Chapter 26

484 49 90
                                    


"Khula ke kagazaat?"

Amyra ne unki baat ko beyaqeeni se dhoraya.

"Haan dastakhat karo baaki ke kaam mera wakeel kar le ga."

Unho ne keh ke pen ko uski taraf baraya to Amyra bas un kagazaat aur pen ko dekhti rahi.

"Kya matlab he aap ka?"

"Maine saaf baat hi ki hai."

"Aap ne kaha use behjdo maine bhej diya. Ab yeh sab kyun..?"

"Tumhe kya lagta he main hunare khandaan ka naam unke khaandaan se jura rehne dun ga?"

"Mere naam ke saath kisi khandaan ka naam nahi jura! Main insaan hun koi cheez nahi jiske saath aap kisi khandaan ka label lagaen!"

Woh gusse se boli to sakoon se bethe hue Sikandar Malik ne use ek nazar dekha.

"Dastakhat kar rahi ho ke nahi?"

"Karwa ke dikhaen."

Usne kaha to Sikandar Malik ke chehre pe ek maanikhez muskurahat ayi aur phir woh aage hue.

"Pura ek din hai tumhare paas kal isi waqt tum phir mujhe apna faisla batana."

Woh keh ke uth khare hue to Amyra wahin bethi hui boli.

"Aaj samjh aa rahi he mujhe."

Sikandar ke kadam thame.

"Meri maa ne kyun aap ko chora aur kyun mujhe aap ke saye se bacha ke rakh."

Uski baat pe Sikandar Malik se use dekha. Unka chehra gusse se kuch surkh hone laga magar Amyra ke tassuraat sard the.

"Tumhari maa kahan ki paarsa aurat he?"

"Malik sahab meri maa ke baare me ek lafz bhi mat nikaliye ga aap jese insan ke peechey main pehle hi unhe bohat tang kar chuki hun."

Usne khare ho ke sard awaaz me unki ankho me ankhe daale kaha to Sikandar Malik ki jese gairat aur mardaangi ne josh maara aur woh aage hue unka haath us pe utha magar woh uske gaal tak kabhi na poncha. Unka haath woh apne haath me le chuki thi. Woh jhalak purani Amyra ki thi. Ankho ka sarf pan aur haath ki mazbooti.

"Bohat ho gaya yeh sab. Mujhe apni koi jaidaat mat samjhen jo sab kuch chup chaap khari ho ke sahun."

Usne keh ke unka haath chora aur Sikandar Malik jese ab tak beyaqeeni ke maare hil bhi na paye the. Itni himmat to kabhi unke bete ki nahi hui thi jo woh larki kar gayi thi.

Unke dimaag me yeh baat kon daalta ke beta ya beti hona koi maine nahi rakhta tha uski mazbooti uske larka larki hone pe nahi tha.

Amyra ne sakte me khare Sikandar Malik ko wahin chora aur chalti hui wahan se chali gayi. Use apni tabiyat ki kharabi bhi jese bhool hi gayi thi. Magar jese hi woh apne kamre me ponchi to woh apne bed pe gir si gayi. Ansu na nikle the na koi siski nikli thi. Sab jese khatam ho gaya tha. Ansu sookh chuke the aur siski? Kyun sisakti woh. Uske kamzor parne ki wajah se hi to har cheez yahan tak kharab hui thi. Ab woh kyun kamzor parti.

Iztiraarजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें