Anirudh Is In Love 💓💓

940 123 22
                                    

In Roy Chowdhury Mansion
Anirudh enters  ...
Sumati - aa gya tu kaha chala gya tha .. bta kar to jata kar beta ... Aur ye kya ye tere kapde .. kaise badal gye

Ani - vo maa main Bondita ke ghar gya tha .. aur vahan par galti se maine apne upper coffee gira li thi ..

Sumati - kya tu thik to hai na .. jyada jala to nhi dikha mujhe ..

Ani- ma maa ... Main bilkul thik hu 😊
Aap chinta mat karo ... Bondita ne ointment laga diya hai ..

Sumati - kisne lagaya ointment 😊
Ani- kaha to bon di .. vo kuch nhi  he feels shy ..
Sumati - Hmm main dekh rhi hu aajkal tu kuch jyada bondita bondita karta rehta hai ...
Ani- nhi ..nhi aisa kuch nhi hai ..
Sumati - arey ab mujhse jhut bolega.. tujhe pta hai na tera jhut main do min mein pakad leti hu 😊

Ani- maa kya bol rhi hai tu .. samjh nhi aa rha mujhe
Sumati - sara dukh isi baat ka hai ki tujhe kuch samajh nhi aata .. beta samjh na tujhe bondita se pyar ho gya hai ...
Anirudh starts laughing 🤣🤣
Kya maa kuch bhi ..
main bhot thak gya hu .. aaram karne ja rha hu .. he left

Sumati - arey sun to ... budhu kahin ka .. pta nhi kab samjhega ye .. ki ise Bondita se pyar ho gya hai .. jab hi bar bar uski baatein karta rehta 😊 hye dugga thodi sadbudhi do mere bete ko 🙏💖

In room
He lies on bed .. to himself
Ani- baap re pta nhi kya keh diya tha maine maa ke samne .. main bhi na par aaj mujhe bhot hi acha ehsaas hua ... Pta nhi bondita ke paas hone par ye ehsaas kyun hota hai .. 💖💓

Pta nhi kya ho rha hai mujhe ... Main bhi kya kya sochta hu ... Fir vo so jata hai ...
Anirudh apne sapne mein dekhta hai
Ek ladki ka duppatta uske face par se hokar jata hai .. vo uska picha karta hai .. ruko .. kon ho tum ... Jo bar bar mere sapno mein aati ho ... Aur apna chehra bhi nhi dikhati .. ruko .. kaha ja rhi ho ... Aj main tumhe jane nhi dunga .. tumhara chehra dekhkar hi rahunga .. he holds her .. hand pakad liya .. ab pta chalega kon ho tum .. he turns her ...
Ani- Bondita 😳
He wakes up with the jerk ...

Ani- ye ye kaisa sapna tha .. vo duppatte wali ladki Bondita hai .. aisa kaise ho sakta hai .. 💓💓 kuch samajh nhi aa rha .. ye bar bar bondita kyu samne aa jati hai .. kahin maa sach to nhi keh keh rhi .. kahin mujhe bondita se pyar to nhi ho gya .. par mujhe to kuch samajh hi nhi aa rha kisse puchu ... ???

Sumati - mujhse ...
Ani- maa .. aap
Sumati - ha main tu khana khye bina hi so gya to main dekhne aayi thi .. chal ab bta .. tujhe bondita ka sapna aaya tha na .. she sits beside him .. 😊

Ani- ha aaya tha .. par maa
Sumati - par var kuch nhi ab meri baat sun tujhe bondita se pyar ho gya hai ... 💓 Tu use chahne laga hai ...

Ani- par maa tujhe kaise pta ye pyar hi hai ...
Sumati - arey acha mere kuch sawalo ka jawab de ...
1.Tu bondita ke liye kuch kar sakta hai ?
Ha.
2.Bondita ek achi ladki hai ?
Ha .
3.Jab vo tere sath hoti hai tujhe acha lagta hai ?
Ha.
4.bondita ko kisi aur ke sath dekhkar tujhe acha nhi lagta
Ha .
5. Tu bondita se pyar karta hai ??
Ha 💖

Sumati - dekha aa gya na teri zuban par .. 😊
Ani- ha maa .. iska matlab mujhe bondita se pyar ho gya hai .. 💖 mujhe bondita se pyar ho gya hai 💖 I love her ... He is very happy ☺️☺️

Sumati - ha beta .. ha
Ani- ab mujhe sab samajh aa rha hai .. kyu mujhe jalan ho rhi thi ... Kyu jab vo mere paas aati hai .. mujhe itna acha kyu lagata hai ... 😍💖

Sumati - bas ab jaldi se use mere ghar ki bahu bana kar le aa .. kabse intzar kar rhi hu main teri shadi ka ...

