Part 15

2.2K 176 29
                                    

A big update. Enjoy😘😘

AS - Wo haseena ji ( tells her everything).

HM - Aap hamare liye pipe se chadkar balcony me aaye. Kyu?

AS - ye kesa sawal he. Aapki chinta ho rahi thi isliye.

HM looks in his eyes and found only immense love for herself in his eyes.
HM pov - Pata nahi humne kya acche kaam kiye jo hume inse pyaar ho gaya. Humara lucknow aana, us din inse lift lena, dosti karna, wo ice cream khana, pyaar ka ehsaas hona ye sab ek haseen sapne jaisa lagta he. Ye sapna tut na jaaye isse pehle hume inko apne dil ki baat batani padegi kyunki hume nahi lagta ye kabhi himmat kar payenge hume batane ki.

AS saw her lost somewhere.
AS - Kya hua Haseena ji kaha khoi huyi he aap.

HM coming out of her thoughts - Kahi nahi. Wese hum aapko thanks kehna to bhul hi gaye. Hamare liye itna sab karne aur is duniya ke sabse acche aur caring dost banne ke liye thank you so much.

AS face fell hearing just friend from her mouth repeatedly. HM noticed it and silently smiled at this.
AS - Hum aapke liye kuch khaane ka leke aate he Haseena ji. 😔😔

HM - Are anubhav ji aapka chehra kyu utar gaya.

AS - Ku... Kuch nahi Haseena ji. Hum abhi aaye.

He goes to the kitchen and makes khichdi from the items he could find in there.
He came back and saw her sleeping peacefully ( he didn't knew she was awake and had just closed her eyes.😁)

He went upto her and looked at her adorably.
AS - Haseena ji aapko jab bhi dekhte he esa lagta he ki hume ek baar phir aapse pyaar ho raha he. Har roz hum aapse aur bhi jyada pyaar karne lagte he. Par afsos hum ye baat kabhi aapko bata nahi payenge kyunki aap to hume sirf apna dost manti he. Par koi baat nahi hum puri jindagi aapke dost bankar hi aapke saath rahenge. Humare liye aapka saath jyada jaruri he . Bhale hi wo dosti ke naate ho ya phir jeevanasathi ke naate. Par bas ek vinti he aapse jaise aaj daraya na aapne vesa phir kabhi mat karna. Aapko ek kharoch bhi aa jaye to hum nahi seh sakte.

He kissed her forehead.
HM had tears in her eyes listening to him but didn't opened her eyes.
AS while shaking her lightly - Haseena ji uthiye hum aapke liye khana laaye he.

HM opened her eyes and starts her acting. She sat up straight .
HM - Kya laaye he Anubhav ji aap.

AS - Aapki halat dekh ke shahi paneer to laane se rahe. Khichdi hi layenge na.

HM - Hume nahi bhati khichdi.

AS - Kya baccho jaisi baatein kar rahi he aap haseena ji. Aapko khaani padegi.

HM - Aapko meri baatein bacchon jaisi lag rahi he.Aap jaiye apne ghar Hume baat hi nahi karni aapse.

AS - Accha maaf kar dijiye haseena ji. Par please ye kha lijiye.

HM didn't replied. AS took khichdi in a spoon and fed her with his hands.

HM -😳😳

AS - Maaf kariye par aap kha hi nahi rahi thi.

HM - Hum to abhi bhi nahi khayenge to kya aap pura apne haath se khilayenge.

AS - Ha ( in a stern voice) . He started feeding her and she just ate it with a smile on her face.

HM - Ab kha liya ab aap jaiye. Aapko headquarter nahi jaana.

AS - Nahi humne aaj ki chutti le li he aur aapko bhi chutti de di he . Aaj hum apni dost ka khayal rakhenge pure din .

HM - 😊. Accha aapne bhi to kuch nahi khaya he subah se. Aap bhi kuch kha lijiye. Hum bana dete he .

AS - Haseena ji aapki Tabiyat kharab he aap aaram kariye. Aur hume bhook nahi he.

Anuseena - A New Shade Of Love❤❤Where stories live. Discover now