💔

1.2K 70 11
                                    

My intention isn't to remind anyone of the pain but just.. OK let's move on
After the funeral at the birla house
Abhi- Maa aap kuch kha lijiye warna aap bimar pad jaoge
Manjari- nahi mujhe kuch nahi khana
Abhi- Maa he raised his voice
Manjari- kese Khao mein abhi Mera beta.... Mera beta mujhe chodke chala gaya aur mein yaha betke khana Khao
She cried while abhi hugged her
Mahima- manjari idhar dekho tumhe khud ka khayal rakna hoga dekho udhar dekho she showed her aarohi lying almost like a dead person who is just breathing at Neil's photo frame dekho usse agar tum khud ese ho jaogi to usse kon sambhalega aur uske andar jo bachcha hein wo Neil ki aakhri nishani hogi kya tum uskeliye kuch nahi karogi manjari cried hugging Mahima she took the plate from abhimanyu n sat near aarohi
She kept her hand on aarohis head aarohi beta utho she didn't respond
Manjari- aarohi beta utho kuch tho khalo agar ese hi rahogi tho tumhari halat bigad jaegi dekho she made her see her
Manjari- Neil tumse bohot pyaar karta hein aur wo kabhi nahi chahega ki tum ese apne aap ko saza do pls apne liye na sahi Neil  ke liye plssss
She cried n later manjari fed her
Days passed but aarohi remained silent the one whonused scream at the top of her lungs when anything goes wrong against her has remained silent now this started bothering other family members
In abhira room- akshu- abhi pls mein jaanti hoon ki tum sab mujse naaraz ho par aarohi ke basreme mujhe kuch kehna hein
Abhi- he just saw her sigh to continue
Akshu- aarohi ese hi rahegi tho depression mein chali jaayegi wo sabse jyada pyaar apne kaam se karti hein isiliyd usse wapas hospital jaane keliye manana hoga
Abhi- thike He was leaving
Akshu- abhi kya tum
Abhi- akshara pls atleast kuch dinkn keliye Tum kisike maamle mein taang mat adao pls ho sake tho itna daya kardena mujpe aur meri family pe
Akshu cried after he left
Abhimanyu said the same to other family members they agreed
Manjari - par aarohi se baat karega Kaun
Mahima- meinn baat karti hoon
She went to her room saw her sitting on chair n head kept over table n staring at nowhere
Mahima- aarohi tumhe apnae life phirse shuru karna chahiye tum ese apne life ko barbaad nahi kar sakti
Aarohi - saw her but didn't respond
Mahima- tumhe aage badna hoga haa mana ki mushkil hoga par kya tumhara life ka maksad Neil ke alava aur kuch bhi nahi hein kya
Aarohi- meri tho zindagi hee nahi rahi maksad ka kya hee hoga
Mahima- nahi tumhe aage badna hoga apne liye apne sapno keliye apna ye life ke liye jisse tum agar waste kardi tho ye
Zindagi ki insult hogi aur as a doctor tum ek zidnagi ki keemat samajti ho na
Aarohi cried
Mahima wiped her tears no more tears ok now let's go she took her to hospital
Aarohi resumed her work everyone glancing at her was making her feel terrible
In mahimas cabin
Watchman came madam ji
Mahima - kya Hua ab kyu aaye ho
Watchman ji ye meri beti hein iska thoda checkup kijiye na aaja tu andar his daughter n his wife came
Suddenly a call buzz over mahimas phone
She ans the call
Mahima- dekhiye mujhe abhi urgently dusri kaam se Jaana hoga agar aapko immediately checkup karvane hein tho Dr.Arohi aap ko dekhengi she called her she came to her cabin mahima- ye rahi aapki Dr aapko urgent hein tho check Kara lijiye n mahima left
Aaru- kya aap checkup karwayenge ya drmahima se baad mein karwayenge
Pt mother- ji woo... hum un Bade madam se karwayenge
Aarohi- thike tho phir mein chalti hoon she left
Aarohi- in logon ko bhi Bade madam Bade sir aur Bade doctor hi chahiye kher chodo vese Mera phone shhh wahi pe bhool gayi
She opened the door slightly n heard
Pt mother- aap bhi na kesi baate kar rahe the humari beti ki nayi nayi shaadi hui ese kese agar ye humare Gao hota tho uska muh bhi nahi dekhte  inka pati Mar gaya aur ye yaha pe kaam pe aagayi  koi dukh hi nahi aur iske ghar wale isse kuch kehte nahi hein kya
Watchman- are kya bol rahi hein dheere bol agar unhone sun liye tho bura manenge they opened the door n left
Aarohi felt miserable she entered the cabin kya sachme mein itni buri hoon kya meine Neil ko bhula diya kya meri pyaar Kam hein
Suddenly a notification pop on her phone
Memories
An year ago  a picture of Neil and aarohi a selfie which they took on their long drive
She cried holding her phone she started hallucinating she could see Neil every where she came out into the corridor n saw how they used to collide to each other n have a cat fight  she ran n sat on a bench an saw Neil by her side kya yaar chipkali tumne meri izzat tod di ab ice pack lagao
She touched his nose n he vanished she cried n came out of hospital nahi mein agar yaha rahi tho Neil ki yaadon mein doob jaungi mene aage badneke ka socha tha aur mein aage badungi yes  I will  left to goenka house she slowly entered n saw that all the elders were discussing smtng
Bade papa- Hume kuch dinon ke liye akshu ko yaha leke aate hein waha usse ek pal keliye bhi shaanti nahi milegi aur Manjari ji usse har roj kosti rahegi
Mimi- haa usne apne bachvhe bhi khoye hein Hume uska khayala rakhna hoga
Something broke inside aarohi she immediately turned n ran
They noticed her n ran behind her but she left In an auto
Aarohi- meri zindagi asal mein barbaad hogayi meri kisi ko bhi Neil ke jaane ki dukh nahi meri parwa nahi aur mere bache ki chinta nahi
She reached n home n was gng to her room while manjari came aarohi kesa raha aaj din
Manjari- achcha hi raha hoga tum apne kaam ko leke itni sincere jo ho heina realiing she didn't speak aarohi beta kya Hua
For aaru the mrng incident was flashing n she saw Neil photo
Manjari- aarohi beta bol na kya Hua
Aaru- Maa mein achcha nahi hoon hoon mujse koi baat mat Karo mein kisi keliye  bhi kuch nahi hoon ein...mein nahi mein  ab aur bezzati nahi karwa sakti Mera aur Neil nahi mein nahi ... mein ye zindagi nahi jee sakti she ran to kitchen n was gng to slit her hand when akshu held her
Akshu- aaru pagal ho gayi kya chod chodddd isse...
Manjari- beta tum ye kya kar rahi ho
Aaru- Mera ab jeena ka koi Matlab nahi hein Maa koi Matlab nahi
Manjari- dekho idhar tumhare kok mein jo bachcha wo tumhara aur Neil ka bachcha hein uski aakhri nishani kya tum us nanhi si jaan ko khatam kar dogi
Aarohi kept her hand on her tummy n broke down crying
Akshu hugged her but aarohi jerked away
Aarohi - dur reh mujse ab aur kya chahiye tujhe aur kya cheenegi mujse meri zindagi barbaad kardi ab aur kuch baaki hein kya
Akshu- bas kar aarohi tujhe kya lagta hein sirf tujhe he dukhi hein mein bhi bohot dukh hoon meine bhi apne bhai ko khoya hein
Aarohi- bas Karo tum she pushed her kitni self obsessed hein tu humesha meine ye meine wo
Tujhe kya lagta hein teri aur meri dukhi same hein tere liye Neil sirf tera ek family member hein par wo Mera guroor hein meri pyaar meri zindagi apno ke jaane ka dukh saare parivaar ko hota hein par uska bhaar sirf patni hee sehti hein wo bhi zindagi bhar aur is baar
Akshu- aarohi terr saath poora parivaar hein tu akeli nahi hein..
Aaaru- ✋  poori duniya hi saath mein aajaye tho bhi mereliye Neil ki kami poori nahi kar sakta tu samajti kyu nahi  aur wese bhi jaa tere liye tere parivaar wale bahjt kuch soch rahe hein ki kese tumhare khyal rakhe jaa chali jaa yaha se 

Akshu- aaru tu
Aaru- chali jaaaa she left n turned Akshu aaj tune mujse sab kuch cheen liya  par aaj tune mujhe esi position mein laake khada kardi ki naa mein jee paungi n she kept her hand on her tummy na mein mar paungi 
Congratulations akshara goenka tum jeet gayi aur mein haar gayi tumse apne aap se apne zindagi se n she left

Everyone is sad but the effect of Neil's death will be on aarohi for rest of her life but they still do not bother neither are they interested in showing how she overcome her pain why can't makers give imp to characters based on track too much obsession for akshara kuch der bhi hua nahi uske zindagi mein ek aur Naya insaan
Ok anyway I was leaving for few days but this thing bothering me so I thought to share

neirohi osWhere stories live. Discover now