Part 31

1.4K 117 23
                                    

After Farida left all looked at HM with confusion in there eyes.

HM took a diary and wrote something on it. She forwarded it to them.

The diary
Aap sab yaha kuch bhi baat mat kariye. Yaha mic lage huye he. Jo bhi puchna he wo control room me puchiyega. Abhi hum jo kr rahe he bas usme hamara saath dijiye.

Everyone nodded.

HM loudly - KS wo Farida ka case close kar dijiye. Ye accident hi tha. Aur aap sab vapis kaam par lagiye. SS wo jo jewellery chor wala case he uski file leke hamare cabin me aaiye.

With saying this she gestured all of them to move to control room as it was the only room in the thaana that was soundproof.

In control room

KS - Ka challa he ye sab MS. Kon he ye Ashraf.

HM - Hum sab samjhate he KS apko.

She tells them everything Vikas had told her.

HM - KS hume Farida par pehle se hi shaq tha. Aapne shayad ek baat miss kardi ho magar wo ek simple si school teacher he. Jab Vikas ne hume bataya ki Farida ko shaq he ki wo murder tha tab hume koi esa reason nahi mila jisse ki use shaq ho ki wo ek murder tha. Fir SS ne hume bataya us Lady ke baare jo us gang ko pakadwane ka daawa karti he wo bhi ek school teacher he. Ab KS aap bataiye Farida ko kyu shaq hua ki wo murder tha aur Ashraf jinda he.

KS - MS Farida ne bola na ki us dead body ke right hand par nishaan nahi tha.

HM - Ab aap hi sochiye KS agar bhagwan na kare par kabhi aap esi halat me hoti ki aapki puri family ek ese unfortunate hadse me... To aap kya is stithi me hoti ki aap ek chote se cut pe dhyaan deti. Are aap to phir bhi ek police officer he to aap phir bhi de sakti he dhyaan magar ek simple si school teacher itni minute detail par dhyaan de ye baat aapko ajeeb nahi lagi.

SS - Ha MS aap bilkul sahi keh rahi ho. Mera to esi stithi me ro rokar bura haal ho jata koi bhi detail par dhyaan dena to dur ki baat he.

HM - Exactly. Aur phir jab wo jaane lagi tab usme waha table lamp par ek mic fit kar diya tha jo shayad aap sab ne nahi dekha magar humne dekh liya tha. Tab hume pura yakin ho gaya ki ye kuch to chupa rahi he.

KS - Magar MS wo esa kyu karegi.

HM - Wo to hume bhi nahi pata KS. Par hume esa lagta he ki uska us drug gang ke saath kuch to connection he.Par hume jo bhi karna hoga sab jaldi karna hoga hamare Anu unke pass he.

KS - MS bholenaath sab thik kar denge. Vishwas rakhiye.

HM fake smiled.

Just then billu came in the control room.

Billu - MS ye pendrive koi de ke gaya he badnaam ko aur bola ki aapko de de.

HM - SS dekhiye kya he isme.

SS - MS isme to koi video clip he.

HM - Play kijiye.

In the video AS was shown tied down to a chair with iron wires. He was bleeding badly. Just then a man with a mask on came in front of the camera .

The man - Agar dsp ko bacha sakte ho to bacha lo. Tumhare pass kal tak ka samay he warna phir to iska antim sanskar bhi nasib nahi hoga.

Another man came with a hot iron rod and put it on AS wounds.
AS - Aaahhh....

All mpt members except HM were crying while there was only one emotion in HM eyes and that was anger.

HM - SS ek baar wo recording wapis play kijiye.

KS - MS hum Nahi dekh payenge.

HM - KS aap ek police officer bhi he. Aur abhi hume emotional ya kamzor nahi balki strong rehna he. Hume hamare Anu ko in janwaro ke panjo se nikalna he aur saath hi saath is gang ka bhi namo nishaan saaf karna he.

SS repeated the recording.
KS - MS piche to kisi railway ki announcement jaisi aawaz kag rahi he .

HM - SS audio enhancer lagaiye.

SS did as told.
SS - MS ye to Delhi se Lucknow aane ki train ka announcement ho raha he.

HM - Great matlab Anu lucknow me hi he. KS pata lagaiye ki railway station ke pass esi koi bhi jagah jisme Anu ko rakha ja sake.

KS - Yes MS.
KS left from there.

HM in mind - Hume ye nahi samajh aa raha is gang ne Anu ko kyu kidnap kiya he. Isse unhe kya milega. Ek minute kahi Anu ki kidnapping koi distraction to nahi Hume kisi aur chiz se dur karne ke liye.

HM - SS hum commissioner sir ke pass ja ke aa rahe he. Aap tab tak pata kariye ki agle kuch dino me Lucknow me koi badi party ya koi important gathering hone wali he kya.

SS - Kyu MS.

HM - Baad me batate he .

SS - Yes MS.

Here HM straight went to CS cabin.

HM - Jai hind sir.

CS - Jai hind. HM hume jald se jald Anubhav chahiye. Wo hamare department ke itne kabil officer ko nahi kho sakte.

HM - Ji sir hamara waada he aapse hum Anu.. bhav sir ko kuch nahi hone denge. Sir hume bas aapse kuch baat karni he.

CS - Boliye.

HM - Sir hume esa lagta he dsp sir ki kidnapping asal me ek distraction he hume kisi badi cheez se dhyaan bhatkane ke liye.

CS - Aur kya ho sakta he Miss Malik.

HM - Sir darasal hume ek pendrive di gayi he jisme hume khuli dhamki di gayi he ki hamare pass kal tak ka samay he dsp sir ko bachaane ke liye. Sir agar unhe dsp sir ko marna hota to wo hume challenge nahi dete. Hume lagta he wo hume kidnapping ki taraf uljha kar koi bada motive hasil karna chahte he.

Just then HM got a call from SS
SS - MS kal hi Lucknow me ek bohot badi party he ek businessman ne rakhi he Hotel Elite me.

HM - Hume laga hi tha. Thank you SS.
She cut the call.

HM - Sir kal ek party he Hotel Elite me. Hume lagta he ki waha koi bohot badi drug deal hone wali he . Unhone hamara dhyaan kal tak ke liye bhatkaya he taki pura department to DSP sir ko dhundhne me laga hoga aur wo deal jar lenge.

CS - Good job HM. Hume garv he aap par. Aap chinta mat kijiye aap AS ko bachaiye hum us gang ko pakadte he . Finally kal shayad aapki wajah se us gang ko pakda ja sake.

HM - Jai hind sir.

CS - Jai hind.

Guys don't worry in next part this case will be over and again the happy story will start.

Anuseena - A New Shade Of Love❤❤जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें