Aarohi's Insecurity

320 32 3
                                    

Next morning neha goes to their house, and starts shouting...
Neha: paras, paras, PARAS
Listening this both jiya and paras comes down...
(Well the whole conversation between paras and neha will be considered as shouting......)
Neha: dekho paras tum mujhse pyaar karte ho. Tum mere ho
Paras: I think maine kal clearly keh diya tha tumse ke meri ek wife hai. And I am not like you so I am not gonna cheat her. And I like her a lot to do so.
Neha: tum aise nahi the paras... You love me... Tum mujhse pyaar karte ho.
Paras: correct, main aisa nahi tha tumne mujhe aisa banaya... And main pehle tumse pyaar kiya tha but wo meri mistake thi. I. Don't. Love. You.
Neha: listen Mr Paras agar tum meri life mein nahi aa sakte then mujhe meri beti de do...
Paras: how dare you say that... Tumne soch kaise liye ke main apni aaru tumhe de dunga.
Neha: tum pehle aise nahi the... Tum mujhse pyaar karte the... You were blindly in love... WITH ME. Ye isi kamini ki wajah se tum aisa kar rahe ho na. But I swear main isse chodungi nahi... Just see.
Paras: enough, himmat kaise hui tumhari yahan aakar meri wife aur meri beti ke baare mein kuch bhi bolne ki! Just get out.
Due to all this shouting aarohi comes down...
Aarohi: mumma ye Aunty kyun chilla rahi hai?
Neha: ye tumhari mumma nahi hai, main tumhari maa hun.
Aarohi: nai aap jhut bol rahe ho meri mumma yehi hai... Aap meri mumma nai ho
Neha: AAROHI maine bola na main tumhari maa hun ye nahi. Tum chalo mere saath.
Aarohi: nai main Aapke saath nai aaungi aap gande ho.
Neha: dekho maine aapse kaha na ke aapko mere saath chalna padega aur aap chaloge.
Aarohi: nahi, main apne mom dad ko chodke kahin nahi jaaungi. (and runs upstairs)
Jiya: tum kabse bole jaa rahi ho maine kuch nahi bola but now it's enough, aarohi tumhare saath nahi rehna chahti hai aur wo nahi jaayegi. Tum yahan se chali jao aur meri aarohi se dur raho.
Neha: wo tumhari nahi meri hai.
Paras: (shouts) SECURITY neha ko yahan se nikalo and make sure ke ye yahan iss ghar ke aas paas bhi naa dikhe. Or else you will lose your jobs...
Neha: ye sab tumhari wajah se ho raha hai jiya just wait and watch ke main kya karti hun.
Security drags her out and jiyaras goes to check on aarohi. She was sitting on her bed crying.
Jiya hugs her...
Aarohi: mom wo aunty mujhe le jaayegi?
Jiya: never hum kabhi nahi le jaane denge.
Aarohi: aap humesha mere saath rahogi na... Kabhi chodke to nahi jaaogi na?
Jiya: no main aapko kabhi chodke nahi jaaungi.
Aarohi: promise?
Jiya: promise.
Paras: aaru stop crying OK? Tum yahin ho hum sab ke saath. Aur jiya bhi kahin nahi jaa rahi.
Aarohi: aap pakka mujhe kabhi chodke nahi jaaoge na... Main good girl banugi bas aap hamesha mere paas rehna mom.
Jiya: tum good girl hi ho bachha.
Paras: and I will make sure jiya kahin nahi jaayegi OK? She is with us.
Jiya: chalo hum yahan khelte hain hmm...
Paras leaves the room and jiya plays with aarohi. Paras gets a call from Sameer.
Paras: bol kya hua?
Sameer: aaj hum club jaa rahe hain, tu aur jiyu bhi chalo na...
Paras: main nahi aa paaunga, but jiya aayegi. Aur uska naam jiya hi hai naaki jiyu, And mujhe club ki location share kar dena.
Sameer: (mumbles) pura ka pura over protective pati ban gaya (loudly) thik hai.
Paras: waise mujhe sunai diya tune kya kaha.
Sameer: hehe chal bye phir.
And hangs up the call...






Yaar meri story mein sabka response kam hota jaa raha hai... #sad

Love is destined Where stories live. Discover now