Khobsurat Mulaqaat

112 3 0
                                    

Kehte hy uppar wala apne bande ke liye jo bhi karta hy uske bhaley ke liye karta hy lekin mujhe es baat ka andaza tub hua jub mujhe woh mili aur hui ek khobsuraat mulaqaat...

Ayberk ko karachi se aye hue 3 hafte hochuke teh aur ajj Balach usey apne sath bahir ghumaney ke liye ley ja'raha tah.

"Yaar, Balach,
Itni packing karwa ke tu mujhe kahan ley jaraha hy?"

Ayberk ney radio ki tunning karte hue pocha;

"Mere dost, 
Hum peer ghaib ki taraf ja'rahe hy,
Waise mausam kafi khobsuraat hy na!"

Balach ney kaha,

Lekin Ayberk ko kohya kohya sa dehk kar woh hairaan tah. Jahan tak usney Ayberk key bare mey Malik sahab se suna tah key Ayberk kafi batain karne wala aur khoob masti karne wala ladka tah per ajj uske samne ek khamosh aur gumsum sa Ayberk baita tah. Balach enhi sochon mey gum tah key uski nazar saraak per pardi aur usne fauran gardi ke break pey paer raka. Itne zorr se break laga di ke dono ka ser dashboard pe lagte lagte bach gaya;

"Kya hua?"

Ayberk ne sawal kiya;

"Woh hua"

Balach ney saraak pey kardi hui ek gardi ke taraf ishara kiya aur apni car se uthar gaya. Es'sey pehle ke Ayberk kuch pochta Balach us dosri gardi ke taraf ja'raha tah, jis'mey do khawatheen baiti hui thi aur unka driver Balach se baat kar'raha tah.

"Ayberk!"

Balach ney Ayberk ko zor se awaz di aur hath se ishara kiya ke bahir aja.

Ayberk ne susthi kar'ke car se uthar gaya aur Balach ke taraf gaya;

"Yaar, inke gardi ka petrol khatam hochuka hy esliye mein aur yeh bhai sahab jake petrol leke ate hy, tub tak tum enke gardi mey baito"

Balach ney tafseel sey kaha bina Ayberk ko mauka diye aur driver ke sath chal diya apne car ki taraf;

"Lekin Balach meri baat toh sun"

Ayberk ney Balach ko peeche se awaz di;

"Mein janta hon tum kya kehna chahte ho,
no worries buddy, woh mein akey sun'longa"

Balach ney shararat bare andaaz se kaha aur apne car mey bait ke rawana hogaya jubke yaha karda Ayberk ghussey mey aag bagola ho'raha tah aur apne dost key aney ka intezar kar'raha tah.

*****

Neelam ney apne taraf ke seeshey ko uppar kardiya;

"Kya hua Ayi?

apko sardi lag'rahi hy kya?"

Rabail ney Neelam se ehtaraam se pocha;

"Han beta"

Neelam ne kaha.

Rabail aur Neelam long drive key liye ghar se driver ke sath nikale hue teh kyun ki Rabail ko ziyada gumney phirne ki ijazath nahin thi lekin ajj  buhat mushkil se uski ami ney ijazath di thi. Rabail ki koi dost itni durr athi us'sey milney nahi atey.  Uske sare dost Islamabad ya pir Lahore mey teh aur ajj itne dino ke baad jub woh ghar se bahir nikli toh achanak se beech raste mein enki gardi ka petrol khatam hogaya aur Balach ney inki gardi dehki;

"Beta,

yeh larka bahir tand mey karda hy esey car mey akey baitna chahiye"

Neelam ney fikarmandi se Ayberk ke taraf dehkte hue kaha;

Hum NafsOnde histórias criam vida. Descubra agora