Ani- par maa agr vo mujhse pyar nhi karti hogi to ??
Sumati - tune usse pucha hai
Ani- nhi ..
Sumati - to tujhe kaise pta .. jaise tujhe pta nhi chala vaise hi zaroor use bhi pta nhi hoga .. 💖 par jab tu use apne dil ka baat batayega .. vo bhi samjh jayegi .. mujhe to pakka yakin hai vo bhi tujhse bhot pyar karti hai ..💓

Ani- ha shyad aap sahi keh rhe ho .. main use jald hi bta dunga .. ki main usse kitna pyar karta hu ..❤️

Sumati - khub bhalo
Ani- par maa abhi shadi thodi jaldi nhi ho jayega
Sumati - hye bhagwan shadi jaise kam ke liye bhot samay lagta hai .. 1\2 , 2 saal mein  tumhara college bhi khatam ho jayega.. fir shadi ki tayari mein bhi time lagega ... Samjha

Ani- maa ye to kuch jyada hi lamba time ho gya 🤣🤣
Sumati - ooh to ab tujhe shadi ki badi jaldi ho rhi hai ha 🤭

Ani- kya maa app bhi ? Main to bas
Sumati - ha ha sab pta hai mujhe samajh ... Badmash kahi ka .. chal ab khana khakar jaldi se soja ... Kal college mein bondita se milna hai na ..

Ani- ha .. ab to main usse milne ke liye bhot bekarar hu ..😍😘
Sumati - uhu uhu ..
Ani- vo vo .. mujhe nind aa rhi hai ..
Sumati - pagal ..

Next Day In College
Anirudh Bondita ko dhundh rha hai
Ani- arey ye Bondita abhi tak aayi nhi kya ...
Suddenly bondita use piche se aakr dara deti hai .. bhhhooohhh
Ani- aaaaaaa 😱
Bondita laugh 😂😂😂
Bon- darpok kahi ke .. dar gye ...
Anirudh lost in her 😍😍😍
Bon- kya hua kaha ho gye ...
Ani- tum me ..
Bon- ha ..
Ani - matlab ye tum ye kya kar rhi ho Subha subha dara diya ..
Bon- dekh rhi thi .. tum kitne Bahadur ho par tum to .. darpok nikle 😂😂

Ani- sach mein tum haste hue bhot Sundar lagti ho 😍😍💖
Bon- subha subha meri tarif .. wah kya baat hai ..
Ani- Bondita mujhe tumse kuch kehna hai ...
Bon- to kaho na ... Kisi ne roka thodi hai 😂😂😂
Ani- arey ab suno bhi ..
Bon- sunao bhi ..
Ani- main keh rha tha ki main main
Main ..  tumse ..
Bon- anirudh vo dekho jiya .. mujhe lagta hai ki tumhe usse ek baar baat karni chahiye ..
Ani- par kyu ...
Bon- meri wajah se tumse dur ho gyi hai ... Aakhir tum dono ek dusre se pyar karte ho na .. ek baar baat kar lo sab thik ho jayega ...

Ani- bondita kya bol rhi ho .. vo na meri girlfriend hai .. na main usse pyar karta hu .. tum apni taraf se kuch bhi sochogi .. aur ab vo meri friend bhi nhi hai .. kyunki usne jo kiya .. hai uske baad vo dost bhi nhi ban sakti ...

Bon- acha acha thik hai itna gussa kyu kar rhe ho .. main to bas isliye keh rhi thi .. ki koi misunderstanding hai clear kar lo ..

Ani to himself - yahan main isse pyar karta hu aur ye mujhe kisi aur ki jodi banane ki soch rhi hai 😏😏

Bon- acha ab bolo kya bol rhe the ..
Ani- vo .. suddenly vihan comes
Vihan - bondita ek min library chalogi
Bon- thik hai .. main abhi aati hu she left...
Ani- ise bhi abhi aana tha 😏
In Library
Mini- sab jaise samjhaya vaise hi karna ... Saurabh - ok
Anirudh bhi Library mein aa rha hota hai .. aur jiya wahan se guzar rhi hoti hai ... Saurabh Zameen par kanche dal de deta ... She slipped .. and Anirudh holds her ..
Tabhi mini bondita ko wahan le aati hai ..
Bon to herself - abhi to keh rha tha .. mere jiya ke bich kuch nhi hai .. aur yahan romance chal rha hai 😡
Lucha 😤😤 lucha kahin ka

I HOPE YOU LIKE IT 💖
PLEASE GIVES YOUR COMMENTS AND VOTE KARNA NA BHULE 🙏
PRECAP - Bondita Anger  
THANKS
WRITTEN BY SURBHI 🦋






 

ANIDITA : Wrangling Love 💕जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें