Chapter 12: Ek Tarfa Pyaar

1.9K 263 26
                                    

Sidharth understood that there was something going on. It was written on Sana's face.

"Of course Sana. Baatao tumhe kya help chahiye." Sidharth said.

"Sidharth actually uss din tumne jo kaha, maine uss baare mein bohut socha. Mujhe sach mein lagta hai ab mujhe khud kuch karna chahiye. Kya tum mere liye ek job dhund sakte ho, aisa job jo mere karne layak ho?" Sana said.

Sidharth became serious.

"Yeh toh acchi baat lekin Sana, is everything really fine? Tum suddenly job maang rahi ho....Kuch hua hai kya? Aditya... Aditya ne kuch kaha hai?" Sidharth asked.

Sana was going to say something but suddenly she stopped herself.

"Aisa kuch nahi hai. Mujhe abhi sach mein kuch karke dikhana hai. Mere liye koi bhi job chalegi, bas main time zyada nahi de sakungi kyu ki ghar ke kaam bhi hote hai. Dopeher se lekar shaam tak main free rehti hoon, agar uss time koi job ho....Yun samajh lo mere mind ko refresh karne ke liye yeh job bohut zaroori hai." Sana said.

Sidharth thought for sometime and said, "Thik hai main dekhta hoon. Mujhe bas thoda time do."

"Thik hai. Abhi main chalti hoon." Sana and left his cabin.

Suddenly an idea came to Sidharth's mind. He immediately went after Sana to stop her.

"Sana, wait!" Sidharth called her.

Sana stopped and asked, "Kya baat hai?"

"Tumhe job karni hai nah? Mere paas ek idea hai. Delhi mein mere Dad ka ek NGO hai. Agar tum chaho toh waha ke baccho ko dance sikha sakti ho. Uss mein tumhe zyada time bhi nahi dena padega aur tumhara mind bhi refresh ho jayega."

"Dance teacher... umm...." Sana started hesitating.

"If you are thinking about salary then...."

"No no. Salary ki toh baat hi nahi hai. Actually problem yeh hai ki maine kaafi saalon se dance nahi kiya. Isliye mera baccho ko sikhana thik bhi rahega yaa..."

"Don't worry about that. Mujhe yakeen hai ki tum bohut acche se baccho ko dance sikha paogi. Toh tumhe yeh job karni hai?"

"Agar tum kehte ho toh thik hai. I'll give my best."

"Phir main Dad se baat karu?"

Sana nodded.

Sidharth became happy.

Sana was about to leave, suddenly she turned and said, "Accha suno, Aditya ko please iss baare mein kuch mat baatana."

Sidharth became confused. "Kyu?" He asked.

"Bas aise hi. Waqt aane par main khud unhe baata dungi."

"Okay. Jaisa tum kaho." Sidharth said.

Sana left from there.

Sidharth went to his cabin and called Ashok Ji.

"Hello Dad! Kaise ho aap?"

"Main thik hoon. Tu kaisa hai? Kaam kaisa chal raha hai?"

"Badhiya Dad. Actually apse kuch important baat karni thi."

"Haan bol."

"Woh ek ladki hai, Shehnaaz. Usse job ki bohut zaroorat hai. Isliye main apse puch raha tha ki kya Delhi mein apka jo NGO hai, uss mein Shehnaaz ko as a dance teacher appoint kar sakta hoon? NGO ke baccho ke liye bhi yeh accha rahega."

"Yeh bhi koi puchne ki baat hai? Bohut accha thought hai. Ek kaam kar tu kaal Shehnaaz ko le kar NGO chale jaana. Main unn logo se baat kar lunga. Okay?"

Love Knows No Bounds (Completed)Where stories live. Discover now