Mulaqatain

56 1 4
                                    

Family

kunmba, 

khandaan, 

gharwale,

apne...

Zindagi mey pehli baar Rabail ko ehsaas hua key sahi mainey mey ghar mey log apas mey kaise rehte hai. Kaise apas mey hanste hai aur kaam karte hai aur choti choti baaton per khush hote hai, kaise ghar ke barde pyar se har baat ko samjhate hai aur kabhi kabaar bacho ke saath mil'ke bachey ban'jate hai. Nani, Ami aur ek mamu ka pyar kya hota hy Rabail ko es ek hafte mey pata chal gaya aur jane anjane mey ek shaks sey uski dosti hogayi aur yeh woh wahid shaks hai jo usey din mey kayin baar hasane mey qmaiyaab hojata hai, chahe woh kitna bhi koshish karle thi per woh shaks uske chehre per muskurahaat zaroor ley ata. Rabail muskurayi jub usey woh din yaad ayi jub woh pehli baar us shaks ke ghar gayi. Usey toh lag raha tha shoro mey ke uski ami kabhi nahin maney gi lekin jaise he usne kaha key Parveen auntie buhat acha knitting karna sika thi hai. Yeh sun'ney key baad  Hanifa begum fauraan raazi hogayi aur Rabail ko jane diya jiski usey buhat kam umeed thi. Rabail ko us shaks key barey mey Neelam sey pata chala ke woh Malik sahab ka bhanja hy esliye usne wahan knitting ka bahana ban liya. Usey abhi tak yaqeen nahin a'raha tha ke woh apne favorite books key liye es hud tak ja'sakti hy lekin jo baat Rabail ko abhi tak hairaan karti hai aur uske chehre per muskurahat lati hai woh hai us din ki yaad jub woh sunday ki subah Malik sahab ke ghar gayi thi. Malik sahab, Rabail ke collage mey professor teh aur unke sabse kabil students mey sey ek thi woh. Aur us din jub woh waha gayi toh sab buhat khush hue usey dehk kar lekin un sab mey woh kahin bhi nahi tha.  

Rabail subah 10 bajey sey Malik sahab ki behan sey knitting seekh rahi thi aur waqt kaise guzar gaya usey pata bhi nahin chala. Dupehar hone ko ayi lekin us janaab ka kahin durr tak ata pata nahin tha. Ek lamhe ke liye toh Rabail ko laga shayad Neelam ney usey ghalat ghar ka bataya hoga . Woh sochon mey es hud tak goum thi key usey pata bhi nahin chala key koi upstairs neeche agaya. Usey Malik sahab ke awaz ney sochon ke bhawar se nikala;

"Shukar hy sahabzade ney uthne ka socha aur yaha aye... Beti, ense milo yeh mera beta Ayberk... jiske barey mey tumse aur Balach sey hamesha baatein kiya karta tha..."

Malik sahab ney kisi ke taraf ishara karte hue kaha.
Rabail ki peeth thi us shaks ke tarad esliye woh  uthi aur mourdi  aur us shaks sey amney samney hui jisney eski kal raat ki neend urda di apni baaton sey. Apne sochon ko rad kar'ke woh apne samne us shaks ko dehk kar halke se muskurayi, usey yaqeen nahin a'raha tha ke jis shaks ka zikar woh hazaron baar sun chuki thi apne professor se woh shaks koi aur nahin balkey yeh hai.  Es sey pehle ke woh shaks kuch kehta Malik sahab ney apni baat ko jari rakte hue kaha;

"Aur ap janaab... ense milye... yeh hy meri sabse samjhdaar shagird Rabail chaudry... Chaudry sahab ki beti... woh jinki dawath mey hum gaye teh... yaad hy na!"

Malik sahab ney kaha per Ayberk ney khamoshi se ser ko sirf musbath mey hilaya.
Uske chehre pe saaf nazar a'raha tah ke usey yaqeen nahin a'raha tha ke Rabail uske ghar mey thi. Us beyaqeeni ke bawajood uske bori ankhon Rabail ney apne liye kuch alag sey jazba'ath dehke aur esi dauran kisi ney darwaze pey bell bajayi. Malik sahab ney mauzrath ki aur darwaze ke liye chale gaye aur usi dauraan Parveen utt kar kitchen ke liye chali gayi aur saath mey nani bhi utt gayi namaz ka keh ke. Es'sey pehle woh kuch kehti, Ayberk ney kaha;

"Rabail..."

Apna naam eske zubaan sey youn sun'na Rabail ke dil ko ajeeb se qaifiyath mey mubthala kar baita aur woh soch mey pard gayi;

Kahin mera eske ghar youn ana ghalat toh nahin tha...   

Rabail ney mann he mann mey socha.
Ayberk usey pyar bhare nazaron sey dehk raha tha aur woh ahistha kadam lete hue Rabail ke taraf barda, woh kuch kehna he wala tha key Malik sahab ki awaz ney usey rok liye;

Você leu todos os capítulos publicados.

⏰ Última atualização: Apr 21, 2021 ⏰

Adicione esta história à sua Biblioteca e seja notificado quando novos capítulos chegarem!

Hum NafsOnde histórias criam vida. Descubra agora