Chapter 7

564 62 84
                                    



VOTE AND COMMENT PLEASEEE

________

Unke Nikah ke baad aur jo kuch un dono ke beech hua tha uske baad Samir apne kamre me wapis nahi aya tha aur Amyra bhi kamre se bahir nahi nikli thi. Woh bore ho rahi thi yeh kehna bohat hi chota lafz tha uska mobile gaari samaan har cheez us road per chut gayi thi aur yaqeenan ab tak sab kuch choron ya lutero ne utha liya tha. Woh dil hi dil me sochne kagi ke use Samir ko sabak sikhane se pehle usse phone ka intezam karwa lena chahiye tha magar phir uski anaa beech me aa jati thi.
Usne kapre apne tabdeel karna chahe magar uske paas us waqt uski jeans shirt aur leather jacket ke suwa kuch nahi tha jo ke woh yahan pehen ke phirne se katrati na magar phir yaqeenan yahan ke log yeh sab bardash nahi kar sakte the khaas kar tab jab woh jnke ghar ki bahu aur izzat ban chuki thi to usne ab tak Nikah wali siyah shalwar kameez hi pehni hui thi jo ke us per balaa ki jach rahi thi.

Kamre ka darwaza khatka to woh seedhi hui aur andar aane ka kaha. Darwaze se ek kam umar mulazima dakhil hui thi.

"Bari bahu aap ko Bibi Zanaan khane me bula rahi hain"

Usne kaha to woh kuch uljhi.

"Zanaan khana?"

"Jee"

Woh kuch sochne lagi phir use khayal aya ke yaqeenan woh kitchen ke bahir bane chote lounge ki baat kar rahi thi.

"Mujhe kyun bula rahi hain?"

Usne pucha to mulazima thori heran hui. Haweli me amooman koi bhi itne sawaal nahi kiya karta tha baro ke hukam par.

"Mujhe to bas aap ko bulane ka kaha gaya tha jee wajah nahi jaanti me"

Usne kaha to Amyra ankhe ghumayi. Yeh Haweli aur uske ajeeb ajeeb log.

"Acha jao aati hun"

Mulazima bahir chali gayi aur Amyra susti se apne bistar se uth kar dupatta kandhe per rakhti hui kuch heran ho kar ruki.

Yahan Mrs Shaila hoti to khushi ke maare shayad behosh ho jati.

Woh gehra sans le kar sar jhatakti bahir nikli aur seeriyan utarti hui dayen taraf muri magar woh Haweli ka koi naya hi hissa nikal aya tha jahan woh pehle nahi ayi hui thi. Woh wapis aa kar kar bayen taraf muri to phir koi aur rah daari nikal ayi thi. Usne herani se wapis seeriyon ko gour se dekha to woh mukhtalif seeriyan thi. Uska dil chaha ke apne hi maathe per kuch maare ek Haweli me do teen seeriyan banane ki akhir tuk hi kya thi? Aur itni bari haweli ka najane kya faida tha jab wahan ke ghar walo se ziyada mulazim rehte the.

"Amyra..?"

Peechey se awaaz ayi to woh dhak se muri wahan ek larki khari thi jise usne Nikah ke waqt ek dafa dekha tha shayad woh wohi Samir ki cousin thi.

"Yahan kya kar rahi hain aap?"

Woh puchti hui aage ayi to Amyra ne seeriyon ko dekh ke kaha.

"Woh Bibi ne bulaya tha magar mujhe raasta nahi mil raha"

Usne kaha to us daraaz kad larki ne use dayen taraf ishara kiya.

Iztiraarजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें