Chapter 21: Divorce

2.1K 266 29
                                    

After some days....

Sana and Aditya were standing outside the court with their family members.

"Sana, ek baar phir se soch le puttar. Woh husband hai tera. Jaa ke maafi maang, pair pakad uske taa ki woh tainu divorce naa de." Gurpreet Ji said.

"Sab kuch try kar ke dekh liya Mummy. Agar unhone mann bana hi liya hai ki woh mujhe divorce dennge, phir unka decision koi change nahi kar sakta. Aur aise relationship ka kya fayda jis mein itta sa bhi trust na ho? Hone di jiye jo ho raha hai." Sana said.

Gurpreet Ji went to her husband and said in a low voice, "Dekhiye Ji, divorce ke baad main isko apne ghar mein nahi rakhne wali. Agar iski itni hi zidd hai toh phir thik hai. Iss se keh di jiyega, yeh apna intezaam khud hi kar le."

"Yeh tum kya keh rahi ho? Humare ghar nahi rahegi toh kaha jayegi? Bhulo mat woh ghar iska bhi hai." Jagvir Ji said.

"Jo ladki khud hi apna ghar ujaad de, uska bojh hum kyu uthaye?"

"Meri beti koi bojh nahi hai. Aur jo kuch bhi ho raha hai, iss mein uski koi galti nahi hai. Aur jaha uski galti nahi hai waha woh nahi jhukegi."

"Galti nahi hai? Woh photos nahi dekhe apne? Kaise uss padaye ladke ke saath chipki hui thi....."

"Bas Gurpreet! Bohut hua. Mujhe Sana par pura bharosa hai. Aur bachpan se jo sanskar maine usse diye hai unn par bhi. Sana kabhi koi galat kaam nahi kar sakti. Aaj tak tum sirf Sana ko neecha dikhati aayi ho. Main kabhi kuch bol nahi paaya. Lekin jab sawal meri beti ke character ke upar utha hai, main chup nahi barithunga."

Gurpreet Ji understood her husband's mood and became quiet.

On the other hand, Isha and Shehbaaz were standing at a corner.

"Jo nahi hona chahiye tha wahi ho raha hai. Yeh log agar alag ho gaye toh humara kya? Kaun accept karega humare rishte ko?" Isha said.

"Iss waqt humara sirf apne baare mein sochna sahi nahi hai Isha." Shehbaaz said.

"Kyu na soche? Unhone kabhi socha humare baare mein? Specially tumhari behen, woh toh sirf apne baare mein sochti hai."

"Isha iss mein mere behen ki koi galti nahi hai. Tum log pehle apni mentality thik karo." Shehbaaz said and went to his family.

"Bhabi, agar aap ki wajah se hum dono ke bich koi problem create hui, I swear main apko kabhi maaf nahi karungi." Isha said in her mind.

After sometime, they were called inside the court.

They both sat in front of the judge.

"Aap dono ki shaadi ko kitne saal hue?" The judge asked.

"6 saal." Aditya said.

"Kya aap dono sach mein yeh divorce chahte hai?"

They both nodded.

"Mr. Aditya Arora, aap kyu apni wife ko divorce dena chahte hai?" The judge asked Aditya.

"Kyu ki inka kisi aur ke saath affair chal raha hai. She is not loyal towards me." Aditya said.

"Mrs. Shehnaaz Arora, kya apke pati jo keh rahe hai, woh sach hai?"

"Nahi." Sana said.

"Toh phir aap kyu inhe divorce de rahi hai?"

"Kyu ki Aditya yeh hi chahte hai. Aaj tak kabhi inke marzi ke khilaaf nahi gayi aur aaj bhi nahi jaungi."

"Aap khud kya chahti hai?"

"Jis rishte mein minimum trust tak nahi hai, main uss mein nahi reh sakti."

Love Knows No Bounds (Completed)Where stories live. Discover now