash mash mey tah. Woh chah kar bhi kisi sey apni dil ki qaifiyah bayaan nahin kar' paraha tha, kyun ki agar woh kisi sey kuch kehta toh samjh mey nahin ata key kaise apni pouri baat ko kehta, kyun ki jubse woh Hill house se lauta hy tubse uske sochon ka markaz ek shaks banchuki hy jiske khayalon ko woh jitna chahe rad nahin kar'sakta. Uska naam bewajah uske zubaan pe rehta hy aur kain baar woh khudse uska naam pukar leta tha jaise woh apna naam sun kar ajaye'gi lekin aisa nahin hota. Ayberk ko samjh mey nahin a'raha tha ke usey hua kya hy.

Ajj se pehle woh kabhi aisi bechaini mey nahin tha kisi ke liye aur apne es halath se woh din ba din ulajh raha tha ke ek din Malik sahab ney usey apne sath Quetta chalne ko kaha aur woh khushi khushi raazi hogaya kyun ki ab usey lag raha tha key agar woh kuch aur din apne ghar mey raha toh shayad pagal hojayega aur es waqt usey ashad zaroorat thi ek distraction ki aur Quetta jana usey best option laga aur ab usey ek hafta ho'chuka tha Quetta aye hue. 

Ayberk guest house ke library mey baita khamoshi sey qitaab pard'raha tha key uski nazar ek nazam par pardhi;

Raaton ko jaag kar betha raha hon mein,
Din mey khoya hua rehta hon tumhare khayalon mey mein,
Ajj sey pehle kabhi nahi raha aisi uljhan mey mein... 

Tumhare paas hone sey hota hon ek ajeeb sey sukoon mey mein,
Lekin jub hoti ho nazar sey ojhal, bikahr sa jata hon mein,
Per kyun aisi bechaini mey rehne laga hon mein...

Pehle toh ek si sard hawa ke jhonke sey kanp utt'tha tah mein,
Lekin ab toh barfili toufaano ka bhi koi zorr nahin hy mujh pey,
jub tum hoti ho mere sochon mey,
Yeh kaise jazbaath sey guzar raha hon mein...

Tanhai mey hans pardta hon mein,
Keht kehte chup hojata hon mein,
Ek tera naam pey dil haar baita hon mein...

Kya aisi hoti hy mohabbat jo na chahte hue kar baita hon mein...

Ayberk ashaar pardte pardte dang reh gaya.
Usey ek shaks ke saath bethey hue lamhe yaad ane lagey aur sabse pehle woh lamha yaad aya jub usne Rabail ko pehli baar uske terrace mey qitaab mey kuch likhte hue dehka tha aur phir uska terrace mey barf bari key saath kehlna, woh lamha abhi tak Ayberk ko ek khuwab jaisa lagta hy aur phir us dawat ki raat apna rasta ghom kar'ke jub woh ghalthi sey Rabail ke kamrey chala gaya tha. Us din usey ehsaas huwa key woh ek khobsuraat haqeeqat hy jo uske ghar ke qareeb rehti hy per khobsuraat khuwabon ki tarah buhat kam nazar ati thi aur sabse haseen lamha tho woh sham thi jub usey Rabail ke dilkash sey naam ka pata chala aur apni nadani mey usne Rabail ki nazurk si kalayi tham'li thi kyun ki woh usey kohney se darr gaya tha. 

Sarey lamhe ek ke bad ek Ayberk ke zehan mey gardish karne lage aur ek sawal uske mann mey uttah;

Usko kohne ka khayal kyun itna dara deta hy mujhe jubke haqeeqat mey woh meri hy he nahin...

Ayberk ney socha aur ankhein band ki;

"Rabail..."

Usne sargoshi mey uska naam pokara aur uske zehaan mey woh misra aya;

Hum NafsWhere stories live. Discover now