Shaadi Ki Baat

296 30 0
                                    

Raj was sitting in his cabin and was reading a file.

Raj: hm... Vijay shankar father of jiya shankar. Owns a business in the same office. Jiya works in a company as chief marketing manager. Pretty nice...

At that time Vijay enters the cabin of Raj.
Vijay: hello sir.
Raj: hello Vijay ji. Come take a seat.
Vijay: ji thank you. Waise aap jaise itne bade businessman ne mujhe bulaya. Kuch zaruri kaam hoga!
Raj: ji. Dekhiye main ghuma fira ke nahi batana chahta. Baat yeh hai ke Mujhe lagta hai ke aapki jiya mere bete paras ke liye sahi rahegi.
Vijay: aap aur Aapke bete itne bade businessmen hain to phir meri beti hi kyun. I mean Aapke bete ko to koi bhi better ladki mil sakti hai...
Raj: par jiya jaisi aur koi nahi mil sakti...
Koi zabardasti nahi hai. Aap jiya se baat kijiye. Uski haan ke baad hi baat aage badhegi...
Vijay: ji thik hai. Chalta hun.

Then Vijay returns home with a big smile.

Aasha: dinner is ready. Chalo sab.
Vijay: princess chalo jaldi. Let's have dinner.
Jiya: mmm... Smells delicious.
Aasha: (to Vijay) kuch baat hai kya? Aaj aap kuch zyada hi khush lag rahe hain!
Vijay: haan. Princess, aaj mujhe Mr. Raj Arora ne bulaya tha. Wo chahte hain ke unke bete paras ki shaadi tumse ho...
Jiya: par dad...
Vijay: take your time bachha. No need to hurry. Jab tak tum haan nahi kahogi tab tak ye baat aage nahi badhegi.
Jiya: OK dad.

The trio finishes their dinner and sleeps. Next morning jiya completes her morning routine and goes downstairs. While going she hears her parents talking so she decides to listen to them.

Vijay: you know aasha paras bahot achha hai. Mr. Raj aur unki wife bhi humari beti ko apni beti maante hain. They are really loving and caring. Humari princess wahan kaafi khush rahegi.
Aasha: ye to bahot achhi baat hai. Bas ab jiya bhi maan jaaye.
Vijay: meri princess kaafi samajhdaar hai. Dekha wo haan hi kahegi.

Jiya: (in mind) mom, dad kitne khush hain. Main unki ye smile nahi cheen sakti. Main haan hi kahungi!

She then approaches them.
Jiya: good morning mom, dad!
Vijay: good morning princess.
Aasha: good morning baby.
Jiya: dad, I've decided.
Vijay: what have you decided princess?
Jiya: I'm ready.
Aasha: kisliye jiyu?
Jiya: shaadi ke liye. I'm ready.
Vijay: what! Sachme. Ye to bahot achhi baat hai. Main abhi Raj ji ko batata hun.

He then calls Raj and informs that jiya has agreed for the marriage.

Raj then approaches towards paras' cabin.

Paras: dad! Kuch kaam tha?
Raj: haan. Bahot important kaam.
Paras: haan boliye.
Raj: maine teri shaadi ke liye ek ladki dekhli hai.
Paras: what???!!!
Raj: haan. She's a nice girl. Tumhare liye perfect hai. And ya ab ye mat kehna ke tumhe kisi ki zarurat nahi hai. I know but Aarohi ke baare mein bhi to socho. She needs a mother. Tum kaam mein kitna busy rehte ho. Bahot kam time nikal paate ho uske liye.
Paras: kya main jaan sakta hun dad ke wo ladki kaun hai?
Raj: JIYA.
Paras: dad aap usse ek baar mile ho and aapko lagta hai ke she is perfect. Kaise?
Raj: beta ye aankhein na experienced hain. Tune dekha nahi wo Aarohi ko jaanti nahi phir bhi Uski parwah kari usne. Aur aarohi, aaj tak pehli baar mein usne hum mein se kisi ki bhi baat maani hai. Tune kabhi aarohi ke muh se sorry suna hai? Nahi na. Aarohi ne jiya ki baat bhi maani aur sorry bhi bola. Beta this is enough to know ke aarohi jiya ko pasand karti hai. Jiya can be a very good mother to aarohi!
Paras: but dad...
Raj: no buts. Jiya ne haan kardi hai so tumhe bhi ye shaadi karni hi hogi. That's final.

And raj leaves.

Paras: what? Uss ladki ne haan kardi. Of course ab itna ameer ladka hoga to haan hi karegi na, Gold digger! Aur dad bhi na. Ye shaadi bas naam ki shaadi reh jaayegi. Dad bhi na!

Raj calls Vijay.
Raj: hello samdhi jii.
Vijay: ji kya?
Raj: ab yeh shaadi pakko to aap hue na mere samdhi.
Vijay: ji bilkul.
Raj: to kya hum kal engagement kar le?
Vijay: magar kal... Matlab itni jaldi sab kaise?
Raj: engagement kal kara dete hain jisme bas hum 2 parivaar ho. Shaadi baad mein kara lenge dhum dhaam se...
Vijay: ji thik hai chalega.
Raj: bas phir milte hain kal.
Vijay: jii.
And cuts the call.

Love is destined Where stories live. Discover now