Mera Dost.

101 3 2
                                    

"Balach did you found him?",

Malik sahab ne mehmaano pe nazar dauhrathey hue poch Balach se;

"Not yet sir,

I don't see him anywhere,

Uncle ek baat kahon, apko Ayberk se woh sab kuch nahi kehna chahiye tah. Lagta hy woh apki baat ka kuch ziyada he bura mangaya",

Balach ney hichkicha teh hue kah;

"Han Beta shayad tum theek keh'rahe ho, khair lekin ab yeh bar'khurdaar mil toh jaye phir eska mood kaise theek karna hy yeh sirf eska mamu janta hy...",

Malik sahab ney muskurathey hue kaha.

Malik sahab aur Balach, Ayberk ko kafi deyr tak tent mey dhoondteh rahe lekin Malik sahab thak kar bait gaye;

"Mey ek bar phir usey bahir dhoond key ata hon",

Balach keh kar tent se bahir chala gaya aur dehka barf ke chadar mey lepti hui garden mey ek shaks kharda balcony key taraf dehk raha hy. Balach us shaks ke kareeb jakey dehka toh woh Ayberk tah jo balcony ki khirdki ko dehk kar muskura raha hy;

"Ayberk tum yaha kya kar rahe ho,
tumhe hum kabse dhoond rahe teh yaar!",

Balach ney pocha lekin Ayberk toh jaise apne hosh mey he nahi tah woh deewanon ki tarah muskura raha tah.

Bina ek lamha zaya kiye Balach ney Ayberk ka haath pakarda aur usey andar tent mey ley gaya Malik sahab ke paas;

"Uncle, yeh raha apka bhanja!

pata nahi bahir kya dehk kar yeh muskura raha tah",

Balach ney Ayberk ko hairaangi se dehkte hue kaha. Malik sahab ney Ayberk ko pyar sey dehka;

"Beta kahan chale gaye teh,

tumhe zara bhi andaza hy key mein tumhare liye kitna pareshan hogaya tah,

yeh koi tareek hy naraz hoke jane ka?

Hmm",

Malik sahab ney Ayberk ko sehlateh hue kaha.

Dono Ayberk sey sawal kiye ja'rahe teh lekin woh manu jaise kisi aur duniya mey ho, kyun ke woh abhi bhi muskura'rah tah, lekin phir Balach ne tang akar Ayberk ko jhinjorda.

"Hey dude,

Tum theek toh hona,

mein aur tumhare mamu tumse kabse sawal poch rahe hy aur jubke tum ho key kuch boltey he nahi,

Sab khair toh hy na,

tum kuch boltey kyun nahi...",

Balach ney ek saans mey keh diya.

Ayberk hosh mey agaya aur dehka ke woh apne mamu aur Balach ke samne karda tah aur usey yaad aya key woh toh ensey khafa hoke chala gaya tah. Lekin apne mamu ko pareshan dehk kar ussey bura laga, woh apne mamu sey galey lag'gaya;

"I'm sorry mamu jan,

mujhe nahi pata tah ap itne pareshan honge",

Ayberk ney apne mamu ko mauzrath bahri nigahon sey dehk kar kaha aur phir se apne mamu ke galey lag'gaya;

"Ahem,

ahem...",

Balach ney kankahr'teh hue apni taraf ishara kiya. Ayberk aur Malik sahab ne uske taraf dekha aur Ayberk muskuraya;

Hum NafsWhere stories live. Discover now