Ek Naya Adhyay

1.7K 138 19
                                    

Part 16

Ok people... here is the next part. Read and enjoy and don't forget to vote and leave your comments... I love them and they inspire me to continue this most beautiful track.

In the late afternoon, Sameer was packing his bags with MP's help.

Munna expressed worriedly: Yaar Sameer, waise toh bahut achcha hai, ki ab tu 24 ghante Naina ke saath rahega, par yaar andar se aisi feeling aa rahi hai, jaise dushman desh mein nihaththa ja raha hai. Yaar Naina ke saath rehne ke liye tujhe uss safari suit aur uske lambe chaude khandaan ko bhi toh jhelna padega!

Sameer: Munna, main janta hoon Rakesh sir bahut naaraz hai, aur honge bhi. Waise bhi wo mujhe pasand nahi karte aur ab toh meri wajah se unki beti ko chot bhi lag gayi. Main jaanta hoon, aasan nahi hoga waha rehna, par yaar Naina ke liye main kuch bhi kar sakta hoon. Agar Naina apni jaan ki parwaah kiye bina mujhe bacha sakti hai, toh kya main uske liye uske papa ki daant aur thode thappad nahi kha sakta? Waise bhi mere honewale Sasurji hai....itna haq toh banta hai unka. Sameer jibed him playfully.

Pandit: Sahi ke raha hai tu Sameer...ab okhli mein sar de hi diya hai toh musal se kya darna?
While the trio were hugging, Nanu walked in and seeing them hug, commented.
Nanu: Wah wah, dost ko vida kiya ja raha hai?
The trio broke their hug.

Nanu: Packing ho gayi Sameer? Zaroorat ka saara saaman rakh liya?

Sameer: Ji Nanu....Sabkuch rakh liya. Then thinking something, he asked. Ek baat puchu Nanu?

Nanu: Puch na beta.

Sameer: Aaaj aapne mujhe school se rusticate hone se bacha toh liya, par jo sazaa dilvayi, wo sazaa hoke bhi mujhe sazaa jaisi kyon nahi lag rahi hai? Aisa kyon lag raha hai ki aapne yeh jaan bujkar kiya? Aap kyon chahte hai ki main apni galati sudharne liye Rakesh sir ke ghar jaaon?

Nanu: Chal, yeh jaankar achcha laga ki tu bina kahe hi samajh gaya ki main chahta hoon ki tu wahan jaaye aur rahe. Par beta, main bhi tera Nana hoon. Yeh baal dhoop mein safed nahi kiye hai.

Pandit: Fir kaise safed huye?

Nanu: Chup karke khade raho wahi par...Nanu playfully glared at Pandit and continued. Sameer, jaise tu bina kahe meri baat samajh gaya, mein bhi toh tera Nana hoon. Bina kahe hi samajh gaya. Jab se tu Mt. Abu se wapas aaya hai, tu mera wo Sameeer nahi raha, badal gaya hai. Teri aakhon mein ek alag si khushi hai, aur thodi si udaasi bhi. Der raat tak phone pe baat karna bhi bandh hai aur tune apne baal bhi katwa liye!

Sameer's eyes whisked to his Nanu with a surprised look, that though Nanu never asked or interfered in his matters, he had noticed everything all along.

Nanu continued: Aur aaj jab sab tujhe kasoorvar thehrakar sazaa ki baat kar rahe the, tere chehre se saaf pataa chal raha tha ki tujhe apni koi fikr nahi hai. Par jab Rakeshji ne Naina ke baarein mein bolna shuru kiya, toh teri aakhon mein khudke liye naraazgi dekhi maine, kuch na kar paane ki majboori saaf jhalak rahi thi. Toh ab tu bataa, aisa kya hai jo tune mujhe ab tak nahi bataya? Beta, yeh baal na tajoorbe se safed huye hai....waise toh teri aakhen padhkar bataa sakta hoon ki tere mann mein kya chal raha hai, par main chahta hoon ki tu mujhe sirf apna Nanu nahi dost bhi samjhe, aur apne dil ki baat kahe....Bol na beta, kya baat hai jo tujhe itna pareshan kar rahi hai!

Sameer thought for a few seconds and looked at his friends. They also signaled him to share everything with Nanu.

Sameer: Nanu, aa...aap... aap sahi the, uss special friend ke baarein mein....wo Naina hi hai aur main usse....mein usse bahut pyar karta hoon.

Nanu rejoiced: Yeh toh bahut Khushi ki baat hai beta... Naina toh bahut achchi ladki hai!

Nanu recalled how she had rushed him to the hospital when he had collapsed in the market. The poor girl had missed her debate competition and later he came to know that she had to incur teacher's wrath, but still she hadn't uttered a word in her defense. Such selfless pure soul she was and thus perfect for his kind-hearted Sameer. They were perfect for each other.

Forever yoursWhere stories live. Discover now