Nye Safar par Humsafar

537 104 35
                                    


At Half Night..
Anirudh sitting on river side ....

Anirudh sitting on river side

ओह! यह छवि हमारे सामग्री दिशानिर्देशों का पालन नहीं करती है। प्रकाशन जारी रखने के लिए, कृपया इसे हटा दें या कोई भिन्न छवि अपलोड करें।

Ani- Ghar se to main aa gya ... Par jaunga kaha ... Ye to maine socha hi nhi ki karunga kya ye bhi nhi socha ... Kuch samajh nhi aa rha ... Ghar par ye sab kitna asan hota tha na kuch samajh nhi aata tha to maa se puch leta tha ... Par ab kisse puchu

Kabhi kabhi to mujhe lagta hai ... Shayad main bhot hi unlucky insan hu jab kuch sahi karne jata hu ... Par sab uska ulta ho jata hai ... Shyad meri kismat bhi mujhe pasand nhi karti ... Kya itna Bura hu main ....

Someone - ha bhot bure ho tum...
He turns 😳... Bondita tum
Bon- ha main ... Aur bilkul sahi keh rhe the tum ... Tum bhot hi bure  ho ... Himmat kaise hui tumhari mujhe chod kar aane ki ( emotionally)

Ani - bondita tum yahan kya kar rhi ho .... Tum to apne myke gyi thi na

Bon- ha gyi zaroor thi ... Par tumhara mujhe bewakoof banane ka plan itna bura tha ki main vapas aa gyi ...

Ani - ye kya keh rhi ho ... ??

Bon - sach keh rhi hu ... Kya samajhate ho tum apne aap ko bhot mahan ho tum ... Sabke liye sacrifice karne ka tumne beda utha liya hai .... Kya laga tumhe mere liye mere baba ki shart mankar sab se dur chale jaoge ... Aur mujhe pta bhi nhi chalega

Ani - Ye kya keh rhi ho tum... Bondita
Maine ye sab kisi bhi mahanta ke liye nhi kiya hai ... Aur na hi main sab se dur ja rha hu ... Main to bas

Bon - main to bas kya ... Bolo kyu mani ye shart ... Kyu aa gye sab kuch chod kar ... Aur agr ye sab karna bhi tha to mujhe bataya kyu nhi kyu chupaya mujhse ye sab ...

Ani- tumhe bta kar kya ho jata bondita... Bas tumhari tension aur bad jati ... Vaise bhi meri vajah se tumhari life mein bhot tension isliye main tumhe aur tension nhi dena chahta ... tha

Bon - Main patni hu tumhari
tumhari tension meri tension hai ... Tumhari har ek baat janne ka pura hak hai mujhe ... Aur tumhara is shart mein sath dene ka bhi ....

Ani- Patni .... Nhi bondita Hamare bich koi rishta nhi hai ... Tumhe yaad hai na Aaj hi maine tumhe sare bandhno se Azad kar diya hai .... Bas teen mahine aur fir hum puri tarah se alag ho jayenge ... 😊 Isliye tum meri tension mat lo ghar jao ... Vaha aaram se raho ... Main teen mahine baad Divorce formalities ke liye aa jaunga ...

Bondita eyes in tears 😢...
Bon- koi rishta nhi hai na hamare bich thik hai... To mere ek sawal ka jawab do agr hamare bich koi rishta hi nhi hai to tum kyu mere baba ki di hui pariksha puri karne ke liye ghar chod aaye bolo ...

Ani- vo ... Vo to main tumhare baba ko vada kar aaya tha isliye ...

Bon- acha to ek aise insan jinka tumse koi rishta bhi nhi hai unki shart tumhare liye tumhare parivar se zyada zaruri hai ... Jo tum sab ko choda kar aa gye ... Kyu jhut bol rhe ho tum.... Kis chiz se bhag rhe ho jo tum kisi ki nhi sun rhe bolo ...

ANIDITA : Wrangling Love 💕जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें