3• Ek pal | ایک پل

291 32 52
                                    

Nadaniyan karnay ki umar mein weeraniyan liye bethay hain,
Anjanay mein kya kya kiye bethay hain
Hathon mein bebasi liye bethay hain , Ankhon mein bechainyan liye bethay hain , Teri dunya salamat rahay ham toh dunya hi bhool bethay hain.

~Nayab

Aaryan ne ek dam break lagaya

"Whattt Hadi bhai Istanbul mein hain?"

Liza ne Hooriya ko ghoora aur phir khirki se bahar dekhnay lagi jaisay Aaryan ko nazarandaz karnay ki koshish kar rahi ho. Itnay mein Aaryan ka phone bajnay laga.

"Tum teeno ka kya function ke bad anay ka irada hai" Sultana Jan ki raubdar awaz.

"Arahay hain Sultana Jan , gaari hai koyi helicopter toh nahi jo ura ke le aon"

"Mere sath hoshyari karnay ki zaroorat nahi jaldi pohoncho yahan Aaryan"

"G g helicopter ura ke araha hoon"
Aaryan ne yeh keh kar phone band kardiya , woh Liza se jawab ka muntazir tha magar filhal ussne baat ko janay diya shayad yahi munasib tha.

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Ghar mein harkoyi hall janay ki tayariyon mein tha, Liza ghar akar foran apnay kamray mein chali gayi , Hooriya usske pheechay ayi.
Liza ke chehray se uljhan saaf zahir thi , Hoor usske kareeb ayi.

"Liza mein tumhein kitni dafa samjhaon jo tum karnay ka soch rahi ho woh sahi nahi hai"

Liza kuch der usse aisay hi dekhnay lagi
"Kya sahi nahi hai Hoor kya sahi nahi hai , mere khyal se mein jo soch rahi hun woh bilkul sahi hai , aur tum mujhay ek batao jya tumhein uss contest mein hissa nahi lena , kya tumhein turkey nahi jana , kya mera 6 months residency application approve nahi hua , sab kuch toh perfect chal raha hai phir kis bat ki tension"

"Aur tum Yeh bhi janti ho ke yeh sab sirf ek bahana hai"

Liza ki chehray ki uljhan barh gayi
"Han bahana hai sab bahana hai everything is just a lame joke!!!!......."

"Liza mat karo aisa , sab barbad hojayega , mat jao wahan"
Hoor ki ankhon mein usske liye hamdardi saaf zahir thi.

"Toh hojaye na barbad , sab tabah hojaye , I don't care mein wahan jaon gi aur uss se talaq lekar aongi" Liza deewa na war bolnay lagi.

"Liza ... tum unko janay baghair hi yeh faisla kesay lesakti ho"

"Nahi janna mujhay ussay , mein bas sirf ek cheez chahti hun , iss bematlab betukkay rishtay se nijat Meri taraf se woh bhar mein jaye"

"Itni nafrat achanak kiun"
Hoor ne sawal kiya.

"Nafrat wahan hoti hai jahan kabhi muhabbat hua karti hai hamaray darmyan kuch bhi nahi , na nafrat na muhabbat"
Liza ek thakay se lehjay mein boli aur wardrobe ki taraf barhnay lagi.

Hadeed Azam Khan Liza , Aaryan aur Hooriya ka first cousin tha , Hadeed inse itna close nahi tha kiunke woh Pakistan ek do hi dafa aya tha aur aakhri dafa panch sal pehle aya tha aur toot kar bikhar kar wapis gaya tha , bhala woh uss jaga dobara kiun ata jis jaga ne uss se usske maa baap cheen liye thay.
Hadeed ko lagta hai uska Pakistan mein koyi apna nahi, ussne khud ko iss jaga aur iss jaga ke logon ke saye se bhi door rakha lekin ek insan tha jiski muhabbat pe woh kabhi shak nahi karsakta tha Sultana Jan , ussay Sultana Jan se muhabbat thi ussay un mein apni maa ka aks dikhayi deta , Sultana jan bhi apnay nawasay se phone par dheron baatein karti , Sultana ne Hadeed ko Sara ki shadi par anay ko bhi kaha magar hamesha ki tarah woh Liza ya liza se wabasta kisi bhi shakhs ya baat ko nazarandaz kardeta.
Sultana jan shuru mein kayi dafa ussay Liza ki baatein batati , usski bachpan ki sharartein , Aaryan aur usska pyar , Hooriya ki paintings , lekin Hadeed jawaban bas han hun karta. Sultana Jan ussay usske khooni Rishton ki pehchan karwana chahti thi magar woh shayad jan kar bhi anjan banna chah raha tha.

MALAL E YAR | ON HOLDWhere stories live. Discover now