Last chapter

730 48 70
                                    



Before you guys start reading the chapter for a record I don't have much knowledge about Pakistani law and court and if something is weird just ignore it or message me and let me know! Be kind y'all

The beautiful edit above is by this cutie Gurlinchaos ♥️
________

AirPort se ghar ke raaste tak ke safar me woh bas khamosh sar ko sheeshe ke saath tikaye bethi hui thi. Chand din beete the aur yeh chand din use saalo ki tarah lambe lage the. Jab use laga ke Samir ko sab pata chale ga to woh Qaiser ko nahi chore ga magar uski soch ke bar aks Samir ne kuch bhi nahi kiya tha aur is kadar sakoon se Amyra ko use call kar ke case wapis lene ka batane ka kaha tha ke Amyra hakka bakka reh gayi thi.

"Samir magar-"

"Amyra, yaqeen karti ho mujh pe?"

Usne poocha to Amyra usse nazre na hata payi aur uski nazro ke zeh re asar hote hue usne sar ko kham kiya.

"To meri baat maano please"

"Main tumhe is sab me nahi daalna chahti Samir"

"Agar tum aise mujhe kuch nahi karne do gi to mere paas sirf ek hal rahe ga Amyra aur us insaan ko sirf jaan se marne se insaaf nahi ho ga."

"Samir tum aisa kuch nahi karo ge..!"

"Phir please woh karo jo main keh raha hoon"

Uski baat pe woh kuch na keh payi thi. Aaj tak kuch nahi ho paya tha na use insaaf mil paya tha na naa hi woh insan koi saza kaat raha tha. Aaj agar Samir koi raasta nikaal raha tha to woh kyun dar kar peechey bhaag rahi thi? Shayad use to is mouke ko khuda ka bheja hua ek sunehra mouka samjh ke Samir ki baat maan ni chahiye thi.

Shaila ko sab bataa ke case wapis dilwana asaan nahi tha magar use yeh karna tha. Samir ne uske saath aa ke baat karne ka kaha tha magar Amyra ne mana kar diya tha. Woh agar apni maa se baat karne ke liye kisi teesre ko beech me daalti to shayad uske aur Shaila ke beech me qayam hota yeh mazboot rishta shayad phir kamzor par jaata. Nikal ne se pehle Samir ne Amyra ko Qaiser se milne ko kaha tha jis per Amyra tazbazad hui thi magar phir Samir ne uske haath ko apne haath me liya aur dheere se bola.

"Main tumhare saath hoon ga Amyra."

Uski baat pe Amyra ke dil ko kuch sakoon to mila tha magar bechaini apni jagah thi.

Phir flight se ek din pehle raat ko woh hotel ke neeche bane cafe me ayi thi jahan usne Qaiser se milna tha. Woh elevator se nikal ne ke baad apni jagah per hi khari reh gayi thi. Kadmo ne saath nahi diya tha aur dil bas ghabra raha tha. Najane zindagi use hi kyun in imtehano me daalti thi.

Ek kadam peechey se hi uske haath ko us jaane pehchane haath ne giraft me liya tha. Usne apne haath ko phir uski taraf dekha. Aur lafzo ki zaroorat nahi thi usne sar ko hilaya aur Amyra uske saath chal pari.

Seat pe bethi aur phir usne Samir ko dekha jo wahin khara tha usne saath bethne laga tha jab Amyra boli.

"Samir..main akele baat jarna chahti hoon"

Iztiraarजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें