18• Vasal |وصل

225 22 44
                                    


دل ناامید تو نہیں ، ناکام ہی تو ہے
لمبی ہے غم کی شام مگر شام ہی تو ہے

••••••••••

Saray guests taqreeban achukay thay , function shuru hochuka tha. Hooriya Liza aur Hadeed ke paas stage par ayi thi.

"Kahan thi tum Hoor?"
Liza ne phoocha.

"Woh mera jhumka toot gaya tha!"

"Acha woh choro yeh batao mujhay aur kitni dair yahan bethna hoga! Ufff thak gayi hun mein Hoor"

Hooriya Liza ki bechaini par hansi thi aur Hadeed bhi apni hansi roknay ki nakam koshishon mein tha.

"Mein janti hun 5 saal intezar kiya hai aap dono ne iss din ka itni bechaini toh hogi apko lekin meri pyari Liza thora aur sabar karlein"
Hooriya ne usse chairtay huay kaha.

"Ohh hello tum dono hans kiun rahay ho ! Mujhay koyi besabri nahi hai mein toh bas stage par sharmeeli si dulhan bannay ki acting kartay kartay thak gayi hun"

"G g bilkul aap ko toh koyi besabri nahi"
Hadeed bhi usse tang karnay mein Hooriya kesath shareek hua tha.

"Very funny tum dono na mujhay tang kartay raho bas aur hanstay raho , team bana li hai tum dono ne apni alag se!"

"Arrey mein toh apki team mein hun Liza ! Apke ilawa kisi aur ki team mein jaun meri itni majal"

Hadeed ne Hooriya ko ghoora tha aur Hooriya ne khanday uchka liye.

"Acha toh matlab mein akela reh gaya ! Mera team member kahan hai waisay , nazar nahi araha"

Hooriya ne hujoom ki taraf nazar dorayi , un dher saray logon mein usski nazrein Aaryan ko dhoond rahi thi aur tabhi usski nazar Aaryan par pari , magar woh akela nahi tha , usske chehray par muskurahat thi aur woh apne bilkul samnay khari bhooray balon wali larki se guftugu mein masroof tha. Woh dono jis andaz se baat kar rahay thay woh Hooriya ko thora chuba tha kiunke door se koyi bhi dekhnay wala yeh bata sakta tha ke dono kaafi gehray doston ki tarah informal andaz mein ek doosray se mukhatib thay.

"Hooriya ek kam toh kardo Sarah Appi ko bulao zara mere pas unke saath mera phone hai"
Liza ne usse pukara tha aur Hooriya ki tawaja un dono se door hui thi.

"G mein bulati hun"

Woh un dono ke pas se guzar rahi thi jab Aaryan ne Hooriya ko jatay huay dekha aur usse awaz di.

"Hoor"

Na chahtay hui bhi woh ruki aur dono ki taraf ayi.

"Yeh dekho kon ayaa hai"
Aaryan samni khari larki ki taraf hath barha kar bola.

"Oh my goodness yeh Hooriya hai? I remember bachpan mein kitni chubby thi ab toh bilkul badal gayi balkay aur zyada khoobsurat hogayi hai. I couldn't even recognise her."
Woh apne british accent mein boli thi. Uss larki ke chehray par khilkhilati hui muskurahat thi.

Aaryan bhi muskuraya tha aur phir Hooriya ki taraf dekha jo bilkul confuse si khari thi , woh abhi tak uss larki ko pehchan nahi payi thi.

"Hoor tumne pehchana nahi ! Yeh Maya hai hamari bachpan ki dost Maya Hayat , Hayat uncle ki beti"

Hooriya ko foran yad aya aur ussne khushdili se Maya se mili.

MALAL E YAR | ON HOLDWhere stories live. Discover now