Chapter 21

534 59 115
                                    


Shadi ke kareeb aane per woh teeno Haweli aa gaye the aur jab woh Haweli aye to wahan shadi ki taiyariyan puri tarah shuru ho chuki thi. Bare Shah kuch khaas khush ho kar na mile the unhe magar unhe itminaan ho gaya tha is baat ka ke kam az kam un sab ke wahan hone se unki naak nahi Kate gi naa hi koi sawaal hon ge.
Albatta bibi unke wapis aane pe dil se khush thi. Apne bacho ko dekh ke jese us maa ke seene me thand par gayi thi. Raat ka khana khaane ke baad woh sab apne apne kamro me chale gaye the. Jab Amyra aur Samir apne kamre me aye to Amyra pehle andar dakhil hui phir Samir peechey se halki muskurahat liye seene ke samne baazu bandhe andar aya.

Amyra ne apna bag side se uthaya aur use kholne lagi.

"So we are back!"

Amyra ne uski baat pe use dekhe bagair kaha.

"Hmm!"

"Phir ek hi kamra he"

Woh ek kadam aage aaya.

"Hmm"

"Ek hi bed he"

Phir woh ek kadam aa ge aaya.
Amyra is baar muri aur use bhawen uchka ke dekha.

"Kehna kya chah rahe ho?"

"Kuch nahi!"

Woh masnooi muskurahat sajae bola to Amyra ne use ghoora aur wapis muti aur bed pe nikale apne kapre uthae aur bathroom me chali gayi. Jab woh wapis ayi to Samir kapre change kar chuka tha aur sirf apne sweat pants me malboos bed ki taraf mu khare kiye khara tha. Amyra yak dam wahin tham gayi. Usne Samir ko kabhi gym jaate hue nahi dekha tha magar use dekh ke woh yeh saaf keh sakti thi ke woh workout karta tha. Aur kafi ziyada karta tha.

"Ab yaqeen ho gaya he"

Woh wahin khare bola to Amyra ne sar jhatka.

"Kya?"

Amyra ne bed ki dusri taraf jaa ke takiya uthaya.

"Yehi ke tum me bhi ek baat baaki larkiyon wali he"

"Woh kya?"

"Larkiyan aksar kehti hain ke..I'm hot!"

Usne kandhe uchkae to Amyra ne samne pari shirt ko utha ke uske me pe maara.

"Yeh shirt pehno aur apne bistar pe jaa ke so. Neend aa rahi he tumhe!"

Saath hi usne utha ke takiya bhi maara jo uske mu pe zor ka laga.

"Sach kaha he maine! Aur yeh he mera bistar!"

"Yeh mera bed he tum sofey per so ge. Pehle main sofey pe soti rahi hun ab tum raho ge"

"Main to nahi soun ga sofey per!"

"Tumhare paas koi aur option nahi he"

Usne jhooti muskurahat liye kaha.

"Kyun nahi he? Main bed pe so sakta hun itna bara bed he!"

Woh wahan lait te hue bola.

"Samir main bata rahi hun yeh begairati mere saath nahi chale gi! Aur tum shirt pehno!!"

Iztiraarजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें