Chapter 25

439 49 47
                                    

Tishna dehan ko piyaas ki shid'dat na maar dy

Aay shakhs! Mujh ko teri zarurat na maar dy

Hota hai jis tarha sy makafat ka amal

Tujh ko hamary baad mohab'bat na maar dy

Tu beech mai naa aa ye tera mas'ala nahi

Teri ye guftagu meri him'mat na maar dy

Jalny do unko aur unhy dekhty raho

In munkiro'n ko bughaz e wilayat na maar dy

Asa na ho k ham na milai'n umar bhar khai'n
Phir soch lo, khai'n hamy furqat na maar dy

Phir yu hua k waqt ka kasa ulat gia
Ham dar gay, khai'n hamy usrat na maar dy

Kehty han log sab ka hota hai meetha phal
Tehro, ruko, suno, tmhy ujlat na maar dy

Bs is liay mai tery brabar na aa ska
Mai sochta tha mujh ko ye shoh'rat na maar dy

Jata zarur toor py mai dekhny usy
Phir dar gia khai mujhy hairat na maar dy

Har shakhs apna hota nahi john jaan ly
Tujh ko khai'n laihaz o mura'wat na maar dy....

By jhon abbas kazmi

_________

Amyra ko Sikandar Malik ki Haweli aye 3 din ho chuke the. Woh kamre se na nikalti thi na use nikalne me ya us ghar ke kisi shaks se milne me dilchasbi thi. Woh apne kamre me bethi rehti aur use khana dene mulazima ya phir Fasih usse milne aa jaya karta. Woh jitna Fasih ko jaan saki thi woh ek baat keh sakti thi ke woh uske baap jesa nahi tha. Woh uske liye narm gosha rakhta tha.

"Amyra, aaj raat ka khana bahir aa ke khao? Dadi, Ammi aur Talha haweli wapis ayen hen."

Fasih uske samne bed pe bethta hua bola.

"Mujhe nahi milna kisi se..."

Woh apne ghtne apne seene ke kareeb kiye hue unpe sar rakhe boli thi.

"Woh tumse milke khush hon ge khaas tor pe Talha."

Usne dheemi muskurahat liye kaha to Amyra ne sar uthaya.

"Talha..?"

"Mujhse chota bhai woh 14 saal ka hai..aur yaqeenan tumhe bohat acha lage ga."

Amyra ne sar ko hilaya.

"Mere liye asaan nahi he yeh sab Fasih. Main yahan apni marzi se nahi hun mujhse sab kuch cheen liya he tum logon ne..mujhse ab yeh umeed to mat karo ke main aise pesh aun jese kuch hua hi nahi..?"

Fasih ne sar jhuka liya.

"Sorry..."

Woh keh ke uth gaya aur bahir nikal gaya. Amyra khaali khaali nazro se sheeshe ke bahir dekhti chali gayi. Aasmaan pe urte parinde azaad the..magar woh nahi. Uske dil me besakhta khayal aya tha ke kaash woh parinda hi hoti woh kam se kam ur ke uske paas to jaa sakti thi jo uske dimaag se jaane ka naam hi nahi le raha tha. Jiska dil na torne ki qasam khaane ke bawajood usne tor diya tha.

Iztiraarजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें