Intezaar

49 3 0
                                    

Janta hy ke woh na ayenge,
Phir bhi masroof intezaar hai dil...

Faiz Ahmed Faiz

*****

Asmaan sey gerte hue snowflakes hawa ke halkey jhonke se jhoom rahe teh lekin jaise he woh zameen ki satey se qareeb hote toh woh peghal jate aag ki garmaish se. Ayberk apne ghar ke bahir lawn mey bonfire ke paas baita barf bari ko dehk raha tha. Haath mey garam chai ka mug liye woh apne ghar ke saath shaan'daar haveli ko ek sard aah lete hue dehka;

"Tumne kya kiya...?"

Balach ney hairaath sey pocha jubke Ayberk muskuraya apne aqal mandana plan ka qisa suna kar;

"Maine wahi kiya jo tumne abhi tafseel sey suna mere zubaan sey aur apne alfaz mein wapas repeat nahin karta ... aur es meay itna chounk'ne wali koi baat nahin... I believe agar tum hote aisi situation mey toh shayad tum bhi yehi karte..."

Ayberk ney baat ko youn kaha jaise usne koi haqeeqat bayan ki ho;

"Chounk'ney ki toh tum baat he maat karo mere majnu dost... waqai mey kisi insaan ko pehli daffa dehk kar kabhi judge na kiya jaye kyun ke, jo apko buhat seedhe saadhe lagte hy... woh ek number ke do number waley log hote..."

Balach ney Ayberk ko dehk kar afsoos bhare andaaz mey kaha;

"Kya mutlab hy tumhara..."

Ayberk ney Balach ke tasoraath dekh kar pocha;

"Mutlab yeh key jub mene tumhein pehli baar us barfani raat mey dehka tha toh yaqeen karo mujhe tum duniya ke sabse shareef aur suljhe hue ibn-e-adam lage lekin ajj tumhare es khatarnaak aur shayad kehna ghalat nahin hoga ehmakana sey muhim ki dastaan sun kar mein apni raye badalta hon... "

Balach ney tafseel dete hue kaha;

"Tumhe lagta hy mene jo kiya woh ghalat tha..."

Ayberk ney be'yaqeeni sey pocha, yeh sun kar Balach hans parda aur apne dost se kehne laga;

"Ghalat toh hy... kyun ki jis larki ko buhat mushkil sey ghar se bahir jane diya jata hy, tumne us'sey aisi cheez ley li jo usey behad pyari hy... shayad tum nahin jante per mein aur tumhare dil ko jo itni azeez hy woh muhtarama ek he collage mey pardte teh... aur un dino mey mene ek baat ghaur ki enke barey mey aur woh yeh key enki tawajo ka markaz sirf qitaabein hy aur agar woh le liye ense toh tum enki black list mey ajaoge bajaye good list mey... so apne zehan se apne shandaar plan ki qamiyabi ka jashan bhool jao... kyun  ke aisa kuch nahin hone wala jaise tum soch rahe ho..."

Balach ney Ayberk ko samjhaya.

Balach ke saath kiya hua baihas Ayberk ke zehaan mey gardish kar raha tha jubke uski nigahain us andhere kamrey ki balcony ko dehk rahe teh;

Kya waqai mey, jo mene kiya woh ghalat aur fuzool hy... kyun ke ajj raat ko do hafte porey hojane ko hy... per es larki ka koi ata pata he nahin... lagta bachoo tune apne apko khud he es larki ke blacklist mey dawath dey di aur list ke top pe shayad siya rang ke siyahi se mera naam likha hua hoga...

Ayberk ney soch aur apne sard chai sey sip li jubke uski nazarein abhi tak us samne wali balcony pey thi es umeed mey ke shayad deedaar hojaye per hasb-e-mamool kuch bhi nahin.

*****

"Baita ap khane pe apna ghussa kyun nikaal rahi hy... mujhe yaqeen hy ke apko apki qitaabein mil jayegi... khali pait koi bhi kaam theek se nahin hota insaan sey... esliye ap pehle dinner karle phir shoppers mey apni qitabon ko dhonde..."

Hum NafsWo Geschichten leben. Entdecke jetzt