Grih Pravesh

1.7K 116 11
                                    

So dearies... here is another part as promised....hope you like it!

Part 17

Chachi: Bhagwan jhooth na bulvaye....aate hi satyanash kar diya....itni mushkil se sindoor mangvaya tha, khaas Pooja ke liye, ki uski shaadi mein yeh pavitra sindoor chadega toh shubh hoga, par iss ne toh saara bikher diya....

Sameer looked down and was embarrassed but smiled inwardly. He recalled seeing it in some movie how a newly wed bride entered her new household with kumkum feet....so, he could replace the dulhan with the dulha. Naina might not have accepted him yet, but this might be an awesome start. The only other person who was sharing the same feelings was his bestie in this house, Preeti. But neither of them gave away their feelings.

Taiji: O bai... Bela! Ek toh bechara itne oonche ghar ka ladka yahan seva karne aaya hai, aur tune aate hi use jali kati suna di... mehmanon se baat karne ki tameez maayke mein chod aayi kya? Aur jis Pooja ke liye tune ise mangvaya hai, wo toh abhi apne mama ke ghar gayi hai. 2-3 mahine baad aayegi na...

Chachi was contrite but twisted her face indicating her instant dislike towards Sameer. But then smiled to praise her maykawala.

Chachi: Ji Bhabhiji, wo mere mausere bhai ki apni koi beti nahi hai na toh Pooja ko bahut laad karte hai, keh rahe the ki ek baar Poooja ki shaadi ho gayi toh aisa mauka dobara nahi milega...issliye Bhaiya Bhabhi ne use 2-3 mahine ke liye rok liya hai wahi par...agar yahan koi rishte ki baat bani, toh hum Pooja ko bulva lenge.

Rakesh: Arre buss kijiye aap log! Aur Bhabhiji yeh yahan koi mehman vehmaan nahi hai... yeh yahan chakri karne aaya hai, aur wahi karega... yeh sab isne failaya hai, toh yeh hi saaf karega.

Chachi: Yeh sab toh theek hai Bhaisahab, par Naina ladki hai, uska har kaam yeh Sameer kaise kar sakta hai...Main aur Preeti milkar khayal rakh lenge Naina ka, aap ise wapas bhej dijiye.
Aur waise bhi Bhabhiji toh ise apne ghar nahi rehne dengi na, aur yahan bhi toh jagah nahi hai... she murmured under her breath.

Rakesh: Jo Sameer nahi kar sakta, wo Preeti kar legi, aur uske evaz mein tum isse koi aur kaam karva lena... aur rahi iske rehne ki baat, toh iske Nana ne kahan hai, jaise hum rehte hai waise hi rahega, koi khatirdari nahi hogi iski....kahi ek kone mein pada rahega....

Tauji: Rakesh, kya bakwas kar rahe ho, ek toh itne ameer ghar ke ladke ke saath itna durvyaavhar, aur upar se jawan ladkiyon ke saath ladka... yeh unhoni iss ghar mein nahi hongi...

Rakesh: Haan...aap sab log mujhe hi sunayiye... main kam kamata hoon toh meri ichcha ka ya meri baat ka koi maan nahi hai...Meri beti ke saath itna bada haadsa ho gaya, uski koi keemat nahi hai, kisiko meri ya mere bachchon ki parvah nahi hai...Tu chal Naina yahan se...

Rakesh started to pull Naina and she cried out in pain.....

Sameer immediately felt that scream sear through his heart, how heartless could Rakesh be or insensitive her family was towards her...He almost sprang forward in action to stop him from pulling her, when Chachaji himself came forth.

Chacha: Ruk jayiye Bhaiyya... Aap kyon Bhaisahab aur Bhabhiji ki baton ko dil se laga rahe hai... Agar aap chahte hai ki Sameer yahan rahe, toh yeh yahi rahega...Hum jagah bana lenge. Rahi Naina ki baat, toh hum sab hai na... sab milkar uska khayal rakhenge, toh wo jaldi theek ho jaayegi, Bela aur Preeti hai, 24 ghante uske saath...Aap chinta mat kijiye, jaisa aap chahte hai, waisa hi hoga.

Rakesh gave a look to Anand and left fuming... Tauji also left shaking his head... Taiji also left saying her usual O bai... and crinking her forehead that now neighbors would get a gossip about their family. Chachi placed a loving hand on Naina's cheek and softened seeing her pain and tears.

Forever yoursWhere stories live. Discover now