Prologue

3.1K 105 26
                                    


Tareeq raat ke us tareeq kamre me khirki se aati chand ki roshni aur lamp ki halki roshni me uske chehre ko sar halka sa upar kar ke dekhte hue woh khari thi.

"Main apni marzi se nahi hun yahan yeh jaan te ho tum"

Uska wohi azlon ka bemurawwat andaaz aur unchi naak jo agle shaks ka dil chikna choor karne ke liye kafi tha.

"Aur maine tumhe yahan baand kar nahi rakha hua yeh bhi jaanti ho tum"

Phir is dafa uske samne bemurawwat lehje se haarne wala nahi use apni sakht dili se haraane wala shaks tha. Jo apna seena chora kiye uske samne tan ke khara tha.

"To nikalwaa kyun nahi dete yahan se mujhe? Kyun khud se aur is dakiyanusi jagah me rakha he mujhe?"

"Halaat ki majboori ke siwa kuch nahi he."

Woh jese apna gussa ab zabt karne ki zehmat bhi kiye bagair aage barti ayi hatta ke uske is kadar kareeb aa gayi ke woh ek pal ke liye apni saanse thaame bagair reh na paya.

"Nafrat he mujhe tum jese dogle logon se"

Woh uske kaan me nafrat bhare lehje me keh kar uski nazaron me dekhti hui peeche hone lagi to is baar saans roukne ki baati uski thi jab use kamar se pakar ke phir utna hi kareeb kar liya gaya.

"Aur mujhe tum jese khud pasand logon se."

Un ankho me aisi aag thi jese puri duniya ko jalaa kar haak kar dene ko taiyar bethi hon aur usse bhi khatarnaak aatish Amyra ki ankho me thi jo Samir dekh chuka tha.

Najane kon kis ko jalaane wala tha najane kon kise bachane wala tha.

___________

Assalamu alaikum!

Chotaa sa prologue he abhi ke liye first chapter will be uploaded in few days InshAllah!♥️🥺

Don't forget to vote and comment <3

Lots of love ❤️

Iztiraarजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें