chapter 9

760 64 37
                                    

Hello everyone first of all wish you all a very happy second anniversary of edkv and wish you all a very happy Holi...may this Holi brings lots of colors of happiness  and success...may your life fill with joy and prosperity....wish you all have a wonderful , healthy and safe holi....
Here is the next part of the story with the continuation of sumo's dairy

Pct case page

"Mera dil aaj bhi nhi manta ki ye sab jante hue bhi tum mere sath aisa kar sakte ho....tum he kehta the mera koi Sapna tootne nhi doge...phir kaise tumne pct ko tootne diya...tum jante the ki ab pct mera Sapna hai phir bhi....aaj kya galti kar di mai ne jo ek dost par yakeen kar liya ki wo mera koi Sapna tootne nhi dega...wo kabhi mujhe hurt nhi karega wo meri help karega....tum he batao naa shravan kya such me mai ne itni Badi galti kar di tumhe tumhari maa se mila kar...ki pehli baar apni dosti nibha kar ki tum mere sapne mere maa ke naam ko he barbaad kar do.....kya nhi socha tha ki tumhe tumhari maa se milaungi..tumhare mnn ne aurato ke liye jo nafrat hai wo mitaungi or phir hum sath honge par tum to jaise ye chahte he nhi...tum such ko dekhna chahte he nhi...yaa phir mere apni jaan daw par lagane ke baad bhi tum mujh par bharosa nhi kar paye..tum mujh par bharosa karo yaa naa karo par mujhe bharosa hai tum par bhi or tumhare waado par bhi...wo waade jo tumne bachpan me kiye the or aaj bhi nibhate aa rahe ho....aaj tumhare office me uncle ke liye ye to keh diya ki tumne ye sab kiya par tumhari aankhe kuch or he kahani bayan kar rahi thi...tum chahe kitna bhi chupa lo tumhari ye aankhe sab keh deti hai or aaj bhi ye keh rahi thi ki tumne ye nhi kiya hai ki tumhe bhi mujhe takleef me dekh kar dard ho raha hai...par pta nhi kyo tum manna nhi chaahte.... kya hai jo tum mujhse chupa rahe ho???tum kaho yaa naa kaho mai Jaan jaungi tumhari sumo hun Jaan kar he rahungi..."

Sumo's recovery

"Mai janti thi ye baat mera dil manne ko taiyaar nhi tha ki tum kuch bhi galat kar sakte ho...par tum khud he keh rahe the to manna pada...par aaj jab chachi ne kaha naa ki tumhe to pta he nhi tha ki pct us land par tha tab laga maano mera dil jeet gya ho....mere accident ke baad tumhara meri itni care Karna, mujhe theek karkar he chorna, kaise zaroorat padne par humesha sath rehne ka faisla Lena, kaise apna haq jata dawa ke liye dattna...mera dil kehta tha ki tum nafrat nhi karte bss thode naraz ho....aaj jab tum u he chale gye the naa to dar gai thi ki kahi phir se hum door to nhi ho jayenge...tumhare sath rehte rehte tumhari aadat jo pad gai hai....jab tumse sari galatfehmi door Hui naa to laga phir se paa lungi tumhe ab is ummeed ko tootne mat dena...ab to bss intezaar hai ki kab tum mujhe bulaoge apne dil ki baat batane...or is bar mai wait karungi....tumhari sumo hun zaroor aaungi...."

Ramnath's deal page

"Janti hun shravan kyo bulaya tha tumne mujhe...jis din ke liye pichle 10 saalo se wait kiya wo aaj aaya bhi or chala bhi gya par naa mere hath wo lamhe lage naa tumhare hath jinke liye hum dono barso tadpe....kyo mujhe wo mauka nhi milta ki mai tumhe khushiya de saku???ki apne bachpane me diye zakhmo par apne pyaar ka marham laga saku....kya hum kabhi sath me khush nhi ho payenge....uncle aaye the aaj unhone mujhse kaha ki agar mai apni behan or apne friend ki shadi Karna chahti hun to tumse mujhe door hona hoga...tum he batao shravan mai kaise ek ko chunu???ek taraf wo parivaar jisne mujhe ghar diya parivaar diya wo Behan jo mujhse choti thi phir bhi mujhe apni gudiya de di khelne or dusro taraf tum jo mere liye khud apne aap me meri family hai jisne ma ki tarha girne par marham lagaya papa ki tarha homework karaya siblings ki tarha mere sath khela dost ki tarha humesha sath khada raha or pyaar ki tarha sare nakhre utthaya....aaj tkk is ghar ke logo ne jitne ehsaan kiye unhe chukana hoga shravan...meri maa ke naam ka karz bhi utarna hoga or isliye mai ne uncle ki shart maan li par meri maa gawah hai mai ne apne pyaar ki bikne nhi diya...kyoki tum par bharosa hai jaise humesha family ki tarha sath diya hai tumne waise he ab bhagwaan ki tarha meri sari problems door kar doge...mujhe tum par or tumhare pyaar par bharosa hai tum zaroor mere pass aaoge or apne dil ki baat kahoge....phir mai sab chor kar tumhare pass aa jaungi...tumhari sumo hun tumse kabhi alag nhi jaungi...."

