Chapter 11

607 59 97
                                    

"Amyra?!"

ओह! यह छवि हमारे सामग्री दिशानिर्देशों का पालन नहीं करती है। प्रकाशन जारी रखने के लिए, कृपया इसे हटा दें या कोई भिन्न छवि अपलोड करें।

"Amyra?!"

Usne apne bazuon me nidhaal pari Amyra ke chehre ko thapka to uske garam gaal pe jab uska haath aya to woh pareshan hua. Use bohat taiz bukhar tha aur najane kab se woh us thande farash per bethi hui thi.

"Pagal larki...!"

Usne use bohat hi asaani se apne baazuon me uthaya aur bed per ahista se letaya aur uske ahista se kaampte wajood per kambal daal ke wahan khara ho kar sochne laga. Bukhaar me use kya karna chahiye tha? Phir jese kuch yaad aya to bathroom ki taraf bara aur wapis jab aya to haath me ek paani se bhara hua chota dabba tha aur uake andar chota towel.
Use yaad tha bachpan Bibi uske saath bhi yehi kiya karti thi.
Usne yeh bhi socha ke Bibi ko bula le magar ab tak woh bhi sone ke liye lait chuki hoti. Uske paas bed per beth ke towel ko geela kar ke ahista se uske maathe per rakhne laga.

"Kitni mazboot banti he humesha jese isse ziyada mazboot aur akkalmand koi he hi nahi magar thande farash pe bethe hue nahi pata tha ke tabiyat aur kharab ho gi..!"

Woh khudi barbara ke uske sar pe dubara geela kar ke towel rakhne laga. Tabhi darwaza khatka to woh bahir gaya mulazim khane ki tray ke saath khara tha usne tray pakri aur andar laake dusri taraf ki choti table per rakh di. Aur wapis aa kar uske paas beth gaya aur uske sar pe pare chote towel ko phir pani me phigoo ke nichra aur uske maathe per rKha. Samir Shah beth ke ek larki ko pani ki pattiyan kar raha tha najane agar uske circle me kisi ko pata chalta to woh behosh hue bagair kaise rehta.

Woh uske paas bed pe bethe bethe hi najae kab so gaya tha magar uski ankh kisi ke dabi dabi awaaz me barbarane se khuli. Usne apne saath dekha to Amyra ki band ankho me se ansu gir rahe the aur woh kuch kahe jaa rahi thi. Woh halka sa uske kareeb hua aur uski ankh ki nami ko apni unglion se saaf kiya aur chehre ke paseene se aage aye baalo ko unglion se hataya. Magar jab uski ungliyan Amyra ke gaal se lagin to usne jese jhtke se chehre ko peechey kiya.

"It's okay Amyra..."

Woh dheere se bola to band ankho ke saath hi magar uski barbarahat kuch kam hui. Samir ke lamz ne uske andar ki larayi ko jese thanda kiya tha.Woh use bagour dekhta raha use is tarah dekh ke use bura mehsoos hota tha. Use kamzor Amyra shayad pasand nahi thi magar yeh saaf tha ke woh utni mazboot thi nahi jitna khud ko zahir karwati he. Phir kya tha uska dar jo use na chahte hue bhi aise kar deta tha?

Shayad abhi jawaabon ka waqt na tha....

Jab Amyra ki ankh khuli to use aise mehsoos hua jese sar me hathore baj rahe hon sar dard se phate jaa raha tha. Usne ankho ko khola aur ek haath se sar ko thaama phir apne aap ko bed per paa ke kuch herani hui. Woh to bed per nahi laiti thi? Aur maathe per haath gaya to wahan pare kapre ko uthaya phir nazar saath kuch faasle per bethe bethe hi soye us unchi naak aur chore kandho wale shaks pe gayi jiski palke uske gaalon ko chu rahi thi.

Iztiraarजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें