Ch:30 • Revealing The Past

1.2K 81 10
                                    

"Meri infertility reports." There she dropped her bombshell.

"What?" He wasn't expecting this at all.

"Haa...main kabhi maa nahi ban sakti..." A tear slipped from her eye.
"Dadi ne humari shaadi sirf apne pad-pote ko dekhne ke liye karwai thi. Aur jab aap Switzerland gaye tab mujhe yeh baat pata chali...
Janmashtami ke din mujhe boht bleeding ho rahi thi. I was on my period par utna bleeding aur pain kabhi nahi hua so I went to the doctor. Unhone mujhe meri life ka sabse bada shock diya yeh baat batakar ki I can never conceive." Naira was crying hard by now.

Kartik engulfed her but he couldn't see her like that and he was shedding his own tears too.

"Aapko yeh dukh dene ki himmat nahi thi mujh mein aur main aapse durr yaha New York aa gayi...main chahti thi aap mujhe bhul kar ek nayi life start karein...chahe mujh se nafrat karein lekin khush rahe kisi kaabil ladki se shaadi karein jo aapko pyaar kare, jisse aap pyaar kare, woh jo aapko saari khushiyaan de sake jo main kabhi nahi de saki...agar yeh sab jaanne ke baad bhi aap mujhse alag hona chahe toh main aapko talaq.."

He turned her by her chin.
"Tum na paagal ho." His eyes were red, boring into hers.

"Huh?"

"Haa ho tum paagal...duniya ki sabse badi paagal...aur tumne mujhe bhi paagal kardiya hai apne peeche! Kaise khud itna bada faisla le liya tumne? Kaise soch liya ki tumhare uss bekaar se letter ki wajah se main tumhe bhul kar kisi aur se shaadi kar lunga? Maine toh apni life mein sirf andhera dekha tha jab tak tum nahi aayi...kaise khush rehta uske bina jisne mujhe kitne saalo ke baad hasna sikhaya? Kaise hota mujhe pyaar jab mera dil kisi aur ke paas tha...aur apne pati ki shaadi kisi aur se kaun karwaata hai?! Tumhari wajah se meri life ke do saal waste ho gaye...tumhe kya pata tumhare jaane ke baad kya kya hua..." Kartik looked away controlling his anger and tears.

She touched his cheek to tell him she is here for him.

He closed his eyes to relish her soft feather like touch. Involuntarily his hand landed on hers.

There was a past which he was hiding too.

Naira was curious always to know about what happened?

Why he left home and settled here?

Why did he launch a new company?
But they had not even been on talking terms.

With her eyes she signalled him to continue.

"Manish Goenka aur Suhasini Goenka par fraud ka case hogaya. Meri maa ka trust fund todne ke liye they forged my signatures. Mere bank manager ne jab mujhe inform kiya tab mujhse bardaasht nahi hua aur maine unke khilaaf complaint kar di. They were behind the bars when they also confessed ki maa ne apni beti apne mental health ke wajah se nahi balki Manish ke wajah se khoyi thi...Main tut gaya tha Naira mujhe tumhari boht yaad aati thi...unke saath toh mera sirf naam ka rishta tha par tumhare saath...tumhare saath toh mera dil ka rishta hai...par tumhe kahaan kuch samajh aata hai..."
He kept his head on her chest trying his best not to sob.

She ran her hand through his hair.

She couldn't digest the fact that so much happened in her absence.

Her brain was still processing the new found information, but her heart had other plans.
"Kartik...I love you!"
__________________

Kismat Se ✅Where stories live. Discover now