Ho Gaya Siyappa! (PART 16- Culprit Victim Special)

1.9K 151 188
                                    

At night. 

Sid was typing something on his laptop while Sanju sat beside him with a cup of coffee.

Sanju- Ae Chirkut, sun na

Sid- Hmm?

Sanju- Kar kya raha hai tu?

Sid- Mentally toh naagin dance kar raha hoon, emotionally tumhare saath honeymoon mana raha hoon, Sadly abhi bhi single par hi atka hoon, Imaginarily pool mein drink kar raha hoon, Practically kaam kar raha hoon toh technically apni duniya mein main busy hoon. Par tum kaho toh really tumhare liye sab chod doon. 

Sanju- Saari bakwas se kaam ki baat par ate hogo. Raat mein, 10 baje kya kaam?

Sid- Unn bank statements ka? Rohan ka naam sirf udhar hi nahi hai. Joh file Monu ne mujhe scan karke di hai usme bhi jo address likha hai, woh Rohan ke naam par registered hai. And Rohan ke father? Rohan ka koi father nahi hai. Humein Rohan ne apne father ka naam Brijesh bataya. Lekin Database ke according Rohan orphan hai and kisi bhi orphanage ki list mein Rohan ke adoption ka koi mention nahi hai. Rohan Asha Orphanage joh ki iss academy se 6km door hai, udhar 18 years tak raha. Phir commando training li. Toh parents kahan se aa gaye?

Sanju- Toh tujhe Rohan par shaq hai?

Sid- Aur nahi toh kya? Aur kitne proofs chahiye kisi ko? Father ke baare mein jhoot bola, chalo woh bhi na maane, toh bank account statements? phir file pe uska naam hona? and you know woh do phones use karta hai. Aaj jab hum uske room mein the tab meine uska ek Nokia ka phone dekha. Woh toh iphone use karta hai na? Then Nokia?

Sanju- Do phones use karta hai isse yeh toh sabit nahi hota ki woh doosra phone rishwat aur baaki saare borontagiri ke liye karta hogo?

Sid- Uski caller list, meine uska yeh nokia ke phone ka caller list check kiya hai. And guess what, iss sab mein humare saare suspects siwai Advika ke involved hai. Sab.

Sanju- Key???

Sid- Haan, Eesha, Ranveer, Shivanshu, Tara, Hitesh, Tarun. Sab ke calls hain with recording. Lekin in recording mein bas ek baat ajeeb hai.

Sanju- Key?

Sid- Ki Rohan ki awaaz nahi sunayee de rahi hai inme. Baaki sabki voice suni, but not Rohan, rather uski taraf se ek robotic voice aati hai. Very smart of him. 

Sid looked angry while Sanju too had fisted her palm.

Sid- Dikhayein Karan sir ko yeh?

Sanju- Hmm, chal. 

On the other side.

Monu:- Oye Advika sun na.

Advika:- Haan bol. 

Monu:- Tujhe kya lagta hai Rohan ke baare mein? Do you just like him as a friend or more than that?

Advika *takes a deep breath*:- I- I don't know Monu, matlab, I am attracted, I like him, accha insaan hai, but pyaar? Bohot jaldi hai decide karne ke liye. 

Monu:- Advika, pyaar karne ka koi time nahi hota. Ab Sid ko hi dekh lo, 2 minute ki baat mein aisa lattu huya ki jail mein tak bhooka pyaasa din raat bitane ke liye ready ho gaya. 

Advika:- I know Monu, lekin main sure nahi hoon. I- I like him. I am sure I like him, woh mujhse bohot alag hai, shayad isliye zyada attract karta hai. Kal raat hum dono terrace par beithkar coffee pee rahe the. 

(Woh scene nahi dikhaya because I didn't want to stretch this out too much) 

Monu:- Ohho, coffee date haan? Not bad! 

Teri Meri Gallan Hongi Mashhur (SS/TS)Where stories live. Discover now