Part 30

1.5K 135 13
                                    

All got a ray of hope from her words.

HM controlled herself from breaking down and stood up straight.
HM - Aap bilkul sahi keh rahi he KS. Chahe jo ho jaaye hum apne Anu ko in logo se chuda kar layenge.

All - Hum wada karte he Anubhav sir ko sahi salamat wapis layenge .

HM - KS isko lockup me daliye.

KS locked the truck driver in lockup.

In control room.

HM- SS hume ek baar wo cctv footage dikhaiye.

The recording plays. Suddenly HM shouts.

HM - SS 8 minute 43 seconds par pause kijiye .

SS - Ji MS.

She paused the clip.
HM - KS ye dekhiye ye aadmi jab Anu ko utha ke le ja raha tha tab iski pocket se kuch gira tha.

KS - Ha MS aap sahi keh rahi he. Santu zara zoom karna.

SS - MS ye ek shop ka cctv he aur time bhi raat ka tha to zoom karne par pixels phat jayenge.

KS - Ab ka kare MS. Wo jagah to seal he aur hume ye case officially mila bhi nahi he.

But destiny is always with the good people.
HM just then got a call from Commissioner.

Com. Sir - Haseena Malik hum jante he Abhi aap sab kis halat me honge magar humne apko ek acchi khabar ke liye phone kiya he.

HM - Kya sir.

Com. Sir - Anubhav ke kidnapping ka case hum officially aapke thaane ko dete he kyunki hum jante he aap sab apni jee jaan laga denge magar Anubhav ko vapis jarur layenge.

HM - Thank you so much sir.
She cut the call.

KS - Ka hua MS.

HM - KS hum sahi he isliye kismat bhi hamara sath de rahi he. Commissioner sir ne Anu ke case ko hume officially de diya he.

KS - Ka! To MS der kis baat ki chaliye na us accident ki jagah.

HM - Ji chaliye. SS aap is gang ki puri information jitni bhi mil sake dhundhiye. CC aur billu SS ki madad kare.

HM and KS reached the location and were searching for the thing that fell from his pocket.

KS eyes fell on a locket. She opened the locket. Inside the locket there was some white powder.
KS - MS ye locket dekhiye.

HM - KS ye to drugs he. Matlab humara shaq sahi tha. Ye wahi gang ka kaam he.
KS aap ise abhi testing ke liye bhejiye aur pata lagaiye ye konsi drug he aur kaha kaha milti he. Basically sab pata lagaiye.

KS - Ji MS.

KS left from there. HM was also driving towards thana when she received a call.
She turned her car and went to a godown. She knocked the door.one voice came from inside.

Voice - Code.

HM - LDM.

The gate opened. A man greeted her.
The man name is Vikas.

Vikas - Jai hind Madam.

HM - Jai hind. Kya pata chala us aadmi ke baare me.

Vikas - Madam records ke mutabik us aadmi ka naam Ashraf Zubair Mohammad he.Sarkari files me wo do saal pehle ek accident me maara gaya tha par body nahi mili thi. Us ke baad wo is drug gang ka hissa bana he.

HM - Aur uski family.

Vikas - MS uski puri family ki us accident me maut ho gayi . Bas uski behen bach gayi thi jo ab ek school me teacher he.

HM - Hmm.

Vikas - Madam ek important baat pata chali he.Ashraf ke family ke us accident me jis car se accident hua tha us car par number plate nahi thi.Ashraf ki behen ka dawa he ki wo accident nahi murder tha aur us accident ko anjam khud Ashraf ne hi diya he. Aur use ye bhi yakin he ki Ashraf jinda he.

HM - Aur kuch.

Vikas -Mam abhi itna hi he. Hum aur Khabriyon ko bhi active kar rahe he.

HM - Jitne Khabriyon ko active karna he jo karna he wo karo. Hume Dsp sir sahi salamat chahiye.

Vikas - Yes Madam.

HM - Good work. Aur kuch pata chale to batana.

HM left from there and went straight to thana.
HM in mind- Anu hum aapko dhund kar hi rahenge. Aapki jaan ka ye waada he aapse wo apni jaan ko sahi salamat wapis le ke aayegi.

HM - SS kya pata chala us gang ke baare me.

SS - MS wo gang jaisa aapne bataya tha koi saboot ya koi hint tak nahi chodti. Wo koi galti nahi karti. Ek bhi jagah us gang ka naam nahi he. Magar ha MS ek aurat he jo ye dawa karti he ki wo us gang ko dhund sakti he magar koi uski baat par yakin nahi karta kyunki wo ek mamuli si school teacher he.

HM - Ek second SS aapne abhi kya kaha wo school teacher he?

SS - Ha MS.

HM thinking in mind - Vikas ne kaha tha Ashraf ki behen bhi ek school teacher he . Kahi ye wahi to nahi. Hume kuch samajh nahi aa raha.

HM - SS us aurat ko thaane bulaiye.

SS - MS mene pehle hi bula liya he bas wo aati hi hogi.

HM - Good job SS.

Till then KS returned.
KS - MS wo locket me drug hi thi. Wo aadmi ki yaadasht kuch time ke liye bhula deti he aur aadmi ko kuch bhi yaad nahi rehta uske baad.

HM - KS hume ab darr lag raha he.

KS - MS aapko pata he har rakhi par sirf hum nahi balki bhaiya bhi hume rakhi bandhte the kyunki hum bachpan se hi bolte the ki waqt aane par hum bhi aapki raksha karenge. MS wo waqt aa gaya he. Hum apna farz nibhayenge.

SS - MS wo lady bahar aa gayi he.

All went outside.
HM - Bethiye.

Lady - Madam aapne hume yaha kyu bulaya he.

HM - Pehle aap aaram se bethiye aur hume apna naam bataiye.

Lady - Madam humara naam Farida Zubair Mohammad he.

HM in mind - Matlab hum sahi the. Ye hi Ashraf ki behen he. Dono ka same surname he. Isse abhi hum directly kuch nahi puch sakte. Pata nahi kyu par hume ye aurat sahi nahi lag rahi he.

HM - Hume aapse aapke parivar ke accident ke baare me puchna tha.

All mpt members looked at her with confused expressions. She assured them by eyes.

Farida - Madam me pehle bhi keh chuki hu wo accident nahi tha wo mere bhai ka well planned murder tha.

HM - Aapko esa kyu lagta he ki wo usne kiya he jabki wo to khud mar chuka he.

Farida - Madam pehli baat to ye ki wo mara nahi he bas aapke official records ke according wo mara he uski dead body nahi mili thi us car me se . Aur dusri baat hum is baat ko lekar sure he kyunki us car me hamare abbu ammi aur wo the magar car me se keval abbu aur ammi ki dead body mili. Jis body ko aapne Ashraf ka samjha uska puri tarah se face damaged tha.

HM - Ha magar wo Ashraf bhi to ho sakta he na.

Farida - Nahi Madam wo Ashraf nahi tha kyunki Ashraf ke right hand me ek bohot bada cut tha jo ki us body ke nahi tha.

HM - Farida hume yahi lagta he ki wo accident tha aur tum kuch jyada hi soch rahi ho. Humne tumhari file dekhi to socha ek baar baat karle magar ab hum sure he ki ye case bebuniyaad he to hum is case ko aaj finally close karte he.

Farida - Hum jante the madam yahi hoga. Faltu me aapne hamara time barbaad kiya. Hum chalte he.

HM looked at her and was sceptical of her behavior.




Anuseena - A New Shade Of Love❤❤Where stories live. Discover now