Flashback end

Now shravan is crying bitterly the words of last page keep flashing in his eyes "bhagwaan ki tarha meri problem door kar doge"......

Pushkar came in his room for some case files but his brother's condition made him weak...he was still angry with him but after seeing him in guilt his heart started melting for him he don't hate him now....
Shravan is sitting on the floor with a photo of sumo in his hand he was weeping his heart out ...he didn't even realise pushkar's presence .....
Pushkar came to him and asked him kya hua aap aise kyo ro rahe ho....
He looked toward pushkar and said "sab barbaad kar diya mai ne pushkar wo mujhe bhagwaan manti thi apna...har baat par bharosa tha use mujh par ki mai apne waade kabhi nhi todunga...ki mai kabhi use hurt nhi karunga ki mai bhagwaan ki tarha uske sare problems door kar dunga par mai to insaan bhi nhi nikla chote....kitna hurt kiya hai use or usse zyada mujh par uske bharose ko... par aaj bhi wo meri care karti hai aaj bhi hospital me mujhse keh kar gai ki apna dhyaan rakho...aaj bhi mujhe gira dekh kar turant doctor ke pass le gai...mujhe aise dekh kar ghabra gai...Rone bhi lagi....tu bta naa chote wo ab bhi mujhse pyaar karti hai naa???agar nhi karti to roti kyo??bol naa chote tujhe to best friend bolti hai tujhe to batai hogi naa....kya wo wapas aayegi ???wo nhi aayegi to mai mar jaunga....."

His last line made pushkar worried and emotional....he knew that his brother is dying in guilt and he also knew that his best friend is dying by hurt...he didn't say anything about this...

After some time pushkar said
"Aap please itna mat socho ye khana khao or dawai khao or so jao doctor ne aapko aaram karne or stress lene mna kiya hai...."

"Nhi mai dawai nhi khaunga jab tkk sumo nhi khilayegi....agar wo nhi hogi to mai theek ho kar kya karunga??? Ji kar kya karunga???" Shravan said

Pushkar thought only his brother's hope can make him better so he said "aap dawai nhi khaoge or theek nhi hoge or usko manaoge nhi to kya khud wapas aa jayegi wo...manana to padega naa use or uske liye theek bhi hona hoga or dawai bhi leni hogi...."

And pushkar's this trick made him do everything....when he finished his food and medicine pushkar was about to leave his room before that he said to shravan "ye pagal aawara aashiq ki tarha sadko me peeche ghoomne se pct ke bahar dhoop me khade rehne se or zameen par so kar bhooke pyaase reh kar bimar hone se wo wapas nhi aayegi...sumo hai lokpaal nahi Jo anshan Kar rahe ho....wapas pana hai use to jo galtiya ki hai unhe sudharna hoga...jitne zakham diye hai unhe bharna hoga or kabhi dobara hurt naa karne ka bharosa dilana hoga tab jeet paoge use or ye sumo ka best friend advice de raha hai" ...

And he left from there
Shravan looked sumo's photo with new emotions with love hope and determination of getting her back .....
But before that he knew that he has to analyse his mistakes.. He has to read her dairy once again from there where he started  making the biggest mistake of his life....
He opened her dairy and started reading it.....
____________________________________

Please ignore all types of mistakes I didn't get time for editing...
I know it's boring but still want to know your thoughts.. please tell me in comments....once again a happy Holi

Love😘
Sweksha

Voice Of Her SoulWhere stories live. Discover now