Ho Gaya Siyappa! (PART 15)

2.2K 162 469
                                    

Just to clear:

- Rohan ke paas abhi woh cement powder hai. (but he assumes to have the love powder)
- Bala ke paas love powder aa gaya hai (but he assumes to have the nightmares powder)
- Monu ne bure sapne bhagane wala powder soongh chuka hai already. (she assumes nothing)

Note: Meine uss powder ka bhi ek logical angle giya hai, trust me, ending mein hai. Toh padh lena iss irlogical crazy si author ka logic! 😂

***

In Rohan's room

Faizi:- Chalo, ab iss powder ko Janaab ki Raani Sahiba tak kaise pohonchwaye iska bhi idea bata do.

Rohan:- Uhm- ek kaam karte hain, ek rose lete hain, uspar yeh powder daal dete hain, phir woh rose Monami soonghegi aur phir powder ka asar shuru.

Karan *almost jumping in happiness*:- Koi zaroorat nahi hai!!

Advika- Exactly, yeh sab phaltu hai.

Karan- Arey nahi yaar, Rohan tu yeh iss Dayan ko soonghwa de, pyaar wyaar karna seekhegi toh, kyunki Monami toh already pyaar karti hai mujhse!

Faizi, Rohan, Advika- WHAT?? SAALE TERI TOH!!! PEHLE NAHI BATA SAKTA THA KAMINE?

The three take their shoes and run behind Karan. Karan takes out his service revolver and points towards them, Faizi and Rohan drop the shoes but Advika being Advika, hits that shoes aiming it on the gun making it fall and then hits Karan with the other pair of the shoe. 

Karan- Gadhi! Agar tu ladki nahi hoti na toh

Advika- Toh kya kar leta huh? Aur ladki ka kya matlab hota hai? Ladkiyan ladkon se kam hoti hai? SANJUUUUUUU!!!

Karan- Arey mera woh matlab nahi tha yaar, behen par haath kon uthata hai main waise aa raha tha. 

Par ab toh patang ki dor kat chuki thi, khalaas, the end. Sanju padharti hai.

Sanju- SIRJI, aapse yeh umeed na hogo. Aapne hi toh kaha tha ki ladkiyan paida hi strong hoti hogo.

Karan- Haan toh woh hogo, I mean hota hai...

Sanju- TOH PHIR YEH LADKI NAHI HOTI TOH KA KYA MATLAB HOTA HAI??? 

Karan- Arey toh tum logon par joota uthake thodi na phek sakta hoon???!!!!

Sanju- Kyun? Hum paper ke bane hain joh pichak jayenge? Ab thod pheko!

Advika- Sanju uski baat toh sunle...

Sanju- Nahi ab toh maro! JAI MAA BHAVANI!

(Guys, sirf entertainment ke liye hain, Ladka ladki equal hi hote hain mere opinion mein)

Karan- Arey meri maa meri baat toh sunle!

Sanju- Pehle behen ab maa? Hum ladkiyan toh strong hi hoti hain, tum ladkon ki hi niyat tedhi hoti hogo.

Karan- Aye tu zyada bol rahi hai haan? Ladke bohot seedhe bhi hote hain haan! *while pointing a finger*

Sanju- Kya galat bola, yeh Faizi bhai machli ki tarah daru nahi peete? Yeh Rohan bhai gadhe ki tarah nahi sote? Aap bhooke sher ki tarah sabko cheer ke kha nahi jaate ho?

Koel- Arey kya re Sanju, ab bezatti karni hai toh acche se kar na... Yeh Faizi gadha hai, joh dhenchoo dhenchoo karte karte ek ladki se doosri ladki ke paas jakar khud ko zaleel karwata rehta hai, aur iss Rohan ke baare mein toh khair main zyada nahi jaanti

Rohan- Bach gaya!

Koel- Lekin phir bhi harkatein bina petrol ke raddi se bhaare par khareede huye scooter jaisi hain.

Teri Meri Gallan Hongi Mashhur (SS/TS)Where stories live. Discover now