Chapter 19

529 62 94
                                    



Don't forget to comment and voteee y'all!🥳

_______

"Kya hua he Amyra?"

Dupeher 3 baje ka waqt tha aur woh musalsal apne kamre me bethe bethe dimaag me ek hi baat sochte sochte thak chuki thi.

"Kuch nahi."

"To call kyun ki hai?"

"Waise call bhi nahi kar sakti ab tumhe main?!"

Sabrina ke sawal pe woh chir ke boli.

"Karlo meri maa mere pe barso mat. Waise yeh konsa gussa mujhpe nikala jaa raha he?"

"Koi gussa nahi he"

"To koi baat tang kar rahi ho gi."

Woh itne saalo ki dosti thi jo ek dusre ko jaan ne pe majboor kar deti he.

"Jo bhi baat he Amyra jaanti hun tum kabhi khul ke nahi karo gi magar yeh kahun gi ke face karo jo bhi hai. Har baat ka hal dar guzar karna ya nazre chura lena nahi hota."

Usne kaha to Amyra khamosh si aur gehri socho ke chali gayi thi. Use Samir ki baat ne najane kitne waqt se pareshan kar rakha tha. Woh najane use woh sab kehke hi kyun gaya tha.

Usne kuch der Sabrina se baat kar ke phone ko rakh diya tha aur phir kamre se bahir nikli aur lounge me gayi to wahan Sofey pe taange upar kar ke bethi tv ke remote pe musalsal channel change karti Guriya ko dekha to uske saath jaa bethi.

"Bhabi! Aap kab ayin?"

"Kal raat ko kesi ho tum?"

Uski goud me pare chips ke packet se usne kuch chips le kar khaye aur pucha.

"Theek thaak. Aaj ki dusri movie dhoond rahi hun!"

Amyra uski baat pe muskura di. Usne ab jaa ke guriya ko ek aam 16-17 saala larkiyon wale kaam karte dekha tha aur use khushi hui thi.

"Horror movie lagao phir!"

"Kya?!"

"Haan!"

"Bhabi main puri raat aap ke kamre me ghusi rahun gi agar horror movie shuvi dekhi to!"

Usne kaha to Amyra ke chehre pe shararti si muskurahat ayi aur usne uske haath se remote liya aur Annablle search kar ke usne lagayi.

"Ghusi rehna meri taraf se!"

Woh dono movie dekhne lagi aur kuch kuch der baad Ghazal ki cheekh goonjti aur woh Amyra ke saath chipak gayi. Kuch der baad jab climax kareeb hua aur bahir bhi andhera ho gaya to ab jese Amyra bhi thora thora Ghazal ke kareeb hone lagi thi.

Movie me ek andhere me larki kitchen me gayi thi aur usne apne peechey kisi ko mehsoos kar ke dekha magar koi na mila to woh dheere se wapis muri aur saath hi un dono ke kandhe pe kisi ka haath aya aur dono cheekhe mar ke sofey se uthi aur saath hi unki goud se chips aur chocolate ka packet hawa me ura tha. Dono ankhe khole bagair cheekhti chali gayi. Phir Amyra ne dheere se bheenchi ankho ko khola to sofey ke peechey hasi ko bamushkil rouke khare Samir ko dekha jo ab bhi un dono ko baari baari dekh raha tha. Ab tak cheekhti Ghazal ke baazu ko Amyra ne hilaya.

Iztiraarजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें