chapter 14

794 56 23
                                    


At pct
"Chal suman puttar mai chalta hun ab bada changga halwa banaya tu ne... Or puttar aise he tarakki karte jao or poori dilli me best business women ka award bhi tujhe mile...or puttar kabhi bhi tujhe koi bhi help ki zaroorat pade apne is lalaji se bolne me sankoch naa karna..."

Suman smiled and touched lalaji's feet...

"Khush raho puttarji or naye contract ke liye all the best...
Pushkar puttar mai chalta hun mishra ji ne bulaya hai tu aaram se baat kar suman puttar ke sath..." Said lalaji and left from pct

After some time pushkar brought sumo to a park which was near pct

Pushkar said "sumo mujhe tujhse kuch zaroori baat karni hai...please meri poori baat bahut dhyaan se sunna "
Sumo nodded

Pushkar said "sumo dekh janta hun ye Sab Jo tu ne itne din saha hai wo aasan nahi hai...Teri apni family tujhe use kiye jaa rahi thi upar se sir ne blackmail kiya phir Teri apni behan ne bhi selfishness dikhai or tere lite kuch nahi kiya..ek dost tha usne to jaise aankho me patti he bandh li thi or bina dekhe tujhe hurt karta gya or saare rishte tod diye or ek mai jo apne me he itna busy tha ki Tera dukh dikha he nahi...dekh mai janta hun is Sab ke baad tujhe kisi par bhi bharosa karna mushkil hai pr kya tu kabhi kisi par dobara bharosa nahi karegi...kya kabhi kisi ko second chance nahi Degi??"

Sumo said "tu kehna kya chahta hai pushkar saaf saaf bol"

Pushkat said "dekh sumo life bahut Badi hai aise akele nahi kaati jaati...mai janta hun ki tu aaj bhi Bhaiya se pyaar karti hai or ye baat mai smjh Sakta hun ki kitna bhi naraz kyo naa ho jaye hum par pyaar reh he jata hai....or ye baat mai isliye janta hun kyoki mai ne bhi pyaar kiya hai...aaj jab Bhaiya ko tu move on karne bol rahi thi tab Teri aankho me bhi aasu the...or please ye mat bolna ki aisa kuch nahi hai....mai janta hun wo jitna hurt hote hai usse zyada tu hurt hoti hai or iska ek he solution hai sumo....Bhaiya ko punish kar par unko ignore mat kar....unhe ek or chance de de...mai nahi kehta ki tu sab bhool jaa or maaf kar de...mai bass ye chahta hun ki tu unhe ek mouka de de...mai ne dekha hai unhe tootte hue...guilt me tadapte hue....khud ko takleef dete hai...khana nahi khaate hai...zameen me sote hai kehte hai ki meri sumo ke pass pct me bed nahi hai wo bhi to neeche soti hogi...yaha sota hun to uske pass hone ka ehsaas hota hai...mai jab bhi milta hun sirf tere bare me puchte hai...har ek baat par sirf tujhe yaad karte hai....unhe bachpan se bahut strong dekha hai apni family tootne , ghar se door hone...bachpan me bhi dost naa hone par bhi itna kamzoor nahi dekha jitna tujhse door hone par dekha hai....roj tera wo box le ke baith jaate hai tere letters baar baar padhte hai...unhe lagta hai tu unse baat kar rahi hai....sumo mai bhi naraz hun unse par pichle kuch dino me unki jo halat hai wo mujhse nahi Dekhi jaati....unki galti hai par utni nahi jitni unke perants ki hai unke....11 saal pehle jab sir or Badi maa ke jhagde hote the to waise he wo rishto ko le kar doubt me aane lage the...phir jab Badi maa unhe bina kuch bataye chali gai us time par emotionally weak ho gaye the or unhe support sir be kiya to wo un par trust karne lage...phir Badi maa ne bhi unse contact nahi kiye kabhi to unhe yakeen ho gaya ki unko maa ne unhe chora hai...or jab koi apna dhokha deta hai to sabse bharosa utth jata hai ye to tu bhi janti hai...or phir isliye jab tu ne bhi unke samne sir ko galat bataya to wo hurt hue kyoki jab tu bhi nahi thi unke pass tab sir the unke pass...aaditya ko jab tere sath dekhte the tab unhe lagta tha ki Badi maa ne he tujhe unse cheena hai...jab tujhe khud se door jata dekhe to bardasht nahi kar paye or isliye unhone wo sab kaha ek bar apni maa ko to rok nahi paye par tujhe nahi khona chaahte the....isliye galat rasta apna liya...tujhe pta hai us din Badi maa ne unse kaha ki wo unke bete ki khushiyo ke beech naa aaye or tujhse door rehne ko kaha...ye baat khud Badi maa sir ko bata rahi thi tab mai ne suna...tu he bta sumo jab tujhse sir ne Bhaiya se door rehne kaha tu kitna hurt hui waise he jab badi maa ne apne adopted child ka side liya or unhe unki best friend jisse wo pyaar karte the usse door rehne kaha Ek taraf tujhse alag hone ki takleef phir apni he maa ka wo pyaar Jo unke liye tha kisi or par lutana ye sab unse galat karwata gya...is sab me unki ye galti thi ki unhone apni ego me tujhse apne dil ki baat nahi ki...Teri majboori janne ki koshish nahi ki...ek bar bhi Teri baato ke bare me socha nahi or janna nahi chaha....baaki shadi se le kar Jo bhi ab tkk kiya wo to unse baat kar ke he jaan payenge....unse Jo bhi galti hui use koi bhi reason justify nahi kar sakta...par ye bhi such hai sumo galti hum sab se hui hai humari galtiya unse shayad kam ho par galtiya hai....jab unki galtiyo ka reason koi mayne nahi rakhta to humari galtiyo ki reasoning kis kaam ki...bachpane me he sahi tu ne bhi dhokha diya tha par Bhaiya ne tujhe second chance diya or mai ne bhi kabhi tumhari problems par dhyaan nahi diya isliye galat mai bhi hun par Bhaiya to mujhse naraz bhi nahi hue...dusra mouka hum sab ko bhi mila hai to kya Bhaiya ko nahi milna chahiye....dekh Jo galtiya unse hui hai unse unhe nikalna hai yaa ye kaho sudharna hai...or ye sab tu kar sakti hai...please tujhe jitna time lage utna le par ek bar sochna zaroor...."

Voice Of Her SoulWhere stories live. Discover now