💙

108 8 1
                                    

WHEN RUHAAN WAS 10 YEARS OLD:-

Ashish: Achha sunn. Aaram se jaa. Cycle thik se chala. Aur agar mujhe kisi ne bola ki tu ekdam recklessly cycle chala raha thha toh tera wifi band kar dunga mai.

Ruhaan: Papa. Tension na karo mai hu na.

Ashish: Beta tu hai isliye tension hai.

Aditi: Kya baatein ho rahi hai?

Ashish: Kuch nahi. Woh aaj Friday hai. Toh socha Ruhaan ko mom dad ke ghar jaane du. Grandparents ke saath time spend karna zaroori hai yaar.

Aditi: Toh tu bhi fatafat ready ho ja aur usko drop karke aa.

Ashish: Mai nahi jaa raha.

Aditi: Toh mom dad aa rahe hai pickup karne?! Yaar Raunak bataya kar!!!

Ruhaan: Kya Raunak!! Itna irresponsible nahi hote.

Aditi: 😂😂😂😂.

Ashish: Chup karo dono. Ruhaan akele jaa raha hai cycle se.

Aditi: Raunak!! Are you out of your mind?! Mom dad ka ghar kitna door hai!!!

Ashish: Toh woh jaa raha hai cycle se. Aur mere mom dad sirf yaha 10 min durr rehte hai. America nahi rehte.

Aditi: But he is very young yaar!!!

Ashish: Arre kuch nahi hoga. Tension naa kar.

Aditi: Ruhaan. Tum kahi nahi jaa rahe ho. Andar jaakar apna homework karo. Aur tab tak tab ko haath nahi lagaoge jab tak homework pura nahi hota.

Ruhaan: Mumma yaar!!!

Ashish: Ranisa this is wrong.

Aditi: This is not wrong. He is soo young. Either you go and drop him or I'll go. But he is not going alone. The decision is final!!

Ashish: Ohh hello!! I am the head of this family babe.

Ruhaan: Ohh Raunak. If you are the head of the family then mumma is the neck of the family which can turn the head anywhere😂😂😏.

Ashish: Tu mere side se hai ya uske side se? Aur uske mummy aur mujhe Raunak? Ye bhedbhaav kyu?

Aditi: Ruhaan!! Beta he is your papa.

Ruhaan: Pata hai.

Ashish: Ranisa let him go na!! Kya problem kya hai?

Aditi: He is very young now. I cannot let him go alone.

Ashish: Kyu?!

Aditi: Ek maa ke dimaag mai kya hota hai tumhe thodi na pata.

Ashish: Aur ek baap ka dard tum log kaha jaante ho? Bc rickshaw ke pichhe 'Maa ka aashirwaad' sab likhte hai lekin usme baap ki E.M.I. jaati hai uska kya?

Aditi: Don't you think you are getting emotional now?

Ashish: Jaane do na Ranisa. Please.

Aditi: Ok. Lekin ek shart par.

Ashish: Kya?

Aditi: Ye cycle chalayega lekin tum iske saath jao.

Ashish: Ghum fir ke baat wahi pe aagayi.

Aditi: Ruhaan ki safety is important yaar.

Ashish: Ok.

Aditi: Chop chop. Get going guys.

(Ashish sighed. He picked up Ruhaan's bag and went to drop him).

☆𝕐𝕠𝕦 𝕎𝕖𝕣𝕖 ℕ𝕖𝕧𝕖𝕣 𝕄𝕚𝕟𝕖-2💔☆Where stories live. Discover now