chapter 11

700 55 25
                                    

Marriage fixing day

"Mai janti thi shravan tum aaj bhi meri fikar karte ho....or shayad isliye  aaj tumne shadi ke liye haan keh di....tum kitna bhi koshish karlo mujhe ye jatane ki ki mai tumhare liye special nhi hun, ki tumhe meri koi fikar nhi hai, ki tum nafrat karte ho mujhse par such to ye hai ki tumhare dil me mere liye wo feelings aaj bhi hai jo us 10 saal purane khat me tumne likhi thi....aaj bhi tum mujhse utna he pyaar karte ho...bss thode se naraz zaroor ho...par mai bhi sumo hun tum kitna bhi naraz ho lo mai tumhe mana lungi....tumne us din kaha tha ki tum ye sab kisi bhi ladki ke liye karte...par such to ye hai ki kisi ke liye tum kisi ki jaan lene par nahi aa jaate...kisi ke liye Itna gussa nhi hota tumhare mnn me jitna mujhe hurt karne waale ke liye tha...kisi ki shadi ke liye bina mousam tum tulips nhi bulaate....tum maano yaa naa maano par pyaar to tum aaj bhi karte ho...nhi to aurato se itni nafrat karne ke baad bhi tum mujhse shadi ke liye pehle haan nahi bolte....aaj humare rishte ki nayi shuruaat ke liye tumne pehle hath badhaya hai or us hath ko thamne ki himmat mujhe di hai...ab ye mera farz hai ki mai is rishte ko nibhau....or mai dil se nibhana chahti hun....itne utar chadhaw ke baad bhi bhagwaan ne mujhe dusra mouka diya hai or mai is mouke ko jaane nhi dungi...shayad kismat bhi Hume milana chahti hai....I promise shravan mai is shadi ko poori honesty se nibhaungi...mai poori koshish karungi ki tumhara bharosa wapas paa saku tumhe khush rakh saku...tumhari sumo hun tumhe apna bana kar rahungi...."

Wedding day

"Mai ye pehle kyo nahi samajh pai shravan ki jitni ummeede mai ne is rishte se lagai thi tumhe to unki aadhi bhi nahi thi...tum to is rishte ko mante he nahi... Nahi to aise he kagaz par sign kara kar shadi jaise pure relation ka mazak nhi banate....tum nhi jante shravan ek ladki bachpan se apni shadi ke kya sapne dekhti hai...mai ne bhi dekhe the...sirf do he sapne to dekhe the mai ne...ek apni ma ka karz chukana or dusra tumse maafi maang kar tumhe apna banana...par tumne mera wo Sapna ek pal me tod diya....ek anaath ladki ke liye shadi kya mayne rakhti hai ye tum nahi samjhoge....anaath ke liye uska apna ghar wo hota hai jaha wo shadi karke jaati hai...wo ghar jo uspar ehsaan karke yaa use bojh samaj ke apna nahi banata balki apne pyaar se use apnata hai....mai ne bhi socha tha ki tum bhi mere ghar barat le kar aaoge...mai tumhare liye sirf tumhare liye taiyaar hongi humari family khushi se Hume aashirwaad degi...mai bhi  phero ke sath tumhe pyaar dene tumhara khayal rakhne or tumhara sath dene ki kasme khaungi...par tumne to ye mouka diya he nahi....aaj maa papa hote to unhe bata paati ki kitna toota hai mera dil par koi apna hai he nahi mere dukh ko smjhne ke liye.... jo wada tumne 10 saal pehle kiya tha ki tum mere kisi sapne ko tootne nhi doge wo tod diya....phir bhi mai ye rishta nibhaungi....kya hua shadi agar court me Hui hai...mai is baat se he khush hun ki meri shadi tumse Hui hai....tumhari sumo hun tumhare sath se he khush ho jaungi...."

Last day in MM

"Kitni ummeede le kar is ghar me aai thi ki apne pyaar se sab ka Mann jeet lungi tumhe tumhari maa se milwa dungi..or phir humare beech ki saree galatfehmi door ho jayegi...or phir wo din bhi aayega jab humari zindgi me bhi khushiya hogi...par bhool gai thi ki khushiyo se meri zindgi ka koi naata nahi hai....jab nanu ne ye proposal rakha or tumne haan kaha tha tab laga tha nayi zindgi mil gai hai mujhe phir se jee utthi hun mai...ek nayi ummeed thi ki ab shayad hum ek ho jayenge....tumhare court me shadi karne ke baad bhi himmat nhi haari kyoki ye khushi bhi thi or ummeed bhi ki tum sath to hoge....jab aditya ne mujhse wo sab kaha tab mujhe tum par bharosa tha ki tum aisa kuch nhi kar sakte...use challenge karke aai thi ki mera shravan aisa kuch nahi kar Sakta jisse meri izzat par daag lage....par tumhari chuppi ne meri aadhi ummeede khatam kar di shravan....kyo bachai us din meri izzat jab khudko he mujhe badnaam Karna tha....shadi to kya tumne humari dosti tk par daag laga diya....tumhari aankhe padh li thi mai ne or usme guilt nazar aai thi mujhe isliye phir koshish kar rahi thi humare rishte ke liye....par aaj tumne saree ummeede tod di....aaj lag raha hai saanse to chal rahi hai par zinda nahi hun....kya ab humare Itna bhi rishta nahi bacha tha ki tum ek ghar me mere sath reh sako....kya tumhe itna bhi bharosa nahi tha ki mai sab kar sakti hun par tumhe dhokha nahi de sakti wo bhi us aditya ke sath mil kar....kya galti thi meri.. Yahi ki mai ne tumse ummeed ki??ki mai ne is rishte ko ek chance diya???ki mai ne poori imaandari se is rishte ko nibhane ki koshish ki???...aaj mera dil he nahi wishvaas bhi buri tarha se toota hai aaj tumne meri self respect ko hurt kiya hai or iske liye mai tumhe maaf nahi kar sakti....janti hun tum yahi chahoge ki mere sath jitna bura ho Sakta hai ho...kyoki mujhe dard me dekh kar shayad ab tumhe sukoon mile par mai aaj bhi yahi chahungi ki tum khush raho....aaj bhi tumhe takleef me nahi dekh sakti.. Kyoki bhale he tum par se mera bharosa khatam ho gya ho par pyaar ka kya....wo to aaj bhi hai naa or meri aakhri saans tkk rahega...aaj mai tumhe khush dekhna chahti hun chahe iske liye tumse door bhi Jana pade to mujhe mazoor hai...
Or haan aakhri baat mujhe wapas paane ki koshish mat Karna kyoki ye ab nahi ho Sakta...ab mere pass tumhe dene ke liye kuch bhi nahi hai... Bss apni maa ka karz chukane ke liye zinda rehna chahti hun or uske baad tumhari yaado ke sath chain se mar Jana hai...."
____________________________________

Hello lovely readers first of all I am really sorry for late update...pta nahi kya kya likhna hai so please bear with me....here is ending of sumo's dairy....after this part story going to take a new turn...I am very excited about next part...will try to update soon...let me know your views about this part...and silent  please say something guys...are burai he kar do yrr par kuch to bolo....I want to say thank you who are commenting in every part...thank you so much guys....and please ignore mistakes...

Voice Of Her SoulWhere stories live. Discover now