Apna sa!

117 3 0
                                    

Itna he yaad rakna mujhe 

Jaise kisi qithab mey

betain dino ke dost ka.

Ek khath parda hua miley!

Rang urda urda sa ho,

Leiken woh Ajnabi na ho.

Betain dino ki sub khata,

Bhooley hue tamam sukh,

Guzrey hue tamam dukh,

Tujhse kahe aur roh parde...!

Yeh ashaar pardne ke baad Rabail ney qitaab band karke asmaan mey safaid roshni pelathe hua chand ko dekhne lagi jo pahardo ke ott se nikal raha tha aur apni es anmol se khobsurati se woh es raat ko haseen bana chuka tha;

Na jane kitni nigahain chand ko dekh rahi hongi,

Kya woh Ajnabi bhi esey dekh raha hoga?

Yeh ajeeb sa sawal Rabail ke dil mey utah.

Woh chand ko khamoshi se taakey ja'rahi thi lekin phir usey achanak se woh shaam yaad agayi jub woh Ajnabi pehli martaba eske kamrey main chupne ke liye ghuss gaya tha.  Jo kafi pur'kashish shakisyath ka malik tha aur us'par safaid rang ka shalwar kameez kuch ziyada he jach raha tha.

Uski gehri bouri ankhein aur us pe sanwla rangath aur dil ko lubah dene wala toh uske baat karne ka andaz aur soney pe sohaga toh uske baat karte waqt dono galon per halke se dimple pard jane ka manzar. Lekin en sab khubiyon ke elawa koi aur baat thi jisney Rabail ke dil ko uljha ke rakh'diya tha;

"Tum toh  Haqeeqat ho!

Mein tumhe ek khobsuraat sa khuwab samajh raha tha jo insaan kabhi kabhi apne kholi ankhon se dekhta hai",

Yeh baat kehte hai es ajnabi ke honthon pe halki si muskan ayi.

"Jii...???"

Rabail ne chounk kar kaha.

"Jii...

Kyun ke main pagal toh yehi samajh raha tha ke ap bus mera khayal ho, lekin ap toh ek khobsurat haqeeqat ho jisey ajj maine jana..."

Ajnabi larke ne nazre jhuka kar apne balon main haath pairthey hue kaha.

Lekin abhi bhi Rabail ke samajh main kuch nahi a'raha tha aur woh be'sakhtah hokey cheekh pardi;

"CHORRRR...!!!",

"Kkkkkyyyyyaaaa...
CH CH CH CHORRR...!!!",

Ajnabi chonk kar hakla kar bola;

"Kya main apko chor lagta hon?"

Usne hairaat se Rabail ko dekh kar sawal kiya.

"Guards..."

Ajnabi ke sawal ko un'suna kar'ke woh phir se cheekhi.

"Arey suniye main CHOR nahi,
Kya main such me apko chor lagta hon,
Han?"

Ajnabi ne bardi dheemi se awaz main pocha. Uski gehri ankhain bhi Rabail se yehi sawal kar'rahi thi. Yeh sun'kar Rabail Khamosh hogayi aur dono ke darmaiyan khamoshi si chahgayi aur aise main ek tez hawa ke jhonke sey kamrey ki khirdki khulgayi aur kamrey main sard hawa ki leharey phail gayi.

Hum NafsWhere stories live. Discover now