Chapter 17: Priority

1.8K 265 52
                                    

Aditya took Sana to his room and made her fall on the ground.

"Kaha thi tum?" He asked angrily.

"B... bahar.... gayi... thi.. " Sana fumbled.

"Kiske saath?"

Sana didn't reply and stood up.

"Maine pucha kiske saath?" Aditya louder his voice.

"Sidharth ke saath..."

"Sharam nahi aati din raat dusre ladko ke saath ghumte hue? Bohut dino se tumhari harkate notice kar raha tha. Kayi baar pucha lekin tumne baataya nahi. Ussi ke saath hoti ho nah tum roz shaam ko? NGO se roz wahi tumhe ghar drop karta hai right?"

Sana became shocked.

"Aapko kaise paata chala?..."

"Of course. Tumne toh puri koshis ki thi taa ki mujhe paata na chale. But afsos, mujhe paata chal gaya."

Flashback...

This morning, Sana was in the washroom and Aditya was getting ready in the room. Suddenly Sana's phone rang.

"Ms. D'Souza?" Aditya read the caller's name.

"Yeh kaun hai?" He asked himself and received the call.

"Hello!" A female voice was heard.

"Mrs. Arora, Good morning! Woh apse kuch urgent baat karni thi. Humare NGO mein bohut zald annual function hone wala hai. Toh agar aap baccho ko thoda extra dance classes deke uss function ke liye prepare kar dengi then bohut hi accha hoga."

"NGO? Dance classes? What's going on?" Aditya said in his mind.

"Hello! Mrs. Arora, aap sun toh rahi hai nah?"

"Aap kaunse NGO se bol rahi hai?"

"Child Care Foundation. By the way who are you?"

"Shehnaaz's husband. Woh aaj thodi busy hai. Aap kaal unn se baat kar lena." Aditya said and immediately cut the call.

"Iske baare mein paata lagana padega." Aditya said in his mind.

Flashback ends...

"Aur phir maine uss NGO mein jaake puch-tach ki. Tab jaake paata chala ki tum uss NGO mein as a dance teacher job karti ho. Aur mujhe baataya bhi nahi."

Aditya jerked her shoulder and said, "Why Sana why? Husband hoon main tumhara. Tumne NGO join kiya without my permission. Upar se uss Sidharth ke saath affair chala rahi ho. Ghumne jaati ho woh bhi haath pakad ke. Paata hai pure moholle mein tum dono ke baare mein baatein ho rahi hai. Main hi andha tha jo sab kuch mere aankhon ke samne hota raha aur main dekh bhi nahi paaya. Tumne yeh sab karne se pehle mere baare mein nahi socha? Meri na sahi apne family ke baare mein soch leti. Society ke samne kya hi izzat reh jayegi humari? Main soch bhi nahi sakta tha ki tum itna gir sakti ho. Dusre laundo ke saath muh kaala kar rahi ho jab ki tumhara husband present hai. Tum jaisi characterless ladki maine aaj tak nahi dekhi. Paata nahi aur kya kya kiya hai tumne mere peeche. Kis hadd tak gaya hai tum dono ka rishta...."

"Bas ki jiye! Bohut hua. Ab main aur nahi sun sakti." Sana started crying.

"Main aur Sidharth sirf acche dost hai aur kuch nahi. Jab mere saath koi nahi tha, usne meri madad ki. Aap toh divorce tak dene chale the mujhe. Ek baar bhi pucha ki mujhe divorce chahiye yaa nahi? Paata hai main kitna tut chuki thi? Uss waqt khud ko sambhal ne ke liye maine NGO join kiya. Aur uss mein bhi meri madad Sidharth ne ki. Ek accha dost hone ka farz nibhaya hai usne bas."

Aditya started laughing.

"Dost? Kaunsa dost itna sab kuch karta hai? Aaj ke zamane mein koi bina matlab ke kuch nahi karta. Aur uska intention toh mujhe saaf saaf nazar aa raha hai. Listen Sana, jab tak tum meri biwi ho, tumhe mere accordingly chalna hoga. Warna log bolenge ki Aditya Arora apni biwi ko sambhal bhi nahi sakta. Isliye kaal se tum NGO nahi jaogi."

Love Knows No Bounds (Completed)Where stories live. Discover now