Bondita meets Anirudh 😳

974 100 18
                                    

Next Day
Trilochan - Bondita beta aaj tum jaldi aa gyi.. college se ..
Bon- ha baba vo dance competition ki wajah se ek lecture free ho gya isliye..
Aur abhi mujhe jana bhi hai ..

Trilochan - kaha jana hai beta..
Bon- mere partner ke ghar .. practice karne ..
Trilochan - arey par mini ka ghar to bagal mein hi hai na.. pehle khana kha lo..

Bon- par baba mujhe mini ke ghar nhi .. jana .. ek ladka mera partner hai uske ghar jana hai..

Trilochan - ha ladka.. kya ladka 😱🤣 par mujhe laga ki tum mini ke sath dance kar rhi ho..

Bon- ha baba pehle mujhe bhi vaisa hi laga tha.. fir miss ne kaha ki ladka ladki partner banege .. acha baba to main chalti hu ..

Tri in his mind - kahi us ladke ne hamari bholi bhali beti ko fasa liya to .. nhiiiii 😱🤣🤣😂

Bon- baba... Baba kya hua
Trilochan - kuch nhi .. hum bhi tumhare sath chalte hai ..

Kalindi - aap waha bacho ke bich mein jakr kya karenge .. ghar mein meri madad kijiye

Bon- ha baba .. aap waha bore ho jayenge..
Trilochan - acha.. thik hai par .. beta vo ladka vaisa to nhi hai na

Bon- vaisa .. vaisa matlab kaisa baba
Trilochan - arey vaisa 😂😂
Bon- kaisa ...
Kalindi - bondita tu chod inhe .. ye tera samay barbad karte rahenge 😂 tu ja .. aur raat hone se pehle aa jana ..

Bon- thik hai maa.. bye
Kalindi - aur aap .. aapka vaisa matlab sab samjhti hu main.. agr bondita ko pta chalta to kya sochti vo ki uske baba us par bharosa bhi nhi karte ..

Tri - ha par hamein uski chinta hai
Kalindi - chinta mat kijiye ab vo badi ho gyi hai.. apna acha Bura janti hai..

Tri - ha sahi hi keh rhi ho tum ..
Kalindi - Hmm thodi baat thodi daat tabhi samjhe aadmi jaat 🤣🤣🤣
Tri - tum bhi na 🤦‍♂️

Bon- tujhe address pta bhi hai..
Mini - ha .. Saurabh ne to yahi ka address bheja hai..
Bon- to kahan hai 15 min se ghum rhe hain..
Mini- Ha ... Aa gya yahi hai..
Bon- chlo mil to gya .. bondita knocks the door 🚪 sumati opens the door

Bon- Aunty aap !!😳
Sumati - arey beta tum ...
Bon- aap yahan rehti hai.. lagta hum galat jagah aa gye.. mini ye ghar nhi hai..
Mini- address to yahi hai.. 
Bon- sorry aunty hum chalte hain
Sumati - par beta ..
Anirudh comes ... Arey ruko ..
Bondita turns ... Tum 😳 yahan kya kar rhe ho ..
Ani- kya kar rhe ho matlab... Ye mera ghar hai ...

Bon- kya... Matlab aunty tumhari mummy hai..
Ani- Ha ye meri mummy..
Bon- nhi nhi aisa nhi ho sakta ..
Sumati - arey beta ye mera hi beta hai...
Bon- kya 😳 ye aapka beta hai .. par aap to itni achi hai aur ye 😒😒

Ani- ye matlab kehna kya chahti ho tum ..
Bon- yahi ki tum bilkul ache nhi ho ..
Ani- tumse kisi ne pucha hai.. main acha hu ya nhi 😏

Bon- dekha Aunty ye na .. aise hi ladta rehta hai.. ye bilkul bhi aapke jaisa nhi hai.. akdu Bandar
Ani- kya kaha akdu Bandar.. kal jab chipkali se dar gyi to ladka kisne bachaya tha...

