INTRODUCTION

2K 49 35
                                    

Sab kuch chhin gaya mujhse ab main apne hosh-o-hawaas mein nahi,
Lekin chhin nahi sakta yaad tumhari koi mujhse itni kisi ki aukaat nahi.

Le gaye woh mera kuch
Jo humara sab kuch tha
Ab main bacha hoon kuch kuch
Ujadne se pehle bahut kuch tha.

--------------

Hostility - The end of humanity.

Kehte hain ki duniya mein sabse buri koi cheez hain toh woh hain dushmani. Dushmani wanha se shuru hoti hain janha se insaan apni insaaniyat bhul jaata hain. Agar woh dushmani dharm aur jaat ko lekar hain toh wanha tabahi hona tay hain.

Yeh kahani bhi kuch aise hi mod se guzarti hain. Anubhav aur Haseena do aise log jo ek dusre ke liye bane the. Kanhi kisi roz, kisi jagah yeh milte hain. Dono mein dosti ho jaati aur dono ki dosti jaldi pyaar mein badal jaati hain.

Magar woh pyaar hi kya jisme koi adchan na ho. Dono ke dharm alag the. Lihaza inke gharwalo ko inka pyaar namanzoor tha.

Aise taise lad ladke woh dono ek ho gaye. Par iski bahut badi keemat bhi chukani padi unko. Kuch aisa hua ki inka sab kuch ujad gaya. Iss hadd tak ujad gaya Haseena pagal ban-ne ke kareeb pahunch gayi. Par Anubhav apni Haseena ko aise nahi dekh sakta the. Woh apne patni ko thik karne ki har mumkin karne lage.

Ab dekhna yeh hain ki woh apne koshishon mein kaamiyaab ho paate hain ya nahi!

---------

Friends, here is my another story on our beloved AnuSeena. This is a little emotional story. May some scenes make uneasy to you (not mature). Even though, I want to write it as it exists in our society.

And also, I can't update it regularly. So uske liye pehle se hi sorry. Mere bahut stories pending hain. Aap logon ko lagta hoga ki aisa hain toh pehle unko complete karke isko likhna chahiye naa phir. Yes, you are right. But kya hain naa, mathematics, chemistry, physics and history ko chhodkar baaki saari cheeze meri deemag mein jyada der nahi tikti. Main bhul jaati hoon ki aisa kuch maine socha tha. Iss liye, aisa karna padta hain.

I hope ki aapko introduction thoda bahut toh pasand aaya hoga. Yeh story jyada lambi nahi hogi. Par shayad chhoti bhi nahi hogi.

Toh milte hain jald hi iss story ke characters ke saath. Until then, take care and bye.

WE ARE ENOUGH FOR EACH OTHER Where stories live. Discover now