8• Shayad | شاید

192 24 19
                                    


"Meri taraf dekh kar bolo Liza!"

Liza ne sar uthatay huay apni bheegi nigahon se ussay dekha ussi waqt Hadeed ke andar kuch toota.

"Kya hua Mr.Hadeed Azam Khan , tum hi ne toh kaha tha ke tum iss nikkah ko nahi mantay , yad hai hamari Nikkah wali raat jab tumne ek akhri taraf jatay huay mur kar mujhay dekha tha , pata hai uss waqt tumhari ankhon mein apnay maa baap ko kho denay ke dard ke ilawa aur bhi ek cheez dekhi mein ne , tumhari ankhon mein nafrat thi , mere liye nafrat!
Mein kon thi Hadeed aur mein kya se kya ban gayi , dunya tumhari weeran hui thi lekin tumhari dunya ko abad karnay taqdeer ne mujhay tum se bandh diya , par in panch salon mein samajh gayi ke zaroori nahi jo taqdeer hamaray liye sochay wohi sahi ho ... issi liye tumse aur tumharay nam se azadi hasil karnay keliye mein yahan ayi....."

"Tumhein mere nam se azadi chahiye na?"

Iss sawal ne Liza ke andar ek anjan si bechaini ubhar di , dil aur dimagh ki ek jang.

"Tumhari khamoshi ko hi mein tumhara jawab samjhoon ga....
Don't worry ! Mein janta hun mein ne bohat takleef di hai tumhein , Do mahinay already guzar chukay hain kesay guzray pata bhi nahi chala December ke end tak divorce papers tayar honge....... Meri meeting hai mujhay jana hoga Aaryan ko bata dena"

 Meri meeting hai mujhay jana hoga Aaryan ko bata dena"

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.


Yeh keh kar ussne apni black shades pehni aur apni gaari ki janab barha , uss bheer mein woh ujhal hogaya aur shayad usske sath Liza ke bohat se jazbaat bhi oojhal hogaye aur khazan ke shurwat mein hi patay jarhnay lagay thay , mausam badal raha tha , hawayein apna rukh mor rahi thi .... ab yeh kissay kahan lejayein kisay kya pata.

 ab yeh kissay kahan lejayein kisay kya pata

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Hoor aur Aaryan food court mein kharay thay Hoor apni ice cream ka wait kar rahi thi jab Aaryan ne usski taraf ice cream ka cup barhaya.

Hoor aur Aaryan food court mein kharay thay Hoor apni ice cream ka wait kar rahi thi jab Aaryan ne usski taraf ice cream ka cup barhaya

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

"Yeh lo"

Hoor ke chehray par ek bari si muskurahat ayi aur ussne foran hi ek bite li.

Aaryan bhi apni ice cream khanay laga.

"Liza aur Hadi bhai kahan hai?"
Hoor ne phoocha.

"Pata nahi kahin romance kar rahay honge"
Aaryan ek ice cream bite lekar bola.

"Sharam karo bari behen hai tumhari"

"Tobah Tobah mein ne kya kaha hai , shariyat aur qanoon ne poori ijazat di hai unko"

Hoor ne mun bana kar Aaryan ke sir par halka sa hath mara aur phir apni ice cream ki taraf mutawaja hogayi.

"Tumhari paintings complete hui?"

"Han do hogayi hain abhi aur bohat se ideas rehtay hain ufffffffff mujhay aisa lag raha hai ke mera dimagh bilkul block hogaya hai Aaryan kuch samajh nahi araha kya hoga exhibition mein kuch hi mahinay rehtay hain , mera doosray classmates itna acha kam kar rahay hain"

"Tumhein na taza hawa ki zaroorat hai , aisi kisi khuli jaga par janay ki zaroorat hai jahan parindon ki halki chehchahat ho , samandar ki lehron ka shor ho , saaf asman ho , darakhton aur phoolon ka dhair ho Artists ko aisi jagayein bohat influence karti hun"

"Ek second ek second Kya abhi kuch dair pehle Mr.Aaryan ne ek sensible bat ki baghair mera mazaq uraye?"
Hoor shararat bharay andaz mein boli.

"Ek artist hi ek artist ke kam asakta hai don't you agree?"
Aaryan uss se nazrein mila kar bola toh Hoor ke labon par ek anjani si muskurahat agayi.

"Yeah I agree"
Hoor boli.

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Woh teeno ghar aye toh teeno kafi thak chukay thay Aaryan apna camera lounge table par rakh kar apnay room mein chala gaya jabkay Hoor apne liye coffee bananay chali gayi thi aur Liza lounge ke sofay par thakay se andaz mein bethi chat ko dekh rahi thi , tab hi usski nazar Aaryan ke camera par pari toh ussne ussay uthanay ka socha hi tha ke Aaryan foran kamray se bahar aya , bokhalahat mein foran camera table se uthaya.

"Kya hogaya hai bhoot dekh liya koyi"
Liza boli.

"Nahi nahi apne toh kuch nahi dekha na?"
Woh bhoklaya.

"Nahi toh aisa kya hai tumharay iss camera mein ab toh mujhay curiosity horahi hai"

"Kuch bhi toh nahi so jayein aap jakar hehehhehe.... kuch bhi nahi hai trust me......khali hai yeh camera toh"
Woh fake si hansi kesath bola.

Liza ussay mashkook si nazron se dekh rahi thi jab tak woh andar nahi chala gaya.

Hoor kitchen se bahar ayi aur coffee ka mug Liza ki taraf barhaya aur liza kesath sofa par beth gayi.

"Thank you so much bohat talab horahi thi"
Ussne hoor ke hath se mug liya.

"Kya hua tha aaj?"
Hoor ne phoocha jabkay Liza coffee ke mug ke ooper hath se gol dayray bana rahi thi aur kisi soch mein thi.

"Kuch nahi bas mein bohat tang agayi hun Hoor"

"Kis bat se?"

"Mujhay khud nahi pata but I am not feeling good at all"

"Mein janti hun kuch hua hai , Aap jab bhi khamosh si hojati hun mein samajh jati hun ke zaroor kuch hua hai ab batayein mujhay kya hua hai?"

"Mujhay aisa lag raha hai mein ghaltiyon pe ghaltiyan kiye jarahi hun apni life mein , janay anjanay mein kahin sab ka dil na tor dun Sultana Jan ka baba ka"

"Divorce ki bat ki waja se?"

"Pata nahi bohat si batein hain , mera dil chah raha hai mein apnay bachpan mein wapis chali jaon hoor , kitni khoobsurat thi zindagi ham sab kitnay masoom thay , na kisi rishte ke tootne ka khauf , na kisi ke dil tootne ka dar , sab kuch kitna perfect tha"

"Liza! Sab kuch abhi bhi bilkul perfect hai , kuch bhi toh nahi bigra , aap Hadi bhai se talaq chahti thi kiun ke aap unhein janti nahi thi tab aap unko ghalat samajhti thi , magar ab toh aap unhein jan gayi hain woh apko jan gaye hain , kya ab bhi apko unse muhabbat nahi hui?"

"Muhabbat?"
Liza ne bhokla kar poocha.

"Han muhabbat?"

"Aisa kuch bhi nahi hai hoor , Hadeed aur meri duniya bilkul alag hai , aur agar mujhe uss se muhabbat ho bhi jati hai toh ab bohat dair hochuki hai woh divorce papers December tak ready karwa bhi chuka hoga"

"Liza ! Mat karein unke sath yeh sab Hadi Bhai bohat akelay hain aap unki taraf ek qadam toh barhayein kya pata woh bhi apko chahtay hon"

"Hoor yeh sab fantasies hai , muhabbat hojana , kisi ko chahnay lagna , asal zindagi mein qudrat ham par itni meherban nahi hoti"
Liza apni ungliyon se kheltay huay boli.

"Hoti hai meherban qudrat ham sab par meherban hoti hai"

"Meri hoooor kitni bari hogayi hai itni philosophical baatein kya bat hai"
Liza usske gaal kheench kar boli aur woh dono hansnay lagay.

"Liza!"

"Hmm"

"Agar kabhi mujhse koyi ghalti hojaye toh aap mera sath toh nahi chorein gi na?"

"Pagal ho kya? Mein kiun chorun gi kabhi bhi tumhein aisa kiun bola?"

"Bas aisay hi"

Aur woh dono apni coffee peenay lagay.

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

MALAL E YAR | ON HOLDWhere stories live. Discover now