Bon- dekho chipkali ko bich me mat lao.. samjhe ...
Sumati - tum anirudh ki partner ho ..
Bon- ha.. aunty
Sumati - wah 😍😍...
Ani- kya ..
Sumati - arey bas bas .. tum dono kitna ladte ho .. aur Anirudh tu itni pyari ladki se kaise baatein kar rha hai...

Ani- pyari 😒😒😒...
Sumati - Anirudh ab bs kr jao tum sab practice karo .. main tumhare liye nashta lati hu..
Ani- thik hai chlo..
Sumati in her ear - vaise ye thoda sa tha khadus hai.. par thoda pyar se baat karo to man jata hai.. tum bhi isse aise baat karogi na .. to tumahari baat bhi man lega 😊😊

Bon- koshish karungi... Both laugh 😂
Ani- ab chalo..
Bon- ha chalo.. in Hall

Sau- arey main tumahara kabse wait kar rha hu .. looking mini 😍😍
Mini- sach 😍
Bon coughs - uhu hu uhu
Sau - vo vo main keh rha tha.. tum dono ka ..
Ani- ye sab baatein chodo.. aur practice ke bare mein socho.. mujhe kisi bhi kimat par ye competition jitna hai..

Sau- ha to karte hai na practice.. ek kam karte hai .. main aur mini terrace par practice kar lete .. tum dono yahan kar lo ..

Ani- thik hai ...
Sau - chlo mini ...
Bon- aur tum dono practice hi karna ... Ek dusre ko ghurte mat Rehna 😂😂😂

Mini - kya tu bhi ... Both left
Sumati comes .. ye lo nashta..
Ani- maa hum yahan practice kar rhe hain.. song player on kardo  na

Sumati - yahan .. nhi beta yahan nhi tere papa aa gye to gussa karenge.. tu bondita ko apne kamre mein le ja ..

Ani- thik hai.. chlo bondita

In Room
Bon- ye kya hai ..😲😲
Ani- kamra hai aur kya hai ...
Bon- ye room kam dustbin jyada lagta hai.. itna ganda ...
Ani- saaf hi to hai...
Bon-acha ye saaf hai.. to saaf ko kya kahenge.. kapde bikhre hue hain .. kitabe bhi .. sara saman idhr udhr bikhra hua hai .. pehle ye kamra saaf karo ...

Ani- main nhi karne wala ...
Bon- to thik hai main ja rhi hu..
Ani- nhi ruko main maa se saf karva deta hu..
Bon - khabardar jo aunty ko pareshan kiya... Vo pura ghar saf karti hai ... Tum ek kamra saf nhi kar sakte.. kitne aalsi ho tum 😒😒😒

Batao karoge ya nhi .. varna main ja rhi hu.. aur jab tum har jaoge na.. aur us Rohan ke naukar bn kr kam karoge .. tab tumhe jyda maza aayga..

Ani- thik hai karta hu..😔
Bon- ab aisa chehra mat banao.. main bhi tumhari help karungi 😊
Ani- sach thankyou ...
Bon- chalo jaldi safai Karte hain..

Dono kamra saaf karte hain...
Ani- hasshh ho gya...
Bon- dekho ab kitna acha lag rha hai..
Ani- ha acha lag rha hai...
Sumati comes
Kaise chal rhi hai practice.. ye kya ye kamra itna saf..😲😲
Bon- ha .. sara kamra .. aaj inhone saf kiya hai..
Sumati - wah.. kya baat hai jo aaj tak main isse nhi kra payi vo tumne kara Diya..😊😊

Ani- main to bhot thak gya..
Bon - ab utho practice bhi to karni hai..
Ani- ha.. karta hu ..
Both started dancing..

Sumati - ye dono ek sath kitne ache lag rhe Hain..😍😍

I hope you like it please gives your comments and vote... Please comment karna na bhule ... 🙏
Precap - bondita vs binoy
Thanks...
Written by Surbhi ❤️







ANIDITA : Wrangling Love 💕